SEARCH RESULTS
Showing search results for ".khib"
Ghazal MATCHES FOR ".khib"
Ghazal
teraa firaaq jaan-e-jaa.n aish thaa kyaa mire liye
ya.anii tire firaaq me.n KHuub sharaab pii ga.ii
Jaun Eliya
Ghazal
kabhii to aasmaa.n se chaa.nd utre jaam ho jaa.e
tumhaare naam kii ik KHuub-suurat shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Ghazal
KHuub parda hai ki chilman se lage baiThe hai.n
saaf chhupte bhii nahii.n saamne aate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Ghazal
kisii tarah jo na us but ne e'tibaar kiyaa
mirii vafaa ne mujhe KHuub sharmsaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
ye nayaa shahr to hai KHuub basaayaa tum ne
kyuu.n puraanaa hu.aa viiraan zaraa dekh to lo
Javed Akhtar
Ghazal
KHud pashiimaan hu.e ne use sharminda kiyaa
ishq kii vaz.a ko kyaa KHuub nibhaayaa ham ne
Shahryar
Ghazal
tere bin raat ke haatho.n pe ye taaro.n ke ayaaG
KHuub-suurat hai.n magar zahr ke pyaalo.n kii tarah
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
vo Gazal vaalo.n kaa usluub samajhte ho.nge
chaa.nd kahte hai.n kise KHuub samajhte ho.nge
Bashir Badr
Ghazal
payaambar na mayassar hu.aa to KHuub hu.aa
zabaan-e-Gair se kyaa sharh-e-aarzuu karte
Haidar Ali Aatish
Ghazal
'faraaz' ishq kii duniyaa to KHuub-suurat thii
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
hai justujuu ki KHuub se hai KHuub-tar kahaa.n
ab Thahratii hai dekhiye jaa kar nazar kahaa.n