SEARCH RESULTS
Showing search results for "Daraate"
Ghazal MATCHES FOR "Daraate"
Ghazal
is sham-e-farozaa.n ko aa.ndhii se Daraate ho
is sham-e-farozaa.n ke parvaane hazaaro.n hai.n
Shahryar
Ghazal
ye bevaquuf unhe.n maut se Daraate hai.n
jo KHud hii saaya-e-KHanjar me.n jaa ke leT ga.e
Munawwar Rana
Ghazal
Akbar Allahabadi
Ghazal
hame.n kyaa aap anjaam-e-mohabbat se Daraate hai.n
hamaare KHuun se har daur kaa aaGaaz hotaa hai
Qabil Ajmeri
Ghazal
misii lagaa ke siyaahii se kyuu.n Daraate ho
a.ndherii raato.n kaa ham se to maajraa kahiye
Wajid Ali Shah Akhtar
Ghazal
kyuu.n Daraate ho mujhe maut kaa saayaa ban kar
mere siine me.n utar jaa.o ujaalaa ban kar
Kumar Pashi
Ghazal
hamaarii aa.nkho.n ne har inqalaab dekhaa hai
zamaana vaale hame.n kis liye Daraate hai.n
Kashfi Lucknavi
Ghazal
ik na ik din jab bujhnaa hai sab ko 'nisaar'
kyo.n aa.ndhii se log Daraate rahte hai.n
Nisar Rahi
Ghazal
Mohsin Sahil
Ghazal
kitnii sadiyo.n se Daraate hai.n ujaale mujh ko
apne daaman me.n ko.ii raat chhupaa le mujh ko
Shahid Kabir
Ghazal
dushvaar raasto.n se Daraate hai.n kaise log
jaise hamaaraa ko.ii yahaa.n rahnumaa na ho
Parween Saba
Ghazal
vo haadso.n se Daraate hai.n apne bachcho.n ko
diyo.n ke saamne tuufaan bhii nahii.n rakhte
Hafiz Karnataki
Ghazal
ek aahaT bhii Daraa detii hai tanhaa.ii me.n
KHvaab jab aa.e tire mujh ko Daraate aa.e
Munib Muzaffarpuri
Ghazal
tum pe marte to hai.n aur is se sivaa kyaa hogaa
kyo.n Daraate ho ye kah kah ke shabaab aataa hai
Aashiq Husain Bazm Afandi
Ghazal
ek aahaT bhii Daraa detii hai tanhaa.ii me.n
KHvaab jab aa.e tire mujh ko Daraate aa.e
Munib Muzaffarpuri
Ghazal
kyo.n tank se topo.n se Daraate ho hamesha
kyaa tum ne abaabiilo.n kaa lashkar nahii.n dekhaa