SEARCH RESULTS
Showing search results for "Duubne"
Ghazal MATCHES FOR "Duubne"
Ghazal
ye kaun hai sar-e-saahil ki Duubne vaale
samundaro.n kii taho.n se uchhal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
is tamaashe me.n ulaT jaatii hai.n aksar kashtiyaa.n
Duubne vaalo.n ko zer-e-aab mat dekhaa karo
Ahmad Faraz
Ghazal
laash kii tarah sar-e-aab huu.n mai.n aur 'shaahid'
Duubne vaale madad-gaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Ghazal
bahut lahro.n ko pak.Daa Duubne vaale ke haatho.n ne
yahii bas ek dariyaa kaa nazaara yaad rahtaa hai
Adeem Hashmi
Ghazal
Qamar Jalalvi
Ghazal
sitaara-e-saharii Duubne ko aayaa hai
zaraa ko.ii mire suuraj ko baa-KHabar kar de
Iftikhar Arif
Ghazal
sang-dil tere bhii aa.nsuu nikal aa.e ho.nge
Duubne vaale ne jab tujh ko pukaaraa hogaa
Danish Aligarhi
Ghazal
jis ke maathe pe mire baKHt kaa taara chamkaa
chaa.nd ke Duubne kii baat usii shaam kii thii
Parveen Shakir
Ghazal
shaam-e-firaaq aa.ii to dil Duubne lagaa
ham ko bhii apne aap pe kitnaa Guruur thaa
Muneer Niyazi
Ghazal
Duubne vaalo.n ke dariyaa mujhe paayaab mile
us me.n ab Duub rahaa huu.n jo bha.nvar hai mujh me.n
Jaun Eliya
Ghazal
Ghulam Mohammad Qasir
Ghazal
ba.De sukuun se Duube the Duubne vaale
jo saahilo.n pe kha.De the bahut pukaare bhii
Amjad Islam Amjad
Ghazal
saahil ke tamaashaa.ii har Duubne vaale par
afsos to karte hai.n imdaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Ghazal
suluuk-e-yaar se dil Duubne lagaa hai 'faraaz'
magar ye mahfil-e-aadaa hai kyaa kiyaa jaa.e