SEARCH RESULTS
Showing search results for "ahl-e-haram"
Ghazal MATCHES FOR "ahl-e-haram"
Ghazal
allaah-re KHud-farebii-e-ahl-e-haram ki ab
bande bhii dekhte hai.n KHudaa ke maqaam se
Saifuddin Saif
Ghazal
bhulaa hii baiThe jab ahl-e-haram to ai 'majruuh'
baGal me.n ham bhii liye ik sanam kaa haath chale
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
rahtaa huu.n 'suhaa' ahl-e-haram me.n bhii numaayaa.n
hote hai.n ishaare ye KHaraabaat-nashii.n hai
Suha Mujaddadi
Ghazal
sab apne aap ko afzal bataa rahe the 'shakiil'
'ajiib haal me.n ahl-e-haram dikhaa.ii diye
Shakeel Ibn-e-Sharaf
Ghazal
majma.a ahl-e-haram naqsh-ba-diivaar udhar
aur idhar shor machaataa hu.aa baktaa hu.aa mai.n
Irfan Sattar
Ghazal
ahl-e-haram se un kii rivaayaat chhiin lo
aahuu ko marG-zaar-e-KHutan se nikaal do
Allama Iqbal
Ghazal
Gaiz kii dau.Dii hu.ii hai lahar sii asnaam me.n
'josh' ab ahl-e-haram se dostii kam kiijiye
Josh Malihabadi
Ghazal
kuchh is tarah se ham ne vafaa kaa bharam rakhaa
sozish se ham ko ahl-e-haram dekhte rahe
Asif Bilal
Ghazal
kyuu.n na tauqiir kare.n aaj mirii ahl-e-haram
KHaak chhaanii hai bahut mai.n ne sanam-KHaane kii
Aziz Warsi
Ghazal
bhuule-bhaTke jo udhar ko.ii nikal jaataa hai
KHair but-KHaane kii sab ahl-e-haram puuchhte hai.n
Nooh Narvi
Ghazal
aisaa ki but-kade kaa jise raaz ho supurd
ahl-e-haram me.n ko.ii na aayaa nazar mujhe
Asghar Gondvi
Ghazal
Gair kii tarah mile ahl-e-haram ai 'zaidii'
mujh ko yak-go na aqiidat jo thii asnaam ke saath
Ali Jawad Zaidi
Ghazal
aashiqaa.n abruu-e-but kii hai taa.at iztiraab
thii namaaz ahl-e-haram jab tak na thaa islaam raqs
Bayan Meeruthi
Ghazal
ahl-e-haram me.n jaa ke binaa aaj shaiKH-e-vaqt
kaafir 'riyaaz' piir-e-kaliisaa kahe.n jise
Riyaz Khairabadi
Ghazal
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Ghazal
ahl-e-haram kii murda-dilii ke ilaaj ko
kuu-e-butaa.n se KHaak-e-shifaa le ga.ii havaa