SEARCH RESULTS
Showing search results for "anjaam"
Ghazal MATCHES FOR "anjaam"
Ghazal
ai mohabbat tire anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyuu.n aaj tire naam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
Saba Akbarabadi
Ghazal
aaGaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye
anjaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye
Khumar Barabankavi
Ghazal
baaqii na rahe saakh 'adaa' dasht-e-junuu.n kii
dil me.n agar andesha-e-anjaam hii aa.e
Ada Jafarey
Ghazal
har mulaaqaat kaa anjaam judaa.ii kyuu.n hai
ab to har vaqt yahii baat sataatii hai hame.n
Shahryar
Ghazal
KHush ho ai dil ki mohabbat to nibhaa dii tuu ne
log uja.D jaate hai.n anjaam se pahle pahle
Ahmad Faraz
Ghazal
us but ke liye mai.n havas-e-huur se guzraa
is ishq-e-KHush-anjaam kaa aaGaaz to dekho
Momin Khan Momin
Ghazal
aaGaaz to hotaa hai anjaam nahii.n hotaa
jab merii kahaanii me.n vo naam nahii.n hotaa
Meena Kumari Naz
Ghazal
yaa rab is iKHtilaat kaa anjaam ho ba-KHair
thaa us ko ham se rabt magar is qadar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Ghazal
vahii hogaa jo hu.aa hai jo hu.aa kartaa hai
mai.n ne is pyaar kaa anjaam to sochaa bhii nahii.n
Kaleem Aajiz
Ghazal
u.Dtaa hu.aa Gubaar sar-e-raah dekh kar
anjaam ham ne 'ishq kaa sochaa to ro diye
Saghar Siddiqui
Ghazal
chaahtaa huu.n mai.n 'muniir' is umr ke anjaam par
ek aisii zindagii jo is tarah mushkil na ho
Muneer Niyazi
Ghazal
ab aage jo bhii ho anjaam dekhaa jaa.egaa
KHudaa talaash liyaa aur bandagii kar lii
Kaifi Azmi
Ghazal
jis mo.D se chale the pahu.nche hai.n phir vahii.n par
ik raa.egaa.n safar ko anjaam karte karte
Zafar Iqbal
Ghazal
dekhe hai.n bahut ham ne ha.ngaame mohabbat ke
aaGaaz bhii rusvaa.ii anjaam bhii rusvaa.ii