SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-mol"
Ghazal MATCHES FOR "be-mol"
Ghazal
mai.n ne gahraa.iyaa.n naapii hai.n samundar kii miyaa.n
tum ne be-mol KHariidii hai mahaarat merii
Zameer Ahmad Zameer
Ghazal
be-mol kar ga.ii.n mujhe ghar kii zaruurate.n
ab apne-aap ko kahaa.n niilaam kar ke aa.uu.n
Anjum Saleemi
Ghazal
bhaav nahii.n maaluum ki kis kaa kitnaa hai
mai.n be-mol to huu.n lekin be-kaar nahii.n
Sabahat Urooj
Ghazal
pyaar ke naam pe be-mol hii bik jaate hai.n
ham ko aataa nahii.n jazbo.n kii tijaarat karnaa
Fahmida Mosarrat Ahmad
Ghazal
ham shaatiro.n ke shahr me.n be-mol bik ga.e
ham ko siyaasii logo.n ne mohraa banaa liyaa
Hafiz Karnataki
Ghazal
be-mol bik rahaa huu.n taariik sii galii me.n
ahl-e-nazar se lekin jauhar nihaa.n nahii.n hai
Shaheen Bhatti
Ghazal
chashm-e-biinaa mujhe daaman me.n chhupaa le aa kar
aaj baazaar me.n be-mol bikaa jaataa huu.n
Aziz Indori
Ghazal
phir ashk ho ga.e be-mol jab ye us ne kahaa
nikaal duu.n mai.n tirii aa.nkh me.n jo kankar hai
Aamir Ata
Ghazal
Irfan Ahmad mir
Ghazal
vafaa ke bol par be-mol bik jaatii hai ye duniyaa
agar ho be-sar-o-saamaa.n to ye sikke khare rakhiyo
Ibrahim Ashk
Ghazal
Saleem Siddiqi
Ghazal
ba.Dh gayaa mol zindagaanii kaa
ab mai.n hissa huu.n ik kahaanii kaa