SEARCH RESULTS
Showing search results for "bhigo.e"
Ghazal MATCHES FOR "bhigo.e"
Ghazal
so.e kahaa.n the aa.nkho.n ne takiye bhigo.e the
ham bhii kabhii kisii ke liye KHuub ro.e the
Bashir Badr
Ghazal
ajiib baat hamaaraa hii KHuu.n hu.aa paanii
hamii.n ne aag me.n apne badan bhigo.e the
Ghazanfar
Ghazal
kahaa.n bhigo.e ko.ii apne KHushk ho.nTo.n ko
ye daur vo hai ki dariyaa bhii pyaas rakhte hai.n
Hafeez Banarasi
Ghazal
ek parii ne jab se is me.n paa.nv bhigo.e hai.n
chaaT rahaa hai saahil yaar samundar paagal hai
Ankit Maurya
Ghazal
Bimal Krishn Ashk
Ghazal
jab bhii baarish ne miTTii se mu.nh mo.Daa
jalte suuraj ne zarraat bhigo.e hai.n
Usha Bhadoriya
Ghazal
ruuh apnii rahii hai qurb-e-badan se sarshaar
ham farishte nahii.n daaman ko bhigo.e hu.e hai.n
Arman Najmi
Ghazal
nahii.n ki chashm-e-Gazal ko bhigo.e jaa.e.n ham
ki dil hii ro.e to phir sher nam nikaltaa hai
Noman Anwar
Ghazal
hai ibtidaa-e-Gam-e-ishq ro.e jaate hai.n
libaas ra.ngne se pahle bhigo.e jaate hai.n
Talha Rizvi Barq
Ghazal
naakaam ho ke dhuup zamii.n se palaT ga.ii
'ansar' na jaane kaise bhigo.e ga.e the log
Ansar Ali Ansar
Ghazal
bhiigii hai raat 'faiz' Gazal ibtidaa karo
vaqt-e-sarod dard kaa hangaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
'zauq' jo madrase ke big.De hu.e hai.n mullaa
un ko mai-KHaane me.n le aa.o sa.nvar jaa.e.nge
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
ab tak mirii yaado.n se miTaa.e nahii.n miTtaa
bhiigii hu.ii ik shaam kaa manzar tirii aa.nkhe.n
Mohsin Naqvi
Ghazal
paraa.ii aag pe roTii nahii.n banaa.uu.ngaa
mai.n bhiig jaa.uu.ngaa chhatrii nahii.n banaa.uu.ngaa