SEARCH RESULTS
Showing search results for "buto"
Ghazal MATCHES FOR "buto"
Ghazal
ham dekhte hai.n tum me.n KHudaa jaane buto kyaa
is bhed ko allaah kii qasam kah nahii.n sakte
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
allaah ai buto hame.n dikhlaa.e lucknow
sote me.n bhii ye kahte hai.n ham haa.e lucknow
Wajid Ali Shah Akhtar
Ghazal
dam-e-aaKHir tuu buto yaad KHudaa karne do
zindagii bhar to kiyaa mai.n ne tumhaaraa kahnaa
Ameer Minai
Ghazal
ai buto sarkash agar ho aatish-e-ra.ng-e-hinaa
sho.ala-e-javvaala ban jaa.e.n tumhaarii chuu.Diyaa.n
Muneer Shikohabadi
Ghazal
KHudaa-numaa hai but-e-sa.ng-e-aastaana-e-ishq
chaluu.ngaa paa-e-nigah ban ke suu-e-KHaana-e-ishq
Khwaja Mohammad Wazir
Ghazal
majaaz ain-e-haqiiqat hai baa-safaa ke liye
buto.n ko dekh rahaa huu.n magar KHudaa ke liye
Hafeez Jalandhari
Ghazal
aaKHir insaan huu.n patthar kaa to rakhtaa nahii.n dil
ai buto itnaa sataa.o na KHudaa-raa mujh ko
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
aaKHir ko ishq kufr se iimaan ho gayaa
mai.n but-parastiyo.n se musalmaan ho gayaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
naaz bhii tum ko milaa andaaz bhii tum ko mile
kyaa buto allaah bhii detaa hai suurat dekh kar
Natiq Gulavthi
Ghazal
buto haqiir na samjho hame.n KHudaa ke liye
Gariib banda-e-parvar-digaar ham bhii hai.n
Fazal Husain Sabir
Ghazal
buto.n ke hote jo mah par nigaah karte hai.n
qasam KHudaa kii ba.Daa hii gunaah karte hai.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
dil kii kyaa asl hai patthar bhii pighal jaa.e.nge
ai buto tum mire naalo.n me.n asar hone do