SEARCH RESULTS
Showing search results for "buzurg"
Ghazal MATCHES FOR "buzurg"
Ghazal
buzurg kahte the ik vaqt aa.egaa jis din
jahaa.n pe Duubegaa suuraj vahii.n se niklegaa
Rahat Indori
Ghazal
mahbuub kaa ghar ho ki buzurgo.n kii zamiine.n
jo chho.D diyaa phir use mu.D kar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Ghazal
laazim nahii.n ki KHizr kii ham pairvii kare.n
jaanaa ki ik buzurg hame.n ham-safar mile
Mirza Ghalib
Ghazal
talaash jin ko hamesha buzurg karte rahe
na jaane kaun sii duniyaa me.n vo KHazaane the
Aashufta Changezi
Ghazal
ik mehrbaa.n buzurg ne ye mashvara diyaa
dukh kaa ko.ii 'ilaaj nahii.n jaa sharaab pii
Ahmad Faraz
Ghazal
mere qabiile me.n ta.aliim kaa rivaaj na thaa
mire buzurg magar taKHtiyaa.n banaate the
Liaqat Jafri
Ghazal
bos-o-kanaar-o-vasl-e-hasiinaa.n hai KHuub shaGl
kamtar buzurg ho.nge KHilaaf is KHayaal ke
Akbar Allahabadi
Ghazal
kisii buzurg kii sohbat me.n baiThte hai.n 'talab'
balaa kii dhuup hai ab saa.ebaa.n banaate hai.n
Khurshid Talab
Ghazal
apnii jebo.n se rahe.n saare namaazii hushyaar
ik buzurg aate hai.n masjid me.n KHizar kii suurat
Altaf Hussain Hali
Ghazal
Altaf Hussain Hali
Ghazal
maan liije shaiKH jo da.avaa kare
ik buzurg-e-dii.n ko ham jhuTlaa.e.n kyaa
Altaf Hussain Hali
Ghazal
ko.ii daraKHt ko.ii saa.ebaa.n rahe na rahe
buzurg zinda rahe.n aasmaa.n rahe na rahe
Raees Ansari
Ghazal
qadiim qasbo.n me.n kaisaa sukuun hotaa hai
thake thakaa.e hamaare buzurg sote hai.n
Bashir Badr
Ghazal
buzurg ban ke mai.n baiThuu.n ye ho nahii.n saktaa
ko.ii ba.Daa mujhe samjhe 'jigar' KHudaa na kare
Jigar Barelvi
Ghazal
majbuur ho ke dene lage hijrato.n kaa naam
jab bhii buzurg naql-e-makaanii me.n pha.ns ga.e
Khalid Irfan
Ghazal
ik aise buzurg aaj 'naziir' aa ga.e piine
mai-KHaane se ham sharm ke maare nikal aa.e
Nazeer Banarasi
Ghazal
piine jaate hai.n sar-e-shaam 'naziir' ek buzurg
aur kuchh raat Dhale ban ke valii aate hai.n
Nazeer Banarasi
Ghazal
shaiKH-e-zamaa.n qadiim ravish ke buzurg hai.n
kitnaa ba.Daa hai gumbad-e-dastaar dekhnaa