SEARCH RESULTS
Showing search results for "chattaan"
Ghazal MATCHES FOR "chattaan"
Ghazal
agarche mai.n ik chaTaan saa aadmii rahaa huu.n
magar tire baa'd hausla hai ki jii rahaa huu.n
Mohsin Naqvi
Ghazal
Shakeb Jalali
Ghazal
chaTaKH uThaa ho sulagtii chaTaan kii suurat
pukaar ab tuu mire der-aashnaa mujh ko
Ahmad Faraz
Ghazal
hamesha sar pe rahii ik chaTaan rishto.n kii
ye bojh vo hai jise umr-bhar uThaayaa hai
Rahat Indori
Ghazal
aa kar giraa thaa ko.ii parinda lahuu me.n tar
tasviir apnii chho.D gayaa hai chaTaan par
Shakeb Jalali
Ghazal
hai jism saKHt magar dil bahut hii naazuk hai
ki jaise aa.ina mahfuuz ik chaTaan me.n hai
Abbas Dana
Ghazal
tamaam tesha-ba-dast hairat me.n gum hu.e hai.n
charaaG se kaaT dii havaa kii chaTaan mai.n ne
Jamal Ehsani
Ghazal
shal u.ngliyo.n se thaam rakhaa hai chaTaan ko
chhuuTaa jo haath se ye kinaaraa to mai.n gayaa
Saud Usmani
Ghazal
mire qariib se guzraa nahii.n hai sa.ng-taraash
mujassama huu.n mai.n ab tak magar chaTaan me.n huu.n
Adeem Hashmi
Ghazal
mai.n pattharo.n se hii sar ko paTaKH ke lauT aayaa
chaTaan kahtii rahii mujh me.n shaahkaar bhii hai
Adeem Hashmi
Ghazal
paTak ke to.D diyaa jis ne niisha-e-jaa.n ko
me.n juu-e-shiir saa pinhaa.n usii chaTaan me.n thaa
Zafar Ghauri
Ghazal
phir ek baar Galat niklaa ye qayaas miraa
giraa chaTaan pe to aabshaar TuuTegaa