SEARCH RESULTS
Showing search results for "faateh-e-ayyaam"
Ghazal MATCHES FOR "faateh-e-ayyaam"
Ghazal
ye martaba koshish se mayassar nahii.n hotaa
har faateh-e-ayyaam sikandar nahii.n hotaa
Qamar Siddiqi
Ghazal
ek manzar par nazar Thahre to Thahre kis tarah
ham mizaaj-e-gardish-e-ayyaam le kar aa.e hai.n
Syeda Shan-e-Meraj
Ghazal
go aur bhii Gam shaamil-e-Gam ho ke rahe.nge
ham faateh-e-har-ranj-o-alam ho ke rahe.nge
tufail Dara
Ghazal
mujh pe hii KHatm hu.aa silsila-e-nauhagarii
is qadar gardish-e-ayyaam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
sunaa hai faateh-e-aalam thii lekin
mohabbat haath baa.ndhe ab kha.Dii hai
Tasnim Abbas Quraishi
Ghazal
jaise maftuuh na ho faateh-e-sad-aalam ho
dil ne yuu.n Daal diye ishq me.n hathiyaar ki bas
Liyaqat Ali Aasim
Ghazal
duusraa paa.nv uThaane kii zaruurat na pa.De
aur mai.n faateh-e-naahiid-o-surayyaa ho jaa.uu.n
Zubair Shifai
Ghazal
ye alag baat ki mai.n faateh-e-aazam Thahraa
varna hotii rahii har gaam haziimat merii
Aslam Aazad
Ghazal
faateh hii nahii.n faateh-e-aa'zam use kahiye
jis shaKHs ko bhuule se bhii Gussa nahii.n aataa
Moeen Kausar
Ghazal
baada-gardaan-e-ajam vo arabii merii sharaab
mire saaGar se jhijakte hai.n mai-aashaam abhii
Allama Iqbal
Ghazal
dast-e-falak me.n gardish-e-taqdiir to nahii.n
dast-e-falak me.n gardish-e-ayyaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ai hariifaan-e-Gam-e-gardish-e-ayyaam aa.o
ek hii Gol ke ham log hai.n haare hu.e log
Aziz Hamid Madni
Ghazal
qaabuu hii Gam-e-ishq pe chaltaa nahii.n varna
ehsaan-e-Gam-e-gardish-e-ayyaam na lete
Fani Badayuni
Ghazal
suruur-e-faateh-e-manzil ke dekhne vaalo
Guruur-e-azmat-e-manzil pe kyaa guzartii hai
Shadan Indauri
Ghazal
in KHvaahisho.n kaa aur kyaa honaa thaa intizaam
nazr-e-mizaaj-e-gardish-e-ayyaam kar diyaa
Azhar Nawaz
Ghazal
na sahii un kii mohabbat kaa asar ai hamdam
dil ko ehsaas-e-Gam-e-gardish-e-ayyaam sahii
Kaleem Saronji
Ghazal
sur-at-e-ablaq-e-ayyaam se Gaafil thaa aah
dam-e-aaKHir mai.n use umr kaa tausan samjhaa
Shah Naseer
Ghazal
mere labo.n pe shikva-e-taqdiir to nahii.n
zikr-e-ma.aal-e-gardish-e-ayyaam hii to hai