SEARCH RESULTS
Showing search results for "furaat"
Ghazal MATCHES FOR "furaat"
Ghazal
rahegaa raavii o niil o furaat me.n kab tak
tiraa safiina ki hai bahr-e-be-karaa.n ke liye
Allama Iqbal
Ghazal
kisii ko raasta de de.n kisii ko paanii na de.n
kahii.n pe niil kahii.n par furaat hai.n ham log
Umair Najmi
Ghazal
dono.n ko pyaasaa maar rahaa hai ko.ii yaziid
ye zindagii husain hai aur mai.n furaat huu.n
Bashir Badr
Ghazal
jahaa.n jahaa.n bhii hai nahr-e-furaat kaa imkaa.n
vahii.n yaziid kaa lashkar dikhaa.ii detaa hai
Ameer Qazalbash
Ghazal
nazar me.n rakhte hai.n asr-e-buland-e-baami-e-mehr
furaat-e-jabr ke har tishna-lab se vaaqif hai.n
Iftikhar Arif
Ghazal
Saleem Siddiqui
Ghazal
furaat-e-faasila se dajla-e-du.aa se udhar
ko.ii pukaartaa hai dasht-e-nainavaa se udhar
Sarvat Husain
Ghazal
KHairaat sirf itnii milii hai hayaat se
paanii kii buu.nd jaise ataa ho furaat se
Abdul Hamid Adam
Ghazal
lab-e-furaat vahii tishnagii kaa manzar hai
vahii husain vahii qaatilo.n kaa lashkar hai
Hafeez Banarasi
Ghazal
furaat mashk me.n bhar ke KHiyaam tak Gaazii
na lauT paayaa magar lauTne kii KHvaahish thii
Imran Rahib
Ghazal
hazar ki dajla-e-dushvaar par qadam rakhtaa
shikaar-gaah-e-furaat-o-fanaa ko jaataa huu.n
Sarvat Husain
Ghazal
kyuu.n dajla-o-furaat ke da.ave ki nahr par
tishna-dahan shahiid-e-jafaa ham hu.e ki tum
Rais Amrohvi
Ghazal
imaam-e-tishna kii aulaad Thahrii huu.n aaKHir
so mujh ko yaksaa.n milaa raavii-o-furaat kaa dukh
Saima Aftab
Ghazal
bas be-sabab furaat pe ilzaam aa gayaa
ye pyaas to furaat se pahle kii baat hai
Kazim Husain Kazim
Ghazal
lab-e-furaat rahe pyaase vaaris-e-zamzam
shikaar akelaa nahii.n mai.n hii tishna-kaamii kaa
Firaq Jalalpuri
Ghazal
Jafar Abbas
Ghazal
furaat aaj ravaa.n hai yaziid pyaasaa hai
ye pyaas ko.ii bujhaa kar savaab kyaa letaa