SEARCH RESULTS
Showing search results for "gardish"
Ghazal MATCHES FOR "gardish"
Ghazal
mujh pe hii KHatm hu.aa silsila-e-nauhagarii
is qadar gardish-e-ayyaam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
sab se nazar bachaa ke vo mujh ko kuchh aise dekhtaa
ek daf'a to ruk ga.ii gardish-e-maah-o-saal bhii
Parveen Shakir
Ghazal
dast-e-falak me.n gardish-e-taqdiir to nahii.n
dast-e-falak me.n gardish-e-ayyaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ruke to gardishe.n us kaa tavaaf kartii hai.n
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
ik to ham ko adab aadaab ne pyaasaa rakkhaa
us pe mahfil me.n suraahii ne bhii gardish nahii.n kii
Ahmad Faraz
Ghazal
aaj phir gardish-e-taqdiir pe ronaa aayaa
dil kii big.Dii hu.ii tasviir pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
KHaalii hai abhii jaam mai.n kuchh soch rahaa huu.n
ai gardish-e-ayyaam mai.n kuchh soch rahaa huu.n
Abdul Hamid Adam
Ghazal
kyuu.n gardish-e-mudaam se ghabraa na jaa.e dil
insaan huu.n piyaala o saaGar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Ghazal
tuu bhii kho jaa.egii Tapke hu.e aa.nsuu kii tarah
dekh ai gardish-e-ayyaam mire saath na chal
Shakeel Azmi
Ghazal
kab tak rahe mahkuumi-e-anjum me.n mirii KHaak
yaa mai.n nahii.n yaa gardish-e-aflaak nahii.n hai
Allama Iqbal
Ghazal
tere paimaane me.n gardish nahii.n baaqii saaqii
aur tirii bazm se ab ko.ii uThaa chaahtaa hai
Parveen Shakir
Ghazal
raat din gardish me.n hai.n saat aasmaa.n
ho rahegaa kuchh na kuchh ghabraa.e.n kyaa
Mirza Ghalib
Ghazal
rago.n me.n gardish-e-KHuu.n hai agar to kyaa haasil
hayaat soz-e-jigar ke sivaa kuchh aur nahii.n
Allama Iqbal
Ghazal
inqalaab-e-pai-ba-pai har gardish o har daur me.n
is zamiin o aasmaa.n ko kyaa samajh baiThe the ham
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
Dagh Dehlvi
Ghazal
ham ko to gardish-e-haalaat pe ronaa aayaa
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa