SEARCH RESULTS
Showing search results for "hamo.n"
Ghazal MATCHES FOR "hamo.n"
Ghazal
sariir-e-saltanat se aastaan-e-yaar behtar thaa
hame.n zill-e-humaa se saaya-e-diivaar behtar thaa
Inamullah Khan Yaqeen
Ghazal
sunaa hai rabt hai us ko KHaraab-haalo.n se
so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
hame.n to hazrat-e-vaa.iz kii zid ne pilvaa.ii
yahaa.n iraada-e-sharb-e-mudaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
ko.ii apnii hii nazar se to hame.n dekhegaa
ek qatre ko samundar nazar aa.e.n kaise
Waseem Barelvi
Ghazal
ab kii jo raah-e-mohabbat me.n uThaa.ii takliif
saKHt hotii hame.n manzil kabhii aisii to na thii
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
'Gaalib' hame.n na chhe.D ki phir josh-e-ashk se
baiThe hai.n ham tahayya-e-tuufaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
zindagii tuu kab talak dar-dar phiraa.egii hame.n
TuuTaa-phuuTaa hii sahii ghar-baar honaa chaahiye
Munawwar Rana
Ghazal
kyaa ko.ii na.ii baat nazar aatii hai ham me.n
aa.iina hame.n dekh ke hairaan saa kyuu.n hai
Shahryar
Ghazal
vo hame.n bhuul gayaa ho to ajab kyaa hai 'faraaz'
ham ne bhii mel-mulaaqaat kii koshish nahii.n kii
Ahmad Faraz
Ghazal
sunaa hai hame.n vo bhulaane lage hai.n
to kyaa ham unhe.n yaad aane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Ghazal
kaise kisii kii yaad hame.n zinda rakhtii hai
ek KHayaal sahaaraa kaise ho saktaa hai
Jawad Sheikh
Ghazal
usii kaa shahr vahii mudda.ii vahii munsif
hame.n yaqii.n thaa hamaaraa qusuur niklegaa
Ameer Qazalbash
Ghazal
vo jaan hii ga.e ki hame.n un se pyaar hai
aa.nkho.n kii muKHbirii kaa mazaa ham se puuchhiye
Khumar Barabankavi
Ghazal
rabt-e-baaham pe hame.n kyaa na kahe.nge dushman
aashnaa jab tire paiGaam se jal jaate hai.n
Qateel Shifai
Ghazal
ab to har haath kaa patthar hame.n pahchaantaa hai
umr guzrii hai tire shahr me.n aate jaate
Rahat Indori
Ghazal
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n