SEARCH RESULTS
Showing search results for "itvaar"
Ghazal MATCHES FOR "itvaar"
Ghazal
apnii yaado.n se kaho ik din kii chhuTTii de mujhe
ishq ke hisse me.n bhii itvaar honaa chaahiye
Munawwar Rana
Ghazal
ham bhii ga.e hai.n hosh se saaqii kabhii kabhii
lekin tirii nigaah ke atvaar dekh kar
Abdul Hamid Adam
Ghazal
mansuub hai.n insaan se jitne bhii fazaa.el
apne hii nahii.n mere bhii atvaar me.n dekhe.n
Fatima Hasan
Ghazal
duniyaa me.n sadaa chaltii hai chaahat kii hukuumat
aa jaa.o manaa le.nge ham itvaar kisii din
Badr Wasti
Ghazal
apne atvaar me.n kitnaa ba.Daa shaatir hogaa
zindagii tujh se kabhii jis ne shikaayat nahii.n kii
Zafar Gorakhpuri
Ghazal
us se ab tark-e-mohabbat kaa gila kyaa ma.anii
mujh ko tasliim ki atvaar the beDhab mere
Kausar Niyazi
Ghazal
rah kar zamii.n pe chaa.nd ke diidaar ke liye
daftar me.n din guzarte hai.n itvaar ke liye
Om Awasthi
Ghazal
minnat se manaate hai.n mujhe mai.n nahii.n mantaa
auza-e-malak dekh aur atvaar-e-gadaa dekh
Shefta Mustafa Khan
Ghazal
atvaar tire ahl-e-zamii.n se nahii.n milte
andaaz kisii aur hasii.n se nahii.n milte
Mirza Hadi Ruswa
Ghazal
paas baiThe ko.ii dil khol ke do baat kare
baaqii duniyaa ke ye atvaar-o-adaa tum rakh lo
Aisha Ayub
Ghazal
mushkil se aataa hai aur u.D jaataa hai
is hafte itvaar chhupaa kar rakhnaa tum
Bhaskar Shukla
Ghazal
nazar un se ye sunday ko baaGiiche me.n milii aisii
ki ab hafte ke har din ko mujhe itvaar karnaa hai
Anand Verma
Ghazal
haakim-e-vaqt yuu.n maGruur na ban hosh me.n aa
piir aataa hai to itvaar badal jaataa hai
Aadil Rahi
Ghazal
aaj milnaa hai kahaa piir ko us ne 'kaashif'
mai.n ne reply kiyaa jaan ye itvaar nahii.n
Kashif Shakeel
Ghazal
Pratap Somvanshi
Ghazal
ye sach hai vo har hafte hii aataa hai
sab kii qismat me.n itvaar nahii.n hotaa
Pratap Somvanshi
Ghazal
inkaar ham se Gair se iqraar bas jii bas
dekhe tumhaare ham ne ye atvaar bas jii bas