itwar subh chaar sawa chaar kaun hai
itvār sub.h chaar savā chaar kaun hai
ghanTī to chhoḌ aayā are yaar kaun hai
sahrā kī sard raat 'aqab se ḳhafīf chaap
is vaqt is jagah pe ḳhabar-dār kaun hai
vo mujh se qabl kyā thā aur ab kyā hai jā ke dekh
tā'mīr ḳhud batā.egī me'mār kaun hai
us ko mire maraz pe ḳhushī hai dilī ḳhushī
ab to batā ki asl meñ bīmār kaun hai
us kā ghamanD toḌ ke dekhā aur aa gayā
bas dekhnā hī thā pas-e-dīvār kaun hai
mā'lūm thā kisī ne bhī aanā nahīñ magar
chaukhaT tak aa ke pūchhā ka.ī baar kaun hai
itwar subh chaar sawa chaar kaun hai
ghanTi to chhoD aaya are yar kaun hai
sahra ki sard raat 'aqab se KHafif chap
is waqt is jagah pe KHabar-dar kaun hai
wo mujh se qabl kya tha aur ab kya hai ja ke dekh
ta'mir KHud bataegi me'mar kaun hai
us ko mere maraz pe KHushi hai dili KHushi
ab to bata ki asl mein bimar kaun hai
us ka ghamanD toD ke dekha aur aa gaya
bas dekhna hi tha pas-e-diwar kaun hai
ma'lum tha kisi ne bhi aana nahin magar
chaukhaT tak aa ke puchha kai bar kaun hai
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 86)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.