SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaasa-e-talab"
Ghazal MATCHES FOR "kaasa-e-talab"
Ghazal
mujhe sameT ke rakhtaa hai kitnii der 'talab'
kisii ke husn-e-nazar kaa kamaal dekhtaa huu.n
Khurshid Talab
Ghazal
lagtaa hai pech-o-taab ke aage kuchh aur hai
is shor-e-inqalaab ke aage kuchh aur hai
Khurshid Talab
Ghazal
ik qalandar kii tarah vaqt rahaa mahv-e-KHiraam
us ne kab dhyaan ''talab'' shor-e-sagaa.n par rakkhaa
Khurshid Talab
Ghazal
bhaTak rahii thii havaa kaasa-e-talab le kar
so raaste me.n diyaa mai.n jalaa ke baiTh gayaa
Neyaz Jairajpuri
Ghazal
abhii uThaa bhii nahii.n thaa kisii kaa dast-e-karam
ki saaraa shahr liye kaasa-e-talab niklaa
Iftikhar Arif
Ghazal
Ibn e Insha
Ghazal
Ibn e Insha
Ghazal
kis ko ma.aluum hai.n is daur me.n aadaab-e-nazar
kaun ab marhal-e-tark-e-talab puuchhegaa
Syeda Shan-e-Meraj
Ghazal
ik rishta ehtiyaaj kaa sau ruup me.n milaa
so ham bhii ab ba-tarz-e-talab bolne lage
Badr-e-Alam Khalish
Ghazal
reza-e-sang to aaya gul-e-manzar na sahii
kaasa-e-chashm ko hairat se khulaa rahne do
Syeda Shan-e-Meraj
Ghazal
kaasa-e-zaKHm-talab le ke chalaa huu.n KHaalii
sa.ng-reza hii ko.ii aap ne phe.nkaa hotaa
Anwar Masood
Ghazal
kis ne sikhaayaa saa.il ko bhuuk kaa taraana
phir kis ne laa ke kaasa dast-e-talab me.n rakkhaa
Mohammad Ahmad
Ghazal
raah-e-talab me.n azm-e-tajassus javaa.n rahe
manzil jo be-nishaa.n hai mirii be-nishaa.n rahe
Naresh M. A
Ghazal
ai 'ka.nval' paa-e-talab hii me.n thii laGzish varna
marhale jo bhii the is raah me.n aasaa.n hote
Kanval M. A
Ghazal
ai 'ka.nval' paa-e-talab hii me.n thii laGzish varna
marhale jo bhii the is raah me.n aasaa.n hote
Kanval M. A
Ghazal
Ibn-e-Safi
Ghazal
chhalaktii aa.e ki apnii talab se bhii kam aa.e
hamaare saamne saaqii ba-saaGar-e-jam aa.e
Ibn-e-Safi
Ghazal
tum namak-paashii karoge to maza aa jaa.egaa
zaKHm vo rakhtaa huu.n jo minnat-kash-e-marham nahii.n
Shakeel Ibn-e-Sharaf
Ghazal
hisaar-e-kaasa-e-sar to.D kar nikal aa.e
talab hu.ii thii to sajdo.n ke par nikal aa.e
Ghaus Mohammad Ghausi
Ghazal
ek mai.n huu.n aur laakh masaa.il KHudaa gavaah
dast-e-talab hai kaasa-e-saa.il KHudaa gavaah