SEARCH RESULTS
Showing search results for "khaamosh-nigaahii"
Ghazal MATCHES FOR "khaamosh-nigaahii"
Ghazal
ajiib vasl hai lagtaa hai hijr ho jaise
tirii KHamosh-nigaahii hame.n azaab lage
Saghir Ahmad Saghir Ahsani
Ghazal
tirii KHaamosh-nigaahii bhii fusuu.n rakhtii hai
an-kahaa lafz bhii siine me.n utar jaataa hai
Shad Nimbahedi
Ghazal
isii se faash hu.aa zindagii kaa soz-e-daruu.n
mirii KHamosh-nigaahii ki be-navaa bhii nahii.n
Ehsan Nanparwi
Ghazal
terii KHaamosh-nigaahii ke takallum kii qasam
tuu agar chup ho to ik aalam-e-huu boltaa hai
Mohammad Owais Malik
Ghazal
KHaamosh nigaaho.n se vo yalGaar kaa honaa
miltaa hai nafii me.n kisii iqraar kaa honaa
Jafar Sahni
Ghazal
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
pathraane lage the mire a.asaab ko.ii dam
KHaamosh nigaaho.n ke baraabar se uThaa mai.n
Dilawar Ali Aazar
Ghazal
mere vijdaan ne mahsuus kiyaa hai aksar
terii KHaamosh nigaaho.n kaa Gazal-KHvaa.n honaa
Naresh Kumar Shad
Ghazal
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
ko.ii samjhe mirii KHaamosh nigaaho.n kii sadaa
dard meraa mirii tasviir se pahchaanaa jaa.e
Shakeel Azmi
Ghazal
haal kah dete hai.n naazuk se ishaare aksar
kitnii KHaamosh nigaaho.n kii zabaa.n hotii hai
Mahesh Chandra Naqsh
Ghazal
maanaa ki yahaa.n jurm hai iz.haar-e-mohabbat
KHaamosh nigaaho.n se sadaa kyo.n nahii.n dete
Suhaib Farooqui
Ghazal
KHaamosh nigaaho.n me.n qayaamat kaa asar thaa
guzraa hai sunaataa hu.aa afsaana saa ik shaKHs
Akhtar Ansari Akbarabadi
Ghazal
vo phir KHamosh nigaahe.n liye hu.e 'baasit'
mirii kisii bhii jhalak tak nahii.n ga.ii hogii
Vasaf Basit
Ghazal
pahle KHaamosh nigaaho.n se suKHan kartaa hai
aur phir jalte charaaGo.n ko bujhaa detaa hai
Mohammad Mustahsan Jami
Ghazal
KHaamosh nigaaho.n ko ma.asuum na samjhaa kar
so.ii hu.ii maujo.n me.n tuufaan bhii palte hai.n