SEARCH RESULTS
Showing search results for "khasaare"
Ghazal MATCHES FOR "khasaare"
Ghazal
Sarvat Husain
Ghazal
kisii kaa apnaa mohabbat me.n kuchh nahii.n hotaa
ki mushtarak hai.n yahaa.n suud bhii KHasaare bhii
Amjad Islam Amjad
Ghazal
KHasaare jitne hu.e hai.n vo jaagne se hu.e
so har taraf se sadaa hai ke jaa ke so jaa.o
Rauf Raza
Ghazal
sirf mai.n hii nahii.n baazaar kii mandii kaa shikaar
jeb me.n le ke KHasaare to sabhii jaa.e.nge
Shakeel Azmi
Ghazal
dhuup me.n saayaa bane tanhaa kha.De hote hai.n
ba.De logo.n ke KHasaare bhii ba.De hote hai.n
Azhar Faragh
Ghazal
apne hisse me.n hii aane the KHasaare saare
dost hii dost the bastii me.n hamaare saare
Imran-ul-haq Chauhan
Ghazal
jo log dushman-e-jaa.n the vahii sahaare the
munaafe the mohabbat me.n ne KHasaare the
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
mai.n abhii pahle KHasaare se nahii.n niklaa huu.n
phir bhii tayyaar hai dil duusrii naadaanii par
Jamal Ehsani
Ghazal
jis tarah log KHasaare me.n bahut sochte hai.n
aaj kal ham tire baare me.n bahut sochte hai.n
Iqbal Kausar
Ghazal
raat bhar jaag ke ham ne jo kamaa.ii kii hai
us se to din ke KHasaare bhii nahii.n nikle.nge
Shakeel Azmi
Ghazal
mere maulaa vo KHasaare ke sivaa kuchh bhii nahii.n
har vo lamha jo tirii yaad se KHaalii jaa.e
Mubarik Siddiqi
Ghazal
kabhii dimaaG ko KHaatir me.n ham ne laayaa nahii.n
ham ahl-e-dil the hamesha rahe KHasaare me.n
Khurshid Talab
Ghazal
raa.egaanii kaa vo 'aalam hai ki yuu.n lagtaa hai
mere hisse me.n KHasaare bhii nahii.n aa.e.nge
Zaheer Mushtaq Rana
Ghazal
Zafar Iqbal
Ghazal
kab ahl-e-vafaa jaan kii baazii nahii.n haare
kab ishq me.n jaano.n ke KHasaare nahii.n nikle
Rajendra Nath Rahbar
Ghazal
is KHasaare me.n ajab tarah kii sarshaarii thii
dil ko maamuur sadaa kaar-e-ziyaa.n par rakkhaa
Khurshid Talab
Ghazal
ham kaarobaar-e-dil ko kahe.n kis tarah Galat
ho.nge bahut se log KHasaare me.n ham nahii.n