SEARCH RESULTS
Showing search results for "latifa"
Ghazal MATCHES FOR "latifa"
Ghazal
vo ik ha.nsii jo khanaktii hai ab bhii kaano.n me.n
vo ik latiifa jo ab yaad aa nahii.n saktaa
Salman Akhtar
Ghazal
jahaan-e-saut-o-sadaa me.n samaa nahii.n saktii
latiifa-e-azalii hai fuGaan-e-cha.ng-o-rabaab
Allama Iqbal
Ghazal
saarii mahfil ko ishaaro.n me.n luTaa do ai jaan
siikh lo chashm-e-suKHan-go se latiifa kahnaa
Ameer Minai
Ghazal
sho.abada-baazii kisii kii na chalegii ham par
tanz o dushnaam ko kahte ho latiifa samjhe.n
Bilqis Zafirul Hasan
Ghazal
be-shu.uuro.n ne na samjhaa to na samjhaa 'aatish'
nukta-sanjo.n ko latiifa thii tirii baat na thii
Haidar Ali Aatish
Ghazal
rone vaalii baat bhii ho to latiifa jaaniye
umr ke din kaaTne hii hai.n to ha.ns kar kaaTiye
Nisar Nasik
Ghazal
yaaro ba.Daa 'ajiib latiifa hai zindagii
aa.o suno ki ha.nsne-ha.nsaane ko aa.e hai.n
Ameer Imam
Ghazal
sunaa.iye vo latiifa har ek jaam ke saath
ki ek buu.nd se iimaan TuuT jaataa hai
Muzaffar Hanfi
Ghazal
KHaamoshii bhii kuchh turfa latiifa hai ki 'qaa.em'
karnaa pa.De jis me.n na tasanno' na takalluf
Qayem Chaandpuri
Ghazal
kahaaniyo.n se kashiida malaal kii qirat
aur us ke baa'd latiifa sunaa diyaa us ne
Aqeel Abbas
Ghazal
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
ko.ii latiifa thaa jis me.n yaaro.n kaa zikr aayaa
use ha.nsaanaa thaa KHud ko maGmuum kar liyaa hai
Umair Najmi
Ghazal
ik shaKHs kii maujuudgii Gaa.eb kaa pata thii
yaaro.n me.n magar misl-e-latiifa rahe dono.n
Raunaq Shahri
Ghazal
ek din raat ke girye kaa latiifa honaa
yaa'nii jaaduu hai ko.ii hijr puraanaa honaa
Asim Qamar
Ghazal
hai kaisaa vaqt KHudaayaa suKHan pe aayaa hu.aa
latiifa-go bhii ka.ii shaa'iro.n kii saf me.n hai.n