SEARCH RESULTS
Showing search results for "madad"
Ghazal MATCHES FOR "madad"
Ghazal
ye ruuh barso.n se dafn hai tum madad karoge
badan ke malbe se is ko zinda nikaalnaa hai
Umair Najmi
Ghazal
laash kii tarah sar-e-aab huu.n mai.n aur 'shaahid'
Duubne vaale madad-gaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Ghazal
vo jo maujuud nahii.n us kii madad chaahte hai.n
vo jo suntaa hii nahii.n us ko pukaare jaa.e.n
Ahmad Faraz
Ghazal
allaah Gariibo.n kaa madad-gaar hai 'raanaa'
ham logo.n ke bachche kabhii sardii nahii.n khaate
Munawwar Rana
Ghazal
un kii appeal hai ki unhe.n ham madad kare.n
chaaquu kii pasliyo.n se guzaarish to dekhiye
Dushyant Kumar
Ghazal
kuchh na kahne se bhii chhin jaataa hai ejaaz-e-suKHan
zulm sahne se bhii zaalim kii madad hotii hai
Muzaffar Warsi
Ghazal
us kuu me.n jaa mare.nge madad ai hujuum-e-shauq
aaj aur zor karte hai.n be-taaqatii se ham
Momin Khan Momin
Ghazal
samundaro.n ko bhii hairat hu.ii ki Duubte vaqt
kisii ko ham ne madad ke liye pukaaraa nahii.n
Iftikhar Arif
Ghazal
tuu kisii din kahii.n be-maut na maaraa jaa.e
tuu ne yaaro.n ko madad-gaar samajh rakkhaa hai
Haseeb Soz
Ghazal
Ganiim se bhii adaavat me.n had nahii.n maa.ngii
ki haar maan lii lekin madad nahii.n maa.ngii
Ahmad Faraz
Ghazal
Zulfiqar Aadil
Ghazal
mirii madad se khujuuro.n kii fasl pakne lage
mai.n chaahtaa huu.n ki sahraa kii dopahar ho jaa.uu.n
Munawwar Rana
Ghazal
mere ashko.n kii madad chaahiye batlaa.o mujhe
kaun se phuul pe shabnam nahii.n rakkhii jaatii
Tahzeeb Hafi
Ghazal
lagtaa hai log ab na bachaa paa.e.nge ise
allaah madad ko tuu mirii aa shahr ko bachaa
Taimur Hasan
Ghazal
uTh rahe hai.n mire nazro.n se du.ii ke parde
kuchh madad aur KHayaal-e-ruKH-e-jaanaa.n karnaa