SEARCH RESULTS
Showing search results for "marammat"
Ghazal MATCHES FOR "marammat"
Ghazal
KHaas sa.Dke.n band hai.n tab se marammat ke liye
ye hamaare vaqt kii sab se sahii pahchaan hai
Dushyant Kumar
Ghazal
hijr kii raat mirii jaan ko aa.ii hu.ii hai
bach gayaa to mai.n mohabbat kii mazammat karuu.ngaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
hasb-e-maqduur hame.n KHaak u.Daanii hai so ham
jism-e-KHasta kii marammat nahii.n karne vaale
Aqib Sabir
Ghazal
TuuT jaataa huu.n mai.n har roz marammat kar ke
aur ghar hai ki mire sar pe giraa chaahtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
Fazil Jamili
Ghazal
ye soch kar bhii chhat kii marammat na kii 'zakii'
taaza havaa to aatii rahegii shigaaf se
Arshad Abbas Zaki
Ghazal
TuuTii diivaar se apno.n ko mahak aatii hai
is liye ghar kii marammat nahii.n karne vaale
Anudil Shams
Ghazal
Boom Merathi
Ghazal
pyaar kii suu.ii bhii chubhtii hai rafuu karne me.n
chaak-e-dil kii to marammat bhii burii hotii hai
Sahil Ajmeri
Ghazal
'kabiir' jab sabhii diivaare.n KHasta ho jaa.e.n
to phir makaan marammat se TuuT jaate hai.n
Inam Kabeer
Ghazal
raa.igaanii kii riyaazat bhii nahii.n kar saktaa
TuuTe rishto.n kii marammat bhii nahii.n kar saktaa
Shoeb Zaman
Ghazal
shaayad hai 'aziiz us ko mirii muflisii 'aalam'
vo mere muqaddar kii marammat nahii.n kartaa
Aalam Nizami
Ghazal
marammat me.n bahut KHarcha thaa saahab
mai.n apne KHvaab jarjar chho.D aayaa
Zohheb Farooqui Afrang
Ghazal
samaaj terii marammat na ho sakegii kahii.n
jo ham Gariibo.n ne dast-o-hunar sameT liye
Shahid Jamal
Ghazal
merii sazaa jazaa ai farishto na tolnaa
pahle zaraa marammat-e-miizaan kiijiye
Shahid Najibabadi
Ghazal
vaqt hai kar lo marammat abhii ghar kii 'betaab'
abhii rauzan nahii.n zaahir hu.e diivaaro.n me.n
Pritpal Singh Betab
Ghazal
fursat nahii.n ki fikr-e-marammat kare ko.ii
muddat se ik daraar pa.Dii hai makaan me.n
Faheem Jogapuri
Ghazal
is jahaa.n ko hai marammat kii zaruurat
chal kare.n ham ibtidaa apne yahaa.n se
Prashant Sharma Daraz
Ghazal
diivaar-o-dar bhii apnii marammat se ta.ng the
gir jaa.e ab makaan ki me.amaar so ga.e
Iqbal Ashhar Quraishi
Ghazal
chhe.D kar majma-e-zuhhaad ko Dartaa huu.n 'riyaaz'
kohna masjid kii evaz ho na marammat merii