SEARCH RESULTS
Showing search results for "marhuum"
Ghazal MATCHES FOR "marhuum"
Ghazal
na gayaa par na gayaa sham.a kaa ronaa kisii haal
go ki parvaana-e-marhuum saa dam-saaz aayaa
Shad Azimabadi
Ghazal
tazkira dehli-e-marhuum kaa ai dost na chhe.D
na sunaa jaa.egaa ham se ye fasaana hargiz
Altaf Hussain Hali
Ghazal
Sahir Ludhianvi
Ghazal
haa.e kyaa qahr hai marhuum javaanii kii yaad
dil se kahtii hai ki KHanjar kii ravaanii huu.n mai.n
Akhtar Ansari
Ghazal
ta.Dpuu.ngaa umr-bhar dil-e-marhuum ke liye
kam-baKHt naa-muraad la.Dakpan kaa yaar thaa
Bekhud Dehlvi
Ghazal
kuchh dil-e-marhuum kii baate.n karo ai ahl-e-ilm
jis se viiraane the aabaad us divaane kii kaho
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
le ga.e shauq se marhuum kii har shai ahbaab
chho.D dii taaq ke uupar hii achchhaa.ii us kii
Javed Shaheen
Ghazal
aa ga.ii hai yaad aaj apne dil-e-marhuum kii
saarii duniyaa sog me.n Duubii hu.ii paataa huu.n mai.n
Nazeer Banarasi
Ghazal
sune.nge chhe.D ke afsaana-e-dil-e-marhuum
idhar se mulk-e-adam kaa jo kaarvaa.n niklaa
Yagana Changezi
Ghazal
itnii guzrii jo tire hijr me.n so us ke sabab
sabr marhuum ajab monis-e-tanhaa.ii thaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
Syed Naseer Shah
Ghazal
kaaGaz qalam kitaab se mahruum ho ga.e
ham jiite jii jahaan me.n marhuum ho ga.e
Abdussamad Khan Qaiser
Ghazal
Gam me.n parvaana-e-marhuum ke thamte nahii.n ashk
sham.a ai sham.a zaraa dekh to mu.nh tuu apnaa