SEARCH RESULTS
Showing search results for "muskuraate"
Ghazal MATCHES FOR "muskuraate"
Ghazal
Fana bulandshahri
Ghazal
aaKHirash rishta to ham me.n ik KHushii ik Gam kaa thaa
muskuraate jaa.iye aa.nsuu bahaate jaa.iye
Jaun Eliya
Ghazal
bhuule se muskuraa to diye the vo aaj 'faiz'
mat puuchh valvale dil-e-naa-kardaa-kaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulsitaa.n mo.attar
agar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii
Agha Hashr Kashmiri
Ghazal
mai.n ne puuchhaa thaa ki aaKHir ye taGaaful kab tak
muskuraate hu.e bole ki savaal achchhaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
muskuraate hu.e miltaa huu.n kisii se jo 'zafar'
saaf pahchaan liyaa jaataa huu.n royaa hu.aa mai.n
Zafar Iqbal
Ghazal
mere is zulmat-kade ko jagmagaate jaa.iye
ho sake to merii KHaatir muskuraate jaa.iye
Mahirul Qadri
Ghazal
subah ko dekh ke aa.iine me.n bose kaa nishaa.n
muskuraate hu.e ho.nTo.n me.n gilaa karte hai.n
Ahmad Husain Mail
Ghazal
itnaa royaa huu.n Gam-e-dost zaraa saa ha.ns kar
muskuraate hu.e lamhaat se jii Dartaa hai
Hasan Naim
Ghazal
muskuraate hai.n saliiqe se chaman me.n Gunche
tum se siikhaa hu.aa andaaz-e-tabassum to nahii.n
Qamar Jalalvi
Ghazal
ik bahaar aatii hai ik bahaar jaatii hai
Gunche muskuraate hai.n phuul haath malte hai.n
Sahba lakhnavi
Ghazal
muskuraate ho magar soch lo itnaa ai 'nuur'
suud letii masarrat bhii mahaajan kii tarah
Krishn Bihari Noor
Ghazal
muskuraate hu.e mai.n baat badal detaa huu.n
jab ko.ii mujh se mire ghar kaa pata puuchhtaa hai
Rajesh Reddy
Ghazal
nigaah-e-naaz kii farmaa-ravaa.iyaa.n tauba
vo muskuraa bhii rahii thii.n sazaa sunaate hu.e
Ahtamam Sadiq
Ghazal
is aadmii ne bahut qahqahe lagaa.e hai.n
ye aadmii jo laraztaa hai muskuraate hu.e