SEARCH RESULTS
Showing search results for "muvaafaqat"
Ghazal MATCHES FOR "muvaafaqat"
Ghazal
phirte ho kyaa daraKHto.n ke saa.e me.n duur duur
kar lo muvaafaqat kisuu be-barg-o-saaz se
Meer Taqi Meer
Ghazal
'saudaa' muvaafaqat kaa sabab jaantaa hai yaar
samjhe muKHaalif us ko kuchh aGyaar kuchh kaho
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
muvaafaqat kii bahut shahriyo.n se mai.n lekin
vahii Gazaal abhii ram rahaa hai aa.nkho.n me.n
Qayem Chaandpuri
Ghazal
gul se shagufta daaG dikhaataa huu.n tere tii.n
gar muvaafaqat kare hai tanik mujh se saal-o-maah
Meer Taqi Meer
Ghazal
muvaafaqat na kabhii sard-o-garm me.n hogii
hai chaa.ndnii mirii piirii tirii javaanii dhuup
Imdad Ali Bahr
Ghazal
muvaafaqat me.n chalii thii mire safiine kii
havaa ne biich samundar me.n iKHtilaaf kiyaa
Ghulam Murtaza Rahi
Ghazal
KHurshiid aap le ke chalaa tujh ko saa.e saa.e
terii muvaafaqat me.n falak vaazhguu.n hu.aa
Khalid Iqbal Yasir
Ghazal
muvaafaqat hii binaa ahliyat kii ho jis me.n
mujhe to Dho.ng vo saaraa chunaav lagtaa hai
Asim Wasti
Ghazal
durust baat thii ham iKHtilaaf kyaa karte
muvaafaqat kii bhii itnii ba.Dii sazaa kyaa hai
M. K. Asar
Ghazal
kaakul-badosh aaj vo sargarm-e-bahs hai.n
dil kii muvaafaqat me.n ko.ii faisla hu.aa
Saifi Premi
Ghazal
hamaare shahr me.n 'aamii' munaafiqat hai bahut
makiin kyaa dar-o-diivaar jhuuT bolte hai.n
Imran Aami
Ghazal
munaafiqat pe jinhe.n iKHtiyaar haasil hai
vo arz karte hai.n tujh se gila nahii.n karte
Mohsin Bhopali
Ghazal
mujhe bhii sahnii pa.Degii muKHaalifat apnii
jo khul ga.ii kabhii mujh par munaafiqat apnii
Anjum Saleemi
Ghazal
Aftab Hussain
Ghazal
munaafiqat ne lahuu tan me.n itnaa garmaayaa
ki guftuguu me.n riyaa-kaariyaa.n sajaa lii hai.n
Mohsin Ehsan
Ghazal
ahd-e-musaafarat se vo mansuuKH ho chukii
jis rahguzar se tum ne mujhe aashnaa kiyaa
Yasmeen Hameed
Ghazal
nafrat munaafiqat se rahii mujh ko umr bhar
mai.n chal sakaa nahii.n huu.n zamaane ke saath saath