SEARCH RESULTS
Showing search results for "naafiz"
Ghazal MATCHES FOR "naafiz"
Ghazal
Kaami Shah
Ghazal
hukm saadir hai to naafiz bhii karo mere huzuur
faisle me.n ko.ii taaKHiir nahii.n chaahtaa mai.n
Ahmad Ashfaq
Ghazal
naafiz hai zabaa.n-bandii kaa dastuur abhii tak
kyaa dil pe guzartii hai bataa bhii nahii.n saktaa
Barqi Azmi
Ghazal
KHudaa kii sharii.at ho naafiz zamii.n par
mai.n insaaniyat kii baqaa chaahtaa huu.n
Urooj Qadri
Ghazal
Gauhar Aziz
Ghazal
jo 'alii kaa hukm naafiz na falak pe thaa to phir kyo.n
ba-gah-e-Guruub aayaa nikal aaftaab ulTaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
aa.iin-e-zabaa.n-bandii kyaa is liye naafiz hai
bedaar na ho paa.e.n a.ng.Daa.ii na lii jaa.e
Maqsood Nashtari
Ghazal
Irshad Atif
Ghazal
jangal me.n ho.n shaayad ham kuchh kam hii saraasiima
shahro.n me.n to naafiz hai qaanuun safaari kaa
Wali Alam Shaheen
Ghazal
ik lamha-e-aazaad kii taKHliiq hai ulfat
naafiz hai kahaa.n is pe ko.ii qaid-e-zamaanii
Abul Husain Azad
Ghazal
aa.iin-e-zabaa.n-bandii jis ahd me.n naafiz ho
is ahd me.n KHaamoshii ho jaa.e hai goyaa.ii
Jafar Raza
Ghazal
Irshad Atif
Ghazal
bichh.Daa to lafz-e-dard kii tafsiir kar gayaa
naafiz mire vujuud pe taa'ziir kar gayaa