SEARCH RESULTS
Showing search results for "naatiqa"
Ghazal MATCHES FOR "naatiqa"
Ghazal
tere gadaa se band hai 'aalam kaa naatiqa
aate nahii.n javaab savaalo.n ke saamne
Muneer Shikohabadi
Ghazal
sar piiTtaa hai naatiqa hairaa.n hai aagahii
purze machine ke bhii adab bolne lage
Badr-e-Alam Khalish
Ghazal
gardish-e-haalaat se hai band jin kaa naatiqa
vo zabaan-e-haal se lete hai.n bekaarii kaa naam
Barqi Azmi
Ghazal
be-zabaanii me.n 'amaanat' kii vo hai.n gul-reziyaa.n
naatiqa ho band ai dil bulbul-e-naashaad kaa
Amanat Lakhnavi
Ghazal
mire junuu.n kaa natiija zaruur niklegaa
isii siyaah samundar se nuur niklegaa
Ameer Qazalbash
Ghazal
uThtii nahii.n hai aa.nkh magar us ke ruu-ba-ruu
naadiida ik nigaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
miT jaa.egaa sar gar tiraa patthar na ghisegaa
huu.n dar pe tire naasiya-farsaa ko.ii din aur
Mirza Ghalib
Ghazal
mahshar kaa KHair kuchh bhii natiija ho ai 'adam'
kuchh guftuguu to khul ke kare.nge KHudaa ke saath
Abdul Hamid Adam
Ghazal
dil ke mu.aamle me.n natiije kii fikr kyaa
aage hai ishq jurm-o-sazaa ke maqaam se
Sahir Ludhianvi
Ghazal
vo husn jise ham ne rusvaa kiyaa duniyaa me.n
naadiida haqiiqat hai naa-gufta kahaanii hai
Bashir Badr
Ghazal
qasr-e-tan ko yuu.n hii banvaa ye baguule 'naasiKH'
KHuub hii naqsha-e-taamiir liye phirte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
namiida-KHuu hai ye miTTii har ek mausam me.n
zamiin-e-dil hai tarastii nahii.n ghaTaa ke liye
Shaz Tamkanat
Ghazal
ham savaalaat kaa hal soch rahe ho.n abhii tak
aur maathe pe mohabbat kaa natiija lag jaa.e
Zafar Iqbal
Ghazal
kyaa bhalaa mujh ko parakhne kaa natiija niklaa
zaKHm-e-dil aap kii nazro.n se bhii gahraa niklaa
Muzaffar Warsi
Ghazal
bahtii hu.ii ye nadiyaa ghulte hu.e kinaare
ko.ii to paar utre ko.ii to paar guzre