SEARCH RESULTS
Showing search results for "nemat"
Ghazal MATCHES FOR "nemat"
Ghazal
be-faa.eda alam nahii.n be-kaar Gam nahii.n
taufiiq de KHudaa to ye nemat bhii kam nahii.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
nemat-e-ziist kaa ye qarz chukegaa kaise
laakh ghabraa ke ye kahte rahe.n mar jaa.e.nge
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
kare jis qadar shukr-e-ne'mat vo kam hai
maze luuTtii hai zabaa.n kaise kaise
Haidar Ali Aatish
Ghazal
yaad-e-mahbuub faraamosh na hove ai dil
husn-e-niyyat ne mujhe 'ishq se ne'mat dii hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
na hai sitaare kii gardish na baazi-e-aflaak
KHudii kii maut hai teraa zavaal-e-nemat-o-jaah
Allama Iqbal
Ghazal
aziyyato.n me.n bhii baKHshii mujhe vo ne'mat-e-sabr
ki mere dil me.n girah hai na mere maathe pe bal
Ahmad Faraz
Ghazal
ilm kii had se pare banda-e-momin ke liye
lazzat-e-shauq bhii hai nemat-e-diidaar bhii hai
Allama Iqbal
Ghazal
ne'mat-e-Gam meraa hissa mujh ko de de ai KHudaa
jam' rakh merii KHushii saare zamaane ke liye
Hafeez Jalandhari
Ghazal
saarii duniyaa se anokhii hai zamaane se judaa
nemat-e-KHaas hai allaah re qismat merii
Fani Badayuni
Ghazal
KHudaa ne mujh ko bin-maa.nge ye nemat dii hai 'manzar'
taraste hai.n bahut se log mamtaa dekhne ko
Manzar Bhopali
Ghazal
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
masruuf-e-shukr-e-ne.mat-e-piir-e-muGaa.n rahuu.n
allaah mujh ko yuu.n hii pilaa.e jahaa.n rahuu.n
Muztar Khairabadi
Ghazal
yaa ilaahii miraa dildaar salaamat baashad
vo valii nemat-e-diidaar salaamat baashad
Hasrat Azimabadi
Ghazal
shohdaa ne.mat-e-duniyaa kii talab bhuul ga.e
KHuun ke ghuu.nT me.n aisaa hii mazaa hotaa hai