SEARCH RESULTS
Showing search results for "raa.e"
Ghazal MATCHES FOR "raa.e"
Ghazal
mire baare me.n ko.ii raa.e to hogii us kii
us ne mujh ko bhii kabhii to.D ke dekhaa hogaa
Nida Fazli
Ghazal
Nida Fazli
Ghazal
ik dhoke me.n duniyaa ne mirii raa.e talab kii
kahte the ki patthar huu.n magar bol pa.Daa mai.n
Abbas Tabish
Ghazal
aur is se pahle ki saabit ho jurm-e-KHaamoshii
ham apnii raa.e kaa iz.haar karnaa chaahte hai.n
Saleem Kausar
Ghazal
itnii jaldii na banaa raa.e mire baare me.n
ham ne hamraah abhii vaqt guzaaraa kam hai
Basir Sultan Kazmi
Ghazal
raat ke baa'd na.e din kii sahar aa.egii
din nahii.n badlegaa taariiKH badal jaa.egii
Nida Fazli
Ghazal
aahaT jo sunaa.ii dii hai hijr kii shab kii hai
ye raa.e akelii merii nahii.n hai sab kii hai
Shahryar
Ghazal
tujh se pahle bhii mire raaz the ik shaKHs ke paas
farq itnaa hai ki poshiida hu.aa karte the
Jawad Sheikh
Ghazal
duniyaa Garaz kii rah ga.ii ab is se kyaa Garaz
chaliye ki lutf-e-shirkat-e-mahfil nahii.n rahaa
Safi Aurangabadi
Ghazal
mai.n sau.np detaa huu.n har raat apne KHvaabo.n ko
har ek sub.h ko taabiir kartaa rahtaa huu.n
Raeesuddin Raees
Ghazal
merii raa.e puuchho to ye burii-bhalii duniyaa
aap jitne achchhe hai.n utnii KHuub-suurat hai
Nazim Naqvi
Ghazal
hamaaraa farz hai be-laag raa.e kaa iz.haar
ko.ii durust kahe yaa Galat ye kaam us kaa