SEARCH RESULTS
Showing search results for "rakhiyo"
Ghazal MATCHES FOR "rakhiyo"
Ghazal
yaad mat rakhiyo ye ruudaad hamaarii hargiz
ham the vo taaj-mahal 'jaun' jo Dhaa.e bhii ga.e
Jaun Eliya
Ghazal
qais ko dosh na do rakhiyo na farhaad ko naam
inhii logo.n se mohabbat kii adaa zinda thii
Ahmad Faraz
Ghazal
bazm-e-shaahanshaah me.n ash.aar kaa daftar khulaa
rakhiyo yaa rab ye dar-e-ganjiina-e-gauhar khulaa
Mirza Ghalib
Ghazal
mat rakhiyo gard-e-taarik-e-ushshaaq par qadam
paamaal ho na jaa.e sar-afraaz dekhnaa
Momin Khan Momin
Ghazal
rakhiyo 'Gaalib' mujhe is talKH-navaa.ii me.n mu.aaf
aaj kuchh dard mire dil me.n sivaa hotaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
guft-o-shunuud aksar mere tire rahe hai
zaalim mu.aaf rakhiyo meraa kahaa-sunaa to
Meer Taqi Meer
Ghazal
samajh ke rakhiyo qadam KHaar-e-dasht par majnuu.n
ki is navaah me.n 'saudaa' barhana-paa bhii hai
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
is me.n sadaa KHushii se rahaa hai tiraa 'naziir'
yaa-rab hamesha rakhiyo to aabaad aagara
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
rakhiyo qadam sambhal ke ki tuu jaantaa nahii.n
maanind-e-naqsh-e-paa ye sar-e-raah kaun hai
Meer Taqi Meer
Ghazal
marne se tum hamaare KHaatir nachant rakhiyo
us kaam kaa bhii ham kuchh usluub kar chuke hai.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
naale kaa aaj dil se phir lab talak guzar hai
Tak gosh rakhiyo iidhar saath us ke kuchh KHabar hai
Meer Taqi Meer
Ghazal
tar rakhiyo sadaa yaa-rab tuu is mizha-e-tar ko
ham itr lagaate hai.n garmii me.n isii KHas kaa
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
Garaz kisii se na ai dost tum kabhuu rakhiyo
bas apne haath yahaa.n apnii aabruu rakhiyo
Kaleem Aajiz
Ghazal
vahshat se merii yaaro KHaatir na jam.a rakhiyo
phir aave yaa na aave nau pur uThaa jo ghar se
Meer Taqi Meer
Ghazal
tum apne hii qadmo.n tale us ko rakhiyo
tasallii dilaase me.n har dam sambhaale
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
Ibrahim Ashk
Ghazal
haath sambhlaa rakhiyo ai mashshaata-e-jaaduu-taraaz
ik jahaan-e-dil hai basta turra-e-tarraar kaa
Anwar Dehlvi
Ghazal
aahista qadam rakhiyo tuu ai naaqa-e-lailaa
majnuu.n kaa ba.ndhaa aataa hai dil gaam se tere
Meer Hasan
Ghazal
ai tifl-e-ashk hai falak-e-haftamii.n pa 'arsh
aage qadam na rakhiyo tuu zinhaar dekhnaa
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
tuu ai zamiir jahaa.n mujh ko le ke baiThaa hai
usii maqaam pe rakhiyo tuu barqaraar mujhe