SEARCH RESULTS
Showing search results for "shirk-e-a.azam"
Ghazal MATCHES FOR "shirk-e-a.azam"
Ghazal
hayaa aa.ii dubaara us kii jaanib dekhte 'aazam'
ki pahlii hii nazar ne us kaa pairaahan katar Daalaa
Mohammad Aazam
Ghazal
bhii.D aisii hai kise sajda karuu.n ai 'aazam'
aaj ke daur me.n har shaKHs KHudaa ho jaise
Imam Azam
Ghazal
chaman kaa ho ke bhii ahl-e-chaman se ai 'aazam'
hamesha ta.ane hii sahnaa ko.ii mazaaq nahii.n
Dr. Azam
Ghazal
thaa azal se dil-e-'aazam' me.n ko.ii aur makii.n
us me.n kyaa ishq hasiinaa.n kii samaa.ii hotii
Azam Jalalabadi
Ghazal
Imam Azam
Ghazal
kamaal-e-zabt ke baa-vasf ko.ii bhii 'aazam'
ye kaise phaT gayaa aatish-fishaa.n na samjhegaa
Imam Azam
Ghazal
kahaa.n 'faraaz' kahaa.n 'aazam'-e-shikasta-jaa.n
zaraa saa chal ke ham us kii Dagar ko dekhte hai.n
Imam Azam
Ghazal
is shahr me.n 'aazam' jise tum Dhuu.nD rahe ho
aavaara-sifat shaa.ir-e-badnaam milegaa
Imam Azam
Ghazal
Dr. Azam
Ghazal
'aazam' hazaar baar luTe raah-e-ishq me.n
lekin kabhii shikaayat-e-dauraa.n na kar sake
Azam Chishti
Ghazal
tahziib-o-tamaddun ko KHuluus aur vafaa ko
'aazam' hii nahii.n aaj sabhii Dhuu.nD rahe hai.n
Dr. Azam
Ghazal
taskiin kii suurat ko.ii miltii nahii.n 'aazam'
merii nigah-e-shauq hai hairaan abhii tak
Dr. Azam
Ghazal
bas 'aazam' aaj to had hii KHumaar ne kar dii
kahii.n se ghol ke le aa.o tair-e-ram kaa jigar
Ikram Azam
Ghazal
sher-o-suKHan me.n yuu.n to guzaarii tamaam umr
is par bhii 'aazam' ek suKHan-daa.n na ban sakaa
Azam Jalalabadi
Ghazal
kis maKHmase me.n pa.D gayaa 'aazam' tuu aaj-kal
vahm-o-gumaa.n ko chho.D hunar-var kii baat kar
Azam Jalalabadi
Ghazal
azm-o-himmat ho to ban jaataa hai 'aazam' har ko.ii
shart ye hai aadmii KHush-kaam honaa chaahiye
Azam Jalalabadi
Ghazal
aulaad-e-nek-baKHt kii 'aazam' se puuchhiye
jo apne ghar me.n aap hii begaana ho gayaa
Azam Jalalabadi
Ghazal
Azam Jalalabadi
Ghazal
'aazam' bajaa hai siim-tano.n kaa Guruur-e-husn
qudrat hai un kii baat me.n jaaduu nazar me.n hai
Azam Jalalabadi
Ghazal
'aazam' ba.Dii ne.amat hai ye ronaa ye ta.Dapnaa
har dard kaa darmaa.n hai is aah-e-saharii me.n