SEARCH RESULTS
Showing search results for "sinf-e-be-jaa"
Ghazal MATCHES FOR "sinf-e-be-jaa"
Ghazal
hai Gazal aazaad goyaa be-dar-o-diivaar ghar
ham ko bhii is sinf-e-be-jaa kaa hunar aa.egaa kyaa
Farooq Nazki
Ghazal
ab tak ilaaj-e-ranjish-e-be-jaa na kar sake
ik umr me.n bhii husn ko apnaa na kar sake
Abu Mohammad Sahar
Ghazal
jaur-e-be-jaa ko jo kahte ho bajaa hai vo bhii
dast-e-qaatil pe lahuu hai ki hinaa hai vo bhii
Ghani Ejaz
Ghazal
vo bhuule jaate hai.n tarz-e-jafaa-e-be-jaa ko
ham apnaa zor-e-vafaa aazmaa.e jaate hai.n
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
Ghazal
ab mai.n huu.n aur lutf-o-karam ke takallufaat
ye kyuu.n hijaab-e-ranjish-e-be-jaa banaa diyaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ye qaid-o-said ke andesha-haa-e-be-jaa kyaa
chaman kii fikr karo aashiyaa.n kii baat karo
Abdul Majeed Salik
Ghazal
meraa KHayaal un kii tamannaa kahe.n jise
un kaa gumaan ranjish-e-be-jaa kahe.n jise
Talib Baghpati
Ghazal
huur-e-be-jaa kii talaafii kuchh to kar
KHair iz.haar-e-nadaamat hii sahii
Akbar Haideri Kashmiri
Ghazal
karam kii zahmat-e-be-jaa kaa shukriya lekin
tumhaare dard ko chaahaa hai zindagii kii tarah
Raees Akhtar
Ghazal
ai chaaragar nadaamat-e-be-jaa na liijiyo
dil chaak ho chukaa hai jigar aab aab hai
Naseem Dehlvi
Ghazal
kis fursat-e-visaal pe hai gul ko andaliib
zaKHm-e-firaaq KHanda-e-be-jaa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Ghazal
mai.n un ke parda-e-be-jaa se mar gayaa 'muztar'
unho.n ne maar hii Daalaa hijaab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Ghazal
kyaa aap se ab saKHtii-e-be-jaa kii shikaayat
jab aap hu.e maalik-o-muKHtaar hamaare
Dilawar Ali Aazar
Ghazal
chaar tinko.n kaa jalaanaa bhii ba.Dii baat thii kuchh
barq kii zahmat-e-be-jaa pe ha.nsii aatii hai
Saeed Shahidi
Ghazal
ai chaaragaro zahmat-e-be-jaa na karo tum
KHud dard ko ham log davaa maan chuke hai.n
Muztar Majaz
Ghazal
lutf yuu.n ranjish-e-be-jaa ke liye pahro.n tak
be-sabab ruuThne vaale ko manaayaa na gayaa