SEARCH RESULTS
Showing search results for "taanaa-baanaa"
Ghazal MATCHES FOR "taanaa-baanaa"
Ghazal
pyaar me.n taanaa-baanaa chaltaa rahtaa hai
ruuThnaa aur manaanaa chaltaa rahtaa hai
Anjum Ludhianvi
Ghazal
daruun-e-ishq ajab taanaa-baanaa bantaa hai
zaraa sii baat kaa kitnaa fasaana bantaa hai
Ejaaz tawakkal
Ghazal
Jaleel 'Aali'
Ghazal
taanaa-baanaa bunte bunte ham udh.De
hasrat phir thak kar Gash khaa kar baiTh ga.ii
Irshad Khan Sikandar
Ghazal
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Ghazal
kise qubuul kare.n aur kis ko Thukraa.e.n
inhe.n savaalo.n me.n uljhaa hai taanaa-baanaa miraa
Shahid Mahuli
Ghazal
aa.nkh buntii hai kisii KHvaab kaa taanaa-baanaa
KHvaab bhii vo jo mirii nii.nd u.Daa saktaa hai
Sajid Raheem
Ghazal
yahii taar-e-nafas kii aamad-o-shud
jaama-e-tan kaa taanaa-baanaa hai
Sayyad Mohammad Meer Asar
Ghazal
Ilyas Ishqi
Ghazal
shikasta-paa.ii-e-qismat kaa ronaa dhonaa kyaa
baraa.e-naam hii ai dost taanaa-baanaa kar
Makhdoom Zada Mukhtar Usmani
Ghazal
kahaa.n se bunte na.e roz taane-baane ham
nayaa nayaa ye zamaana hai aur puraane ham
Naushad Ahmad Kareemi
Ghazal
vo ho.nT jo kisii saazish ke taane-baane lage
javaab ban nahii.n paayaa to muskuraane lage