SEARCH RESULTS
Showing search results for "tamaashaa.ii"
Ghazal MATCHES FOR "tamaashaa.ii"
Ghazal
ab mirii diid kii duniyaa bhii tamaashaa.ii hai
tuu ne kyaa mujh ko mohabbat me.n banaa rakkhaa hai
Hakeem Nasir
Ghazal
aap ko kaun tamaashaa.ii samajhtaa hai yahaa.n
aap to aag lagaate hai.n chale jaate hai.n
Abbas Tabish
Ghazal
is raaz ko kyaa jaane.n saahil ke tamaashaa.ii
ham Duub ke samjhe hai.n dariyaa tirii gahraa.ii
Muzaffar Razmi
Ghazal
hai mirii umr jo hairaan tamaashaa.ii hai
aur ik lamha hai jo zer-o-zabar hai mujh me.n
Jaun Eliya
Ghazal
yuu.n to maqtal me.n tamaashaa.ii bahut aate hai.n
aa.o us vaqt ki jis vaqt pukaare jaa.o
Kaleem Aajiz
Ghazal
Amir Ameer
Ghazal
saahil ke tamaashaa.ii har Duubne vaale par
afsos to karte hai.n imdaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Ghazal
fursat-e-aa.iina-e-sad-rang-e-KHud-aaraa.ii hai
roz-o-shab yak kaf-e-afsos-e-tamaashaa.ii hai
Mirza Ghalib
Ghazal
har tamaashaa.ii faqat saahil se manzar dekhtaa
kaun dariyaa ko ulaTtaa kaun gauhar dekhtaa
Ahmad Faraz
Ghazal
us tan kii taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kyaa rakkhaa hai maqtal me.n ai chashm-e-tamaashaa.ii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
us tamaashe me.n nahii.n dekhne vaalaa ko.ii
is tamaashe ko jo barpaa hai tamaashaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Ghazal
phir yuu.n hu.aa ki us ko tamannaa.ii kar liyaa
merii taraf jo chashm-e-tamaashaa.ii aa.ii thii
Ammar Iqbal
Ghazal
is darja ishq maujib-e-rusvaa.ii ban gayaa
mai.n aap-apne ghar kaa tamaashaa.ii ban gayaa
Saghar Siddiqui
Ghazal
jalva dikhlaa.e jo vo apnii KHud-aaraa.ii kaa
nuur jal jaa.e abhii chashm-e-tamaashaa.ii kaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Ghazal
Gam apne hii ashko.n kaa KHariidaar hu.aa hai
dil apnii hii haalat kaa tamaashaa.ii hai dekho