SEARCH RESULTS
Showing search results for "tarkash"
Ghazal MATCHES FOR "tarkash"
Ghazal
ham the marne ko kha.De paas na aayaa na sahii
aaKHir us shoKH ke tarkash me.n ko.ii tiir bhii thaa
Mirza Ghalib
Ghazal
har ko.ii naavak o tarkash kii dukaa.n puuchhtaa hai
kisii gaahak ko magar apnaa badan yaad nahii.n
Ahmad Faraz
Ghazal
chhupaa hu.aa hai tirii aajizii ke tarkash me.n
anaa ke tiir isii zahr me.n bujhaayaa kar
Saqi Faruqi
Ghazal
kuchh apne dost bhii tarkash-ba-dosh phirte hai.n
kuchh apnaa dil bhii kushaada hai kyaa kiyaa jaa.e
Ahmad Faraz
Ghazal
ye vaar bhii hadaf se kahii.n duur jaa giraa
tarkash me.n tiir kyaa ko.ii 'naayaab' aur hai
Jahangeer Nayab
Ghazal
tarkash o daam abas le ke chalaa hai sayyaad
jo bhii naKHchiir hai fitraak pahan kar niklaa
Ahmad Faraz
Ghazal
ek hii tiir hai tarkash me.n to ujlat na karo
aise mauqe pe nishaanaa bhii Galat lagtaa hai
Ahmad Kamal Parwazi
Ghazal
misl-e-gul zaKHm hai meraa bhii sinaa.n se tavvaam
teraa tarkash hii kuchh aabistanii-e-tiir nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
hamaare siino.n pe ab bhii bahut jagah hai janaab
magar tumhaare hii tarkash me.n tiir ghaTne lage
Nawaz Asimi
Ghazal
mire shikaar ko tarkash me.n tiir laayaa magar
vo merii jaan kaa dushman kamaan bhuul gayaa
Hashim Raza Jalalpuri
Ghazal
jitne naavak hai.n kamaa.n-daar tire tarkash me.n
kuchh mire dil ke hai.n kuchh mere jigar ke aashiq
Ameer Minai
Ghazal
ai mere dil tuu bataa tujh ko gavaara kyaa hai
jo tiraa dard hai so hai bataa chaara kyaa hai
Tarkash Pradeep
Ghazal
miizaan-e-adl teraa jhukaa.o hai jis taraf
us samt se dilo.n ne ba.De zaKHm khaa liye
Sibt Ali Saba
Ghazal
tuu meraa dost miraa yaar hai nahii.n hai kyaa
tire bhii dil me.n bahut pyaar hai nahii.n hai kyaa
Tarkash Pradeep
Ghazal
na jaane kaun se tarkash ke tiir kab chal jaa.e.n
nishaan-e-mehr kamaan-e-sipar me.n rakkhaa jaa.e