SEARCH RESULTS
Showing search results for "uchhal"
Ghazal MATCHES FOR "uchhal"
Ghazal
ye kaun hai sar-e-saahil ki Duubne vaale
samundaro.n kii taho.n se uchhal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
havaa me.n nashsha hii nashsha fazaa me.n rang hii ra.ng
ye kis ne pairahan apnaa uchhaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
Dhale to hotii hai kuchh aur ehtiyaat kii umr
ki bahte bahte ye dariyaa uchhaal letaa hai
Waseem Barelvi
Ghazal
roz ham ashko.n se dho aate hai.n diivaar-e-haram
pag.Diyaa.n roz farishto.n kii uchhaal aate hai.n
Rahat Indori
Ghazal
fursat hai ik sadaa kii yahaa.n soz-e-dil ke saath
us par sapand-vaar na itnaa uchhal ke chal
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
sukuut-e-ziist ko aamaada-e-baGaavat kar
lahuu uchhaal ki kuchh zindagii me.n jaan pa.De
Rahat Indori
Ghazal
ko.ii bhii faisla ham soch kar nahii.n karte
tumhaare naam kaa sikka uchhaal rakhte hai.n
Wasi Shah
Ghazal
palaT pa.De na kahii.n us nigaah kaa jaaduu
ki Duub kar ye chhurii kuchh uchhal to saktii hai
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ye aa.nkh parda hai ik gardish-e-tahayyur kaa
ye dil nahii.n hai baguula uchhal rahaa hai miyaa.n
Naseer Turabi
Ghazal
de hukm baadalo.n ko KHayaabaa.n-nashiin huu.n
jaam-o-subuu uchhaal ba.Dii tez dhuup hai
Saghar Siddiqui
Ghazal
hai.n bas-ki josh-e-baada se shiishe uchhal rahe
har gosha-e-bisaat hai sar shiisha-baaz kaa
Mirza Ghalib
Ghazal
har KHvaab kaalii raat ke saa.nche me.n Dhaal kar
ye kaun chhup gayaa hai sitaare uchhaal kar
Adil Mansuri
Ghazal
'shahzaad' dil ko zabt kaa yaaraa nahii.n rahaa
niklaa jo maahtaab samundar uchhal pa.De
Shahzad Ahmad
Ghazal
ye baar baar kinaare pe kis ko dekhtaa hai
bha.nvar ke biich ko.ii hausla uchhaal ke rakh