SEARCH RESULTS
Showing search results for "uja.Dne"
Ghazal MATCHES FOR "uja.Dne"
Ghazal
kyuu.n havelii ke uja.Dne kaa mujhe afsos ho
saik.Do.n be-ghar parindo.n ke Thikaane ho ga.e
Bashir Badr
Ghazal
ye shahr-e-ishq bahut jald uja.Dne vaalaa hai
dukaan-daar o KHariidaar jhuuT bolte hai.n
Imran Aami
Ghazal
jab chaahe ko.ii phuu.nk de KHvaabo.n ke nasheman
aa.nkho.n ke uja.Dne ke zamaane nahii.n hote
Makhmoor Saeedi
Ghazal
jin ko maaluum hai nii.ndo.n ke uja.Dne kaa azaab
jaagtii aa.nkh se KHvaabo.n kii taraf dekhte hai.n
Aaquib Shaad
Ghazal
kabhii zamii.n pe kabhii aasmaa.n pe chhaa.e jaa
ujaa.Dne ke liye bastiyaa.n basaa.e jaa
Hafeez Jalandhari
Ghazal
KHabar bhii hai tujhe dil ko ujaa.Dne vaale
dilo.n kii bastii basaane me.n der lagtii hai
Sardar Khan Soz
Ghazal
mai.n vo bastii huu.n jo bastii hai uja.Dne ke liye
mujh ko aadat hai uja.Dne kii uja.D saktaa huu.n
Amulya Mishra
Ghazal
har lahza kamii.n dil me.n tirii yaad rahegii
bastii ye uja.Dne pe bhii aabaad rahegii
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Ghazal
guzar-gaho.n ko uja.Dne nahii.n diyaa tuu ne
kabhii yahaa.n se guzartii thii tuu, aur ab tirii yaad
Iftikhar Mughal
Ghazal
mai.n apne dil ke uja.Dne kii baat kis se kahuu.n
ko.ii mizaaj pe puuraa nahii.n utartaa hai
Shakeel Jamali
Ghazal
aise ham dekhte hai.n dil ke uja.Dne kaa samaa.n
jis tarah daasiyaa.n jaltaa hu.aa mandar dekhe.n
Saleem Betab
Ghazal
ek ik pataa havaa.o.n se hai la.Dne vaalaa
pe.D us kaa nahii.n aa.ndhii se ukha.Dne vaalaa
Aajiz Hengan Ghati
Ghazal
chaman ujaa.Dne vaalo tumhe.n KHudaa samjhe
tumhe.n na aa.ii hayaa phuul to hamaare ga.e
Azeem Haider Syed
Ghazal
ko.ii Gul hu.aa thaa na shor-e-KHizaa.n
uja.Dne lagii.n KHud-ba-KHud bastiyaa.n
Aashufta Changezi
Ghazal
har lahza makii.n dil me.n tirii yaad rahegii
bastii ye uja.Dne pe bhii aabaad rahegii