SEARCH RESULTS
Showing search results for "ulTaa"
Ghazal MATCHES FOR "ulTaa"
Ghazal
Javed Akhtar
Ghazal
raato.n me.n ik suuraj bhii dikh jaa.egaa
har manzar ko ulTaa kar ke dekhaa jaa.e
Bharat Bhushan Pant
Ghazal
dil le ke kahte hai.n tirii KHaatir se le liyaa
ulTaa mujhii pe rakhte hai.n ehsaan liijiye
Akbar Allahabadi
Ghazal
'bedil' libaas-e-ziist ba.Daa diida-zeb thaa
aur ham ne is libaas ko ulTaa pahan liyaa
Bedil Haidri
Ghazal
ho kisii tarha se maKHsuus hamaare hii liye
yaanii jitnaa nazar aataa hai vo utnaa hii na ho
Zafar Iqbal
Ghazal
shelf pe ulTaa kar ke rakh do aur bisraa do
gul-daano.n me.n phuul sajaa.o KHvaab kaa kyaa hai
Daniyal Tareer
Ghazal
yuu.n bhii sajtii hai badan par ye mohabbat kyaa kyaa
kabhii pahnuu.n isii malbuus ko ulTaa kar ke
Zafar Iqbal
Ghazal
naqaab ulTaa hai sham.o.n ne sitaaro tum to so jaa.o
kare.nge raqs parvaane sitaaro tum to so jaa.o
Anees Kaifi
Ghazal
mai.n ne to ek laash kii dii thii KHabar 'faraaz'
ulTaa mujhii pe qatl kaa ilzaam aa gayaa
Tahir Faraz
Ghazal
vaa.n ka.ngar-e-istiGnaa har-dam hai bulandii par
yaa.n naale ko aur ulTaa daavaa-e-rasaa.ii hai
Mirza Ghalib
Ghazal
aa.De-tirchhe manzar siidhe ho jaa.e.nge
ulTaa siidhaa sab kuchh achchhaa ho jaa.egaa
Imran Shamshad Narmi
Ghazal
aataa bhii agar hai to vo phir jaa.e hai ulTaa
jis vaqt ulaT jaa.e hai taqdiir kisii kii
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
taqaazaa ho chukii hai aur tamannaa ho rahaa hai
ki siidhaa chaahtaa huu.n aur ulTaa ho rahaa hai
Zafar Iqbal
Ghazal
is daur kii taKHliiq bhii kyaa shiishagarii hai
har aa.ine me.n aadmii ulTaa nazar aa.e
Wamiq Jaunpuri
Ghazal
Aftab Shakeel
Ghazal
gha.Dii ke kaa.nTo.n ko ulTaa ghumaa kar
samay ko mai.n bachaanaa chaahtaa huu.n