SEARCH RESULTS
Showing search results for "uqaab"
Ghazal MATCHES FOR "uqaab"
Ghazal
aaj ham daar pe khii.nche ga.e jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n
Ahmad Faraz
Ghazal
aahaT aqab se aa.ii aur aage nikal ga.ii
jo pahle dekhnaa thaa vo ab dekhtaa huu.n mai.n
Shaheen Abbas
Ghazal
uqaab ko thii Garaz faaKHta paka.Dne se
jo gir ga.ii to yuu.nhii niim-jaan chho.D gayaa
Parveen Shakir
Ghazal
tundii-e-baad-e-muKHaalif se na ghabraa ai uqaab
ye to chaltii hai tujhe uu.nchaa u.Daane ke liye
Syed sadiq husain
Ghazal
zaraa sii kargaso.n ko aab-o-daana kii jo shah milii
uqaab se KHitaab kii adaa hii aur ho ga.ii
Parveen Shakir
Ghazal
u.Dtaa hu.aa uqaab to aa.nkho.n me.n qaid hai
ab dekhiye uqaab ke aage kuchh aur hai
Khurshid Talab
Ghazal
mujhe maa'luum hai ik chor darvaaza aqab me.n hai
magar is baar mai.n rasta muqaabil se nikaaluu.ngaa
Shahid Zaki
Ghazal
har qadam ko.ii darinda ko.ii KHuu.nKHaar uqaab
shahr kii god me.n aabaad hai.n jangal kitne
Rafia Shabnam Abidi
Ghazal
kuchh aisii baat kabuutar kii aa.nkh me.n dekhii
uqaab KHauf ke maare u.Daan bhuul gayaa
Anjum Khaleeq
Ghazal
uqaab-e-zulm ke panje abhii kahaa.n TuuTe
abhii to faaKHta-e-aman KHuun me.n tar hai
Hafeez Banarasi
Ghazal
muskuraatii zindagii ke KHuun kaa pyaasaa uqaab
vaqt ke haatho.n me.n zaKHmii faaKHta de jaa.egaa
Javed Akram Farooqi
Ghazal
tilism-e-hosh-rubaa me.n pata.ng u.Dtii hai
kisii aqab kii havaa me.n pata.ng u.Dtii hai
Zafar Iqbal
Ghazal
jahaa.n ke zulm sahte sahte faaKHta bhii baarhaa
aqab se panje maartii hai phir uqaab kii tarah
Vandana Bhardwaj Tiwary Vani
Ghazal
aKHlaaq kii naqaab me.n le kar valii kaa Dho.ng
noche.nge merii laash ko kitne uqaab aur
Ajay Sahaab
Ghazal
vo to suuraj hai har ik baat kaa sho.ala hai javaab
ruu-ba-ruu aa ke kaho yaa ki aqab se puuchho