aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "KHizaa.o.n"
tum musavvir kaa fusuu.n tum ho suKHanvar kaa kamaaltum KHizaa.o.n se bahut duur bahaaro.n kaa KHayaaltum ne dekhaa hai masarrat kaa safar Gam kaa zavaaltum ne ha.nstii hu.ii aa.nkho.n se bhii puuchhe hai.n savaal
mirii aarzuu.o.n ke devtaamai.n ajiib thii mai.n ajab rahiimujhe dasht-e-Gam ko bhii chhaanne kii talab rahiimirii baat me.n ko.ii raat aa ke Thahar ga.iimirii zaat me.n ko.ii zaat aa ke guzar ga.iimujhe phir bhii dard ko jaa.nchne kii talab rahiika.ii ranj bhii hai.n nadaamato.n se mile hu.eka.ii shahr bhii hai.n adaavato.n se bhare hu.ekisii Gam ke zor se zard hai miraa shahr bhiimujhe yaad hai kisii shaam-e-Gam kaa vo qahr bhiiye jo log hai.n ye ba.De ajiib se log hai.nye abhii talak na samajh sakehai kamaal kyaahai mohabbato.n kaa junuub kyaahai shumaal kyaahai uruuj-e-dard-e-habiib kyaahai zavaal kyaaye samajh sake hii nahii.nhai ham ko malaal kyaamujhe vasl-e-yaar ke falsafe pe yaqiin haiye jo hijr hai ye kisii gumaan se kam nahii.nmirii aa.nkh dasht haimuddato.n se jo nam nahii.nsabhii kuchh hai bas yahaa.n tum nahii.nai habiib-e-manai tabiib-e-jaa.nye jo chaashnii hai huruuf me.ntirii den haiye jo naqsh hai.n mirii aa.nkh me.nhai tiraa karamjo miThaas hai mirii baat me.ntirii baat haimiraa mujh me.n kuchh bhii nahii.n rahaatirii zaat haiai faqiih-e-shahr tiraa bayaan bhii jhuuT haimujhe ishq hai to phir is me.n ko.ii daliil kyaamujhe zabt miltaa hai roz garto ye dard dard-e-sabiil kyaamirii aarzuu.o.n ke devtaazaraa dekh lemirii ruuh vajd kii kaifiyat me.n ghirii hu.iimai.n jo saa.ns saa.ns marii hu.iitire dar pe kab se pa.Dii hu.iikabhii dekh lekabhii saar leye bataa mujhehai qusuur kyaamire devtaa mire baadshaahba.De zaKHm hai.nba.De zaKHm hai.n mirii ruuh partujhe terii shaan kaa vaastamire indimaal ke vaastezaraa muskuraazaraa muskuraa ki sukuu.n milezaraa duur mujh se fishaar homire chaar-suu tiraa pyaar homire jism-o-jaa.n kii KHizaa.o.n me.n bhii bahaar hoto phir is ke baad vazaahate.nye adaavate.nmujhe kab hai.n raas saKHvaate.nvahii aafate.nye musiibate.nmirii zaKHm-zaKHm aqiidate.nmirii dard dard iraadate.nmai.n haqiiqato.n se kaTii hu.ii mire chaaraagarmujhe raas aa.ii.n aziyyate.nmiraa KHvaab thii.n jo mohabbate.n
ye shahr ye bastiyaa.n ye qaryebas ek be-naam KHauf kii zad me.n aa ga.e hai.ntumhaarii aa.nkho.n me.nkin KHizaa.o.n kii zard viiraaniyaa.n basii hai.ntumhaare ho.nTo.n pe zahr-e-be-ra.ng kii tahe.n kis liye jamii hai.ntumhaare chehro.n kaa KHaak saa ra.ngkaun se dard kaa asar hai
mujhe ma.aluum hai ki kuchh na badlegaana shaaKH-e-hijr par aasaar aa.e.nge KHizaa.o.n keKHayaalo.n ke samundar me.n na kuchh tabdiilii aa.egiina kirdaaro.n ke roz o shab me.n ko.ii farq aa.egaamagar in nazmo.n Gazlo.n kii kahaanii aur giito.n kiiaatii jaatii lahro.n seye meraa KHushk saahilsairaab to hotaa rahemujh ko mere hone kaa ehsaas to hotaa rahe
ga.ii sadii ne to kyaa kyaa zaliil-o-KHvaar kiyaajo be-gunaah the un ko bhii sangsaar kiyaaKHudaa qubuul kare amn kii du.aa.o.n kozamii.n pe KHauf ke baadal na ab kabhii chhaa.e.nna ko.ii aag lage barf ke pahaa.Do.n me.nKHizaa.o.n se na gulistaa.n ke phuul murjhaa.e.nna.ii sadii nayaa mausam na.ii havaa denaamohabbato.n ke chaman har taraf khilaa denaana.ii sadii tujhe shaa.ir salaam kahtaa hai
kahaanii sunaa.o kahaanii sunaa.okahaanii na.ii yaa puraanii sunaa.okahaanii puraanii vo raajaa.o.n vaaliivahii shaan-o-shaukat shahanshaaho.n vaaliivo haathii vo gho.De vo mahle do-mahletasavvur se jin kii zaraa dil to bahlevo zarriin gha.Diyaa.n vo cham-cham zamaanethaa sone kii chi.Diyaa ye bhaarat hamaaraabulandii pe thaa is kii qismat kaa taaraaye sab kuchh hame.n aaj naanii sunaa.okahaanii sunaa.o kahaanii sunaa.okahaanii na.ii yaa puraanii sunaa.osunaa.o ki jab thaa KHizaa.o.n kaa mausamjab apne vatan hii me.n majbuur the hamGulaamii kaa thaa daur hindostaa.n me.ndahakte alaav the jannat-nishaa.n me.nhukuumat thii Gairo.n kii mahkuum ham thezamii.n tang thii aasmaanii sitam thechalii phir jo badlaa.o kii tez aa.ndhiiuThaa ek nehru uThaa ek gaa.ndhiimilii un ko jo kaamraanii sunaa.okahaanii sunaa.o kahaanii sunaa.okahaanii na.ii yaa puraanii sunaa.okahaanii anokhii kahaanii niraaliikahaanii na.e atomii daur vaaliisitaaro.n kaa insaa.n kaa tasKHiir karnaaKHalaa.o.n ko dhartii kii jaagiir karnaasunaa.o taraqqii ne kyaa kyaa dikhaayaabataa.o jo qadmo.n tale chaa.nd aayaakarishme jo science ke jalva-gar hai.nhamaare tumhaare jo zer-e-asar hai.nhaqiiqat ye sab mu.nh-zabaanii sunaa.okahaanii sunaa.o kahaanii sunaa.okahaanii na.ii yaa puraanii sunaa.o
na jaane kitnii nigaaho.n se nuur chhiinaa gayaadayaar-e-dard ke mahlo.n kii raushnii ke liyena jaane kitne dilo.n se lahuu nicho.Daa gayaana.e KHudaa.o.n ke chehro.n kii taazgii ke liyena jaane kitne gharo.n ke diye bujhaa.e ga.eshabo.n ke raaj-dulaaro.n kii zindagii ke liye
palak ke jhapakte ka.ii saal biitemai.n vaapas jo lauTii to mai.n ne ye dekhaamire ghar kii har chhat Tapakne lagii thiidar-o-baam kaa rang maddham pa.Daa thaavo aa.ngan ki jis me.n mahaktii thii champaaus aa.ngan kaa har phuul murjhaa gayaa thaafaqat ek bargad ki tanhaa kha.Daa thaavo tanhaa thaa aur jaane kyaa sochtaa thaaKHizaa.o.n ne har-suu baseraa kiyaa thaayahii vo jagah thii jahaa.n meraa bachpanka.ii mehrbaa.n narm haatho.n me.n guzraayahii.n par mirii tund-KHuu dha.Dkano.n nena.e mausamo.n kii bashaarat sunii thiimirii saarii sub.he.n mirii saarii shaame.nis aa.ngan kii u.Dtii hu.ii titliyaa.n thii.nmagar ek din aisii saa.at bhii aa.iimiraa ghar faqat chaar lafzo.n kii andhii aqiidat ke aageaap hii aap chup-chaap ho karsabhii raabto.n se sabhii vaasto.n se alag ho gayaa thaabayaaz-e-nazar ke vo mauhuum nuqtebhii phail ke daa.ere ban chuke hai.nna.ii zindagii me.npuraane dino.n kiihaqiiqat faqat kaa.nch kii TuuTtii chuu.Diyaa.n rah ga.ii haiki jin ko tashaKHKHus kii haajat nahii.n hai
diyaa bujhaa doab a.ndhere se KHatra nahii.nraushnii ke Dasne kaaimkaan ziyaada haibuKHaar kii hiddat me.n bahte vajuud parik vajd taarii ho gayaata.Daptii ruuh se ju.Daa laa-shu.uurii haashiya dekh karsaa.nso.n kii mahak badalne lagiijism jalne kii badbuu se uktaa.ekamre kii vahshat mu.nh chhupaa.eik kone me.n baiThii aagsard-guu.n haichiiKH kaa dauraaniyaraat ke aaKHirii pahar tak mahduud thaaKHizaa.o.n kii majmuu.ii hikmat-e-amaliibahaar shikast khaatii dikhaa.ii diidin ke saa.e ba.Dhne lageaur phir phuul ne KHud-kushii kiijis me.n zindagii kii suu.ii naachtii haivo lamha mar gayaa haiko.ii qahqaha guu.njtaa hu.aa samaa.ato.n pe thappa.D lagaaha.nsne se vahshat bedaar hone lagiiinsaanii aavaazo.n kii guu.nj se duur bhaagtiichanaab kinaare ret par baiThii mai.nkyaa likhuu.nsiyaahii surKH hai aurmeraa kaaGaz ka.ii janmo.n se safed hai
ek duuje ke dil kii vo sarhad bane.njis ke nazdiik bhii Gam bhaTak na sake.nvo puraanii KHizaa.o.n ke kaa.nTe sabhiijo dilo.n me.n chubhe rah ga.e the kabhiiun ko mil kar chune.n
chune mai.n ne maujo.n se motii javaahir se jyotii bahaaro.n se raagliye mai.n ne KHosho.n se KHushbuu ke tosheulaT kar nigaaho.n se raaho.n ke gosheba.Dhaa mai.n chalaa mai.n liye saath saavan kii purvaa chanaaro.n kii aag bahaaro.n ke raagna kaam aa.e maujo.n ke motii javaahir kii jyotii na KHushbuu na raagmuqaddar me.n paiham nujuum-e-shab-e-Gammasarrat kaa maatam musiibat kaa aalamvo saare KHaziine KHizaa.o.n ne chhiine ki siine me.n hai ab chanaaro.n kii aag na KHushbuu na raagmilii.n Gam kii mauje.n masaa.ib kii fauje.n rag-o-pai ke andar samundar ke raaghaqaa.eq ke zindaa.n me.n hairaa.n pareshaa.ntasavvur taKHayyul tanaffus se naalaa.nmujhii ko lagaane bujhaane ko paa.ii jahaa.n ne suhaane chanaaro.n kii aag samundar ke raagmagar tere daaman me.n phuulo.n ke maskan me.n suntaa huu.n aksar bahaaro.n ke raagtire narm KHoshe mohabbat ke toshemire bhole-bhaale hasii.n dil ke goshemire ranj-o-Gam mere fikr-o-alam ko dikhaate hai.n aakar chanaaro.n kii aag sitaaro.n kii aag
KHizaa.n-rasiida hai.n gar bahaare.ninhii KHizaa.o.n kaa jashn hogaazamaane vo bhii to yaad ho.ngejo roz jashn-e-bahaar hotaana jaa.o patto.n pe Tahniyo.n parjo suukh kar charmaraa ga.ii hai.nabhii bhii in me.n hai aag pinhaa.nabhii hai.n sho.ale bhii KHvaab-aagii.nKHarosh chingaariyo.n kaa KHuftana chhe.Do in koabhii na chhe.Do
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
kabhii kabhii mire dil me.n KHayaal aataa haiki zindagii tirii zulfo.n kii narm chhaa.nv me.nguzarne paatii to shaadaab ho bhii saktii thiiye tiirgii jo mirii ziist kaa muqaddar haitirii nazar kii shu.aa.o.n me.n kho bhii saktii thiiajab na thaa ki mai.n begaana-e-alam ho kartire jamaal kii ra.anaa.iyo.n me.n kho rahtaatiraa gudaaz-badan terii niim-baaz aa.nkhe.ninhii hasiin fasaano.n me.n mahv ho rahtaapukaartii.n mujhe jab talKHiyaa.n zamaane kiitire labo.n se halaavat ke ghuu.nT pii letaahayaat chiiKHtii phirtii barahna sar aur mai.nghanerii zulfo.n ke saa.e me.n chhup ke jii letaamagar ye ho na sakaa aur ab ye aalam haiki tuu nahii.n tiraa Gam terii justujuu bhii nahii.nguzar rahii hai kuchh is tarah zindagii jaiseise kisii ke sahaare kii aarzuu bhii nahii.nzamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.n galeguzar rahaa huu.n kuchh an-jaanii rahguzaaro.n semuhiib saa.e mirii samt ba.Dhte aate hai.nhayaat o maut ke pur-haul KHaarzaaro.n sena ko.ii jaada-e-manzil na raushnii kaa suraaGbhaTak rahii hai KHalaa.o.n me.n zindagii meriiinhii KHalaa.o.n me.n rah jaa.uu.ngaa kabhii kho karmai.n jaantaa huu.n mirii ham-nafas magar yuu.nhiikabhii kabhii mire dil me.n KHayaal aataa hai
ye kaa.enaat-e-aziimlagtaa haiapnii azmat seaaj bhii mutma.in nahii.n haiki lamha lamhavasii.a-tar aur vasii.a-tar hotii jaa rahii haiye apnii baa.nhe.n pasaartii haiye kahkashaa.o.n kii u.ngliyo.n sena.e KHalaa.o.n ko chhuu rahii haiagar ye sach haito har tasavvur kii had se baaharmagar kahii.n paryaqiinan aisaa ko.ii KHalaa haiki jis koin kahkashaa.o.n kii u.ngliyo.n neab tak chhu.aa nahii.n haiKHalaajahaa.n kuchh hu.aa nahii.n haiKHalaaki jis ne kisii se bhii ''kun'' sunaa nahii.n haijahaa.n abhii tak KHudaa nahii.n haivahaa.nko.ii vaqt bhii na hogaaye kaa.enaat-e-aziimik dinchhu.egiiis an-chhu.e KHalaa koaur apne saare vajuud sejab pukaaregii''kun''to vaqt ko bhii janam milegaaagar janam hai to maut bhii haimai.n sochtaa huu.nye sach nahii.n haiki vaqt kii ko.ii ibtidaa hai na intihaa haiye Dor lambii bahut hailekinkahii.n to is Dor kaa siraa haiabhii ye insaa.n ulajh rahaa haiki vaqt ke is qafas me.npaidaa hu.aayahii.n vo palaa-ba.Dhaa haimagar use ilm ho gayaa haiki vaqt ke is qafas se baahar bhii ik fazaa haito sochtaa haivo puuchhtaa haiye vaqt kyaa hai
KHudii kaa sirr-e-nihaa.n laa-ilaaha-illallaahKHudii hai teG fasaa.n laa-ilaaha-illallaahye daur apne baraahiim kii talaash me.n haisanam-kada hai jahaa.n laa-ilaaha-illallaahkiyaa hai tuu ne mataa-e-Guruur kaa saudaafareb-e-suud-o-ziyaa.n laa-ilaaha-illallaahye maal-o-daulat-e-duniyaa ye rishta o paivandbutaan-e-vahm-o-gumaa.n laa-ilaaha-illallaahKHirad hu.ii hai zamaan o makaa.n kii zunnaariina hai zamaa.n na makaa.n laa-ilaaha-illallaahye naGma fasl-e-gul-o-laala kaa nahii.n paabandbahaar ho ki KHizaa.n laa-ilaaha-illallaahagarche but hai.n jamaa.at kii aastiino.n me.nmujhe hai hukm-e-azaa.n laa-ilaaha-illallaah
jahaan-zaad niiche galii me.n tire dar ke aageye mai.n soKHtaa-sar hasan-kuuzaa-gar huu.n!tujhe sub.h baazaar me.n buu.Dhe attaar yuusufkii dukkaan par mai.n ne dekhaato terii nigaaho.n me.n vo taabnaakiithii mai.n jis kii hasrat me.n nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.njahaa.n-zaad nau saal diivaana phirtaa rahaa huu.n!ye vo daur thaa jis me.n mai.n nekabhii apne ranjuur kuuzo.n kii jaanibpalaT kar na dekhaavo kuuze mere dast-e-chaabuk ke putlegil-o-ra.ng-o-roGan kii maKHluuq-e-be-jaa.nvo sar-goshiy.n me.n ye kahtehasan kuuza-gar ab kahaa.n hai?vo ham se KHud apne amal seKHudaa-vand ban kar KHudaa.o.n ke maanind hai ruu-e-gardaa.n!jahaa.n-zaad nau saal kaa daur yuu.n mujh pe guzraaki jaise kisii shahr-e-madfuun par vaqt guzretaGaaro.n me.n miTTiikabhii jis kii KHushbuu se vaarafta hotaa thaa mai.nsa.ng-basta pa.Dii thiisuraahii-o-miinaa-o-jaam-o-subuu aur faanuus o gul-daa.nmirii hech-maayaa ma.iishat ke iz.haar-e-fan ke sahaareshikasta pa.De themai.n KHud mai.n hasan kuuza-gar paa-ba-gil KHaak-bar-sar barhanasar-e-chaak zholiidaa-muu sar-ba-zaanuukisii Gam-zada devtaa kii tarah vaahima kegil-o-laa se KHvaabo.n ke sayyaal kuuze banaataa rahaa thaajahaa.n-zaad nau saal pahletuu naadaa.n thii lekin tujhe ye KHabar thiiki mai.n ne hasan kuuza-gar netirii qaaf kii sii ufuq-taab aa.nkho.nme.n dekhii hai vo taabnaakiiki jis se mere jism o jaa.n abr o mahtaab kaarah-guzar ban ga.e thejahaa.n-zaad baGdaad kii KHvaab-guu.n raatvo ruud-e-dajlaa kaa saahilvo kashtii vo mallaah kii band aa.nkhe.nkisii KHasta-jaa.n ra.nj-bar kuuza-gar ke liyeek hii raat vo kohrbaa thiiki jis se abhii tak hai paivast us kaa vajuudus kii jaa.n us kaa paikarmagar ek hii raat kaa zauq dariyaa kii vo lahr niklaahasan kuuza-gar jis me.n Duubaa to ubhraa nahii.n hai!
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
adaa.e.n le ke aa.ii hai vo fitrat ke KHazaano.n sejagaa saktii hai mahfil ko nazar ke taazyaano.n sevo malka hai KHiraaj us ne liye hai.n bostaano.n sebas ik mai.n ne hii aksar kii hai.n naa-farmaaniyaa.n us kii
KHudaa vo vaqt na laa.e ki sogvaar ho tuusakuu.n kii nii.nd tujhe bhii haraam ho jaa.etirii masarrat-e-paiham tamaam ho jaa.etirii hayaat tujhe talKH jaam ho jaa.eGamo.n se aa.iina-e-dil gudaaz ho teraahujuum-e-yaas se betaab ho ke rah jaa.evufuur-e-dard se siimaab hoke rah jaa.etiraa shabaab faqat KHvaab ho ke rah jaa.eGuruur-e-husn saraapaa niyaaz ho teraataviil raato.n me.n tuu bhii qaraar ko tarsetirii nigaah kisii Gam-gusaar ko tarseKHizaa.n-rasiida tamannaa bahaar ko tarseko.ii jabii.n na tire sa.ng-e-aastaa.n pe jhukeki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad karefareb-e-vaada-e-fardaa pe e'timaad kareKHudaa vo vaqt na laa.e ki tujh ko yaad aa.evo dil ki tere liye be-qaraar ab bhii haivo aa.nkh jis ko tiraa intizaar ab bhii hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books