aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "begaar"
1vo sub.h kabhii to aa.egiiin kaalii sadiyo.n ke sar se jab raat kaa aa.nchal Dhalkegaajab dukh ke baadal pighle.nge jab sukh kaa saagar chhalkegaajab ambar jhuum ke naachegaa jab dhartii naGme gaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiijis sub.h kii KHaatir jug jug se ham sab mar mar kar jiite hai.njis sub.h ke amrit kii dhun me.n ham zahr ke pyaale piite hai.nin bhuukii pyaasii ruuho.n par ik din to karam farmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimaanaa ki abhii tere mere armaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.nmiTTii kaa bhii hai kuchh mol magar insaano.n kii qiimat kuchh bhii nahii.ninsaano.n kii izzat jab jhuuTe sikko.n me.n na taulii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiidaulat ke liye jab aurat kii ismat ko na bechaa jaa.egaachaahat ko na kuchlaa jaa.egaa Gairat ko na bechaa jaa.egaaapne kaale kartuuto.n par jab ye duniyaa sharmaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiibiite.nge kabhii to din aaKHir ye bhuuk ke aur bekaarii keTuuTe.nge kabhii to but aaKHir daulat kii ijaara-daarii kejab ek anokhii duniyaa kii buniyaad uThaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiimajbuur bu.Dhaapaa jab suunii raaho.n kii dhuul na phaa.nkegaama.asuum la.Dakpan jab gandii galiyo.n me.n bhiik na maa.ngegaahaq maa.ngne vaalo.n ko jis din suulii na dikhaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egiifaaqo.n kii chitaa.o.n par jis din insaa.n na jalaa.e jaa.e.ngesiino.n ke dahakte dozaKH me.n armaa.n na jalaa.e jaa.e.ngeye narak se bhii gandii duniyaa jab sovarg banaa.ii jaa.egiivo sub.h kabhii to aa.egii2vo sub.h hamii.n se aa.egiijab dhartii karvaT badlegii jab qaid se qaidii chhuuTe.ngejab paap gharau.nde phuuTe.nge jab zulm ke bandhan TuuTe.ngeus sub.h ko ham hii laa.e.nge vo sub.h hamii.n se aa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiimanhuus samaajii Dhaa.ncho.n me.n jab zulm na paale jaa.e.ngejab haath na kaaTe jaa.e.nge jab sar na uchhaale jaa.e.ngejailo.n ke binaa jab duniyaa kii sarkaar chalaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egiisansaar ke saare mehnat-kash kheto.n se milo.n se nikle.ngebe-ghar be-dar be-bas insaa.n taariik bilo.n se nikle.ngeduniyaa amn aur KHush-haalii ke phuulo.n se sajaa.ii jaa.egiivo sub.h hamii.n se aa.egii
tumhe.n kyaazindagii jaisii bhii haitum ne us ke har adaa se rang kii mauje.n nicho.Dii hai.ntumhe.n to TuuT kar chaahaa gayaa chehro.n ke mele me.nmohabbat kii shafaq barsii tumhaare KHaal-o-KHad paraa.ine chamke tumhaarii diid seKHushbuu tumhaare pairahan kii har shikan seizn le kar har taraf vahshat luTaatii thiitumhaare chaahne vaalo.n ke jhurmuT me.nsabhii aa.nkhe.n tumhaare aariz-o-lab kii kaniize.n thii.ntumhe.n kyaatum ne har mausam kii shah-e-rag me.n u.nDele zaa.iqe apnetumhe.n kyaatum ne kab sochaaki chehro.n se aTii duniyaa me.n tanhaa saa.ns letiihaa.nptii raato.n ke be-ghar ham-safarkitnii mashaqqat se garebaan-e-sahar ke chaak siite hai.ntumhe.n kyaatum ne kab sochaaki tanhaa.ii ke jangal me.nsiyah lamho.n kii chubhtii kirchiyo.n se kaun khelaa haitumhe.n kyaatum ne kab sochaaki chehro.n se aTii duniyaa me.nkis kaa dil akelaa hai
kiyaa hai ruuh-e-arz ko aaKHir aur ye zahriile afkaarkis miTTii se ugte hai.n sab jiinaa kyuu.n hai ik begaarin baato.n se qat-e-nazar kii is aabaad KHaraabe me.ndekho ham ne kaise basar kii aabaad KHaraabe me.n
shaam hone ko hailaal suuraj samundar me.n khone ko haiaur us ke parekuchh parindeqataare.n banaa.eunhii.n ja.ngalo.n ko chalejin ke pe.Do.n kii shaaKHo.n pe hai.n gho.nsleye parindevahii.n lauT kar jaa.e.ngeaur so jaa.e.ngeham hii hairaan hai.nis makaano.n ke jangal me.napnaa kahii.n bhii Thikaanaa nahii.nshaam hone ko haiham kahaa.n jaa.e.nge
zulm kii raat bahut jald Talegii ab toaag chuulho.n me.n har ik roz jalegii ab tobhuuk ke maare ko.ii bachcha nahii.n ro.egaachain kii nii.nd har ek shaKHs yahaa.n so.egaaaa.ndhii nafrat kii chalegii na kahii.n ab ke baraspyaar kii fasl ugaa.egii zamii.n ab ke barashai yaqii.n ab na ko.ii shor-sharaaba hogaazulm hogaa na kahii.n KHuun-KHaraabaa hogaaos aur dhuup ke sadme na sahegaa ko.iiab mire desh me.n beghar na rahegaa ko.iina.e va.ado.n kaa jo Daalaa hai vo jaal achchhaa hairahnumaa.o.n ne kahaa hai ki ye saal achchhaa haidil ke KHush rakhne ko Gaalib ye KHayaal achchhaa hai
ai jahaa.n dekh le kab se be-ghar hai.n hamab nikal aa.e hai.n le ke apnaa alamye mahallaat ye uu.nche uu.nche makaa.nin kii buniyaad me.n hai hamaaraa lahuukal jo mehmaan the ghar ke maalik baneshaah bhii hai aduu shaiKH bhii hai aduukab talak ham sahe.n Gaasibo.n ke sitamai jahaa.n dekh le kab se be-ghar hai.n hamab nikal aa.e hai.n le ke apnaa alam
ba.Do.n kaa raaj to sadiyo.n se hai zamaane me.nkabhii hu.aa nahii.n duniyaa me.n raaj chhoTo.n kaaagar hame.n bhii mile iKHtiyaar ai logoto ham dikhaa.e.n tumhe.n kaam-kaaj chhoTo.n kaamulk me.n bachcho.n kii gar sarkaar hozindagii ik jashn ik tehvaar hohukm de.n aise calender ke liyejis me.n do din baad ik itvaar hosab ko de.n school jaisaa uniformek sii har panT har shalvaar hohostel ta.amiir ho sab ke liyeko.ii bhii insaa.n na be-ghar-baar horaashtra bhaashaa ham ishaaro.n ko banaa.e.ndakhkhin uttar me.n na phir takraar hoham minister ho.n to vo system banejis me.n muflis ho na saahuukaar hoqaumii daulat ke KHazaane ho.n bhareKHud hii le le jis ko jo darkaar hoiid diivaalii sabhii mil kar manaa.e.naadmii ko aadmii se pyaar homulk me.n bachcho.n kii gar sarkaar ho
pa.De hai.n gate-way-of-india ke farsh par be-ghar bhikaariiudhar hai.n kuchh ju.aariiidhar ik happy la.Dkii apne happy dost ke pahluu me.n simTiichilam kaa dam lagaatii haisuraaG-e-jannat-ul-maut ke taalib hai.n dono.n ek saadhuu sehashiishii nashshe ke dariyaa me.n Gote khaa rahe hai.nhashiishii nashshe hii kii mauj hai goyaa samundar kii sadaa bhiisamundar kii siyaahii par vo piilii raushnii ke phuuljahaazo.n ne bikhere hai.na.ndhere me.n nazar aataa nahii.n jin kaa ko.ii mastuuljahaaz aaraam karte hai.njahaazii shahr ke ishrat-kado.n me.n Gota-zan ho.ngehujuum-e-hashr-saamaa.n ke samundar me.njahaazii chand qatro.n kii tarah ghul-mil ga.e ho.ngeyahaa.n to naarsii-sas bhii kahii.n bhii KHud-girafta rah nahii.n saktaa
raat din KHvaab buntii hu.ii zindagiidil me.n naqd-e-izaafii kii lauaa.nkh baar-e-amaanat se chuurmauj-e-KHuu.n be-niyaaz-e-ma.aaldasht-e-be-ra.ng se dard ke phuul chuntii hu.ii zindagiiKHauf-e-vaamaa.ndgii se KHajilaarzuu.o.n ke aashob se muzmahilmu.nh ke bal KHaak par aa pa.Diihar taraf ik bhayaanak sukuutko.ii nauha na aa.nsuu na phuulhaasil-e-jism-o-jaa.n be-nishaa.n rahguzaaro.n kii dhuulajnabii shahr me.nKHaak-bar-sar hu.ii zindagiikaisii be-ghar hu.ii zindagii
bachpan kii galiyo.n me.n jin jin gharo.n ke shiishe merii ge.nd se TuuTe theun sab kii kirche.n kabhii kabhii merii aa.nkho.n me.n chubhne lagtii hai.njaltii dopahro.n me.n mere haatho.n uj.De hu.e gho.nslo.n ke behaal parindo.n kiichiiKHe.n fariyaade.n merii be-ghar shaamo.n me.n kohraam machaatii rahtii hai.nchaknaachuur dino.n reza reza raato.n me.n so.e hu.e sab KHvaab jagaatii rahtii hai.napne KHanjar apne hii siine me.n utarne lagte hai.nzinda chehre jalte bujhte lamho.n kii aaGosh me.n marne lagte hai.n
kaise kaise naam likhe thevaqt ne maah-o-saal ke ruKH partuufaano.n ne paalaa maaraasaare ho ga.e tittar-bittarsaiqal kar ke rakhnaa chaahaaham ne kuchh naamo.n ko bachaa karumr kii mauje.n bahaa le ga.ii.nsaare la.al aur saare javaahirtarz-e-KHiraam ke phuul khile theaatii jaatii raahguzar paraaj hai sirf Gubaar kaa pardakaisii manzil kaisaa manzardhajjii dhajjii bikhar rahii haitanii hu.ii ehsaas kii chaadarkuchh harfo.n kii maddham sii laukaa.np rahii hai laraz laraz karKHushbuu apnii kho baiThaa haisab shero.n kaa mushk aur ambarsuurat apnii badal chuke hai.nahd aqiide masjid mimbarkaise KHaalii haath kha.De hai.nshaah vaziir amiir gadaagaruj.Dii KHvaab-o-KHayaal kii duniyaaapne gharo.n me.n sab hai.n be-gharkyuu.n-kar jo.De.n apne Tuk.Dehaar ga.e hai.n saare rafuugarKHuunii baadal gahre gahrechhaTe nahii.n hai.n baras baras karaur zamiine.n aa.nkhe.n muu.ndemast hu.ii hai.n lahuu pii pii karek tilismii khel rachaa haijaane kaun hai ye jaaduugar
kyaa is nizaam ko jagiir-daar badlegaa?jomere vote se muntaKHab hotaa haiaurmere KHvaabo.n par tex lagaataa haikyaais nizaam ko sarmaaya-daar badlegaa?jomujh se baara ghanTe kii begaar letaa haimagaraaTh ghanTe kii ujrat dene par bhii tayyaar nahii.n!kyaa daanish-var is nizaam ko badal saktaa hai?magar vo toek plot yaa Gair-mulkii daure ke evazhukmaraano.n ke liye luGat me.n se sataa.ishii alfaazjam.a kartaa rahtaa hai!taajir is nizaam ko kaise badlegaa?vo to bajaT kii tamaam muraa.aat sameT karsaarii mah.ngaa.iimere khaate me.n darj kar detaa haisiyasat-daan is nizaam kaa muhaafiz kyuu.n na ho!ki us kii barkat sevo sarkaarii school aur dispensary me.n apnii bhai.ns baa.ndh saktaa haiaursaaya dene vaale Gair-sarkaarii daraKHt ke niicheclass lene vaale ziddii teacher koapnii pajero se baa.ndh kar ghasiiTe jaane kii dhamkii detaa haimai.n nesahaafii se is nizaam ko badalne kii darKHvaast kiimagar vothaana muharrir ke paas baiTh kar chaa.e piine aur KHabre.n likhne me.n magan thaaye sab jaante hu.emai.n agle paa.nch saal ke liyeapnaa chehraa apne halqe ke paTvaarii ko de duu.ngaajo useaks-e-shajra me.n lapeT kar rakh legaaaurvote kii parchii par meraa a.nguuThaa KHud hii lagaa legaa
bain kartii aurato.n seham puuchh rahe hai.n 'miir' ke sher kaa matlabbeghar bhau.nro.n se kah rahe hai.nshakuntlaa ko rijhaane ke liyeluu bharii dopahar me.nkuukne kaa taqaaza kar rahe hai.n koyal seis mushkil vaqt me.nkuchh log kah rahe hai.n ham seapnii vafaadaarii saabit karne ke liyeek TuuTe hu.e bartan kochaak se vafaadaarii saabit karne ke liyekuchh log taaliyaa.n bajaa rahe hai.nkuchh hairaan ho kar dekh rahe hai.nun kii aur hamaarii shaklye maasuum hai.ninhe.n mu.aaf kar denaa mere KHudaaaur mumkin ho to hame.n bhiiki ham jii rahe hai.nis mushkil vaqt me.n bhii
jab khulii aa.nkho.n se apne aas-paasdekhtaa huu.n apnii duniyaa kis qadar mahduud-o-ta.ngaur phirik jaagte lamhe me.n mai.nband kar letaa huu.n apnii aa.nkh aurdekhtaa huu.n saamne phailaa hu.aa ik jahaan-e-be-kanaardekhtaa huu.n apnii hii aa.nkho.n se vo saare manaazirshahr aur aabaadiyaa.nsaik.Do.n sadiyo.n se jo mahfuuz hai.nkis ko dekhuu.n kis ko chho.Duu.naisii ik duniyaa na jis kaa or-chhorna to samte.n aur hade.naur ufuq naapaid, Gaa.eb aasmaa.nsochtaa huu.n aah meraa ye safar kitnaa taviilfaasle itne ki un kii ab ko.ii manzil nahii.ntai karuu.ngaa aur thak jaa.uu.ngaa mai.naur merii nii.nd ruuThii hii rahegii taaki mai.n aaraam luu.nkhaul detaa huu.n ye aa.nkhe.naur ab KHush huu.n chalo fursat milii is muft kii begaar sekyaa bataa.uu.n mere andar se us damdo na.ii aa.nkhe.n nikal karmerii aa.nkho.n kii jagah letii hai.nphir pahu.nch jaataa huu.n us duniyaa me.njis se bhaag kar aayaa thaa mai.nphir vahii saare manaazir shahr aur aabaadiyaa.njaise ik aaseb ban kar mere sar pe chhaa ga.ii.naah mujh ko khaa ga.ii.nkaash ko.ii vo khulii aa.nkhe.n mujhe vaapas dilaa demai.n hamesha ke liye ban jaa.uu.ngaa us shaKHs kaaaaj tak vo shaKHs merii aa.nkh se ojhal hai, mai.nmaut tak kyaa so sakuu.ngaamaut hii vo apnii pyaarii nii.nd haijo hamesha ke liye apne musaafir ko sulaatii haiuse tohfa ataa kartii haijis ko ham kabhii aaraam kahte kabhii amn-o-sukuu.nmai.n usii kii kaalii zulfo.n kaa asiirmai.n usii apnii dulhan kaa muntazir huu.n
chho.D aayaa huu.n mai.n apnaa chhoTaa saa gharta.aaqub kartaa hai vo ab meraa umr bharja.ngal kinaare parbato.n ke taleharii-bharii vaadiyo.n me.njahaa.n bahte the barsaatii parnaalechho.D aayaa huu.n mai.n apnaa chhoTaa saa gharhad-e-nigaah tak vo KHushnumaa manzarbaadalo.n kii oT se pahaa.Dii nazaarebijlii kii chamak baadal kii garajkabhii chhat Tapaktii thii to kabhii hiltii thii.n diivaare.nkitaab copiyo.n ko siine me.n chhupaanaasard havaa ke jho.nko.n se charaaG kaa TimTimaanaavo teraa ma.asuum chehravo teraa bhiigii palko.n se muskuraanaavo aazmaa.ish kii kaalii raate.n vo imtihaano.n kaa Darchho.D aayaa huu.n mai.n apnaa chhoTaa saa gharhaafize me.n dafn hai jis kaa ab bhii vo manzarmaTmailii sii thii.n jis kii diivaare.nsurKH thaa jis kaa chhapparja.ngle kii kamzor salaaKHo.n seaa.nkho.n me.n aa.nsuu liyeek la.Dkaa dekhaa kartaa thaaqaumii shaah-raah kaa manzarjahaa.n se diivaana-vaar baso.n aur trako.n kaa kaarvaa.nbhaagtaa dau.Dtaa rahtaa thaa ba.De shahro.n kii samthaa.n ba.De shahro.n kii samtjin kii KHud laapata thii.n samte.n!!aaj chaaliis saal baa'd vo la.Dkaa sochtaa haiba.Daa shahr saraab hai sunahrii hiran kaa KHvaab haiba.De shahr kii chaah me.n dau.Dte dau.Dtevo be-samt be-manzar be-ghar ho gayaa hailekin phir kabhii kabhii use ehsaas hotaa haius kii bhii apnii asaas haius kaa suhaana manzar is ke paas haius kaa bhii apnaa ghar haivo chhoTaa saa ghar vo maTmailii diivaare.nvo surKH chhapparjahaa.n aashnaa nigaahe.njahaa.n mohabbat-aamez baahe.naaj bhii us kaa intizaar kar rahii hai.n
os me.n tar ko.ii be-ghar titliiniin-pe.D kii KHvaab-shaaKH parpiile dhaanii andesho.n kiidhanak pahan ke sotii hai....is kohre me.nvo jaaduu-gar biir-bahuuTii kiran dikhaa.ii dejo us ke majruuh paro.n seshabnam kii zanjiir to.D keuse rihaa.ii de
naadaar aadmii ko.ii zardaar aadmiiKHarkaar aadmii ko.ii begaar aadmiihai turfa ik tamaashaa pas-e-aadmii sadaaparde pe zindagii ke adaakaar aadmii
havaa hamaare daalaano.n me.n ruk sii ga.ii haitum se ijaazat le karmaidaano.n kii KHushbuu phailaa degiimirii kitaabo.n aur tumhaarii poshaako.n me.nus se puuchhokaise hai.n vo log jinhe.n pichhlii barsaat me.nham ne be-ghar dekhaa thaaaur kaisii hai vo bachchiijis ne ham dono.n ko apne miTTii ke pyaale me.n duudh pilaayaa thaakaise hai.n suuraj-mukhii ke nanhe-munne beTejin ko ham ne pyaar kiyaa thaaaur vo saada-lauh charvaahejin se ham ne apnaa rasta puuchaa thaakaise hai.n dariyaa ke giitjinhe.n adhuuraa chho.D aa.e thekis ne ham dono.n ke baa'd unhe.n gaayaa haikaun hamaare baa'd vahaa.n se guzraajahaa.n november aa kar Thahar gayaa thaaaur november dhuup me.njaise sayyaaho.n kii vardii pahnehar manzar me.n phail rahaa thaahame.n bataa.otum kaisii hoaur kaise hai.n zinda rahne vaale zamaane
vaqt bahut hai hamaare paasvaqt guzaarii ke liyecomputer screen par raushan rahte hai.nbe-hisaab gaD-maD huruuf be-shumaar be-KHaal-o-KHataavaaze.n!ajnabiyyat kii taho.n se na.e rishte na.e ta.alluqjinhe.n laTkaayaa jaa sake calender kii tarahsaKHt-dil diivaaro.n parjinhe.n laTkaayaa jaa sake calender kii tarahsab se achchhaa khel haiajnabiyyat ko kurednaaaur kured rahe hai.n hamaare bachchena.e rishte na.e ghar na.e vatankhel hii khel me.nkitnaa be-rishta kitnaa be-ghar kitnaa be-vatan kar diyaa haihame.n hamaare bachcho.n ne!!!hamaare paas to sirf diivaare.n bachii hai.njin par laTkaa.ii jaa saktii haibe-masraf rishto.n kii faraaGat!!aur vaqt bahut hai hamaare paas!!!
ham be-ehtiyaat lamho.n kaa qisaas nahii.n theham halaal ke themagar beghar paidaa hu.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books