aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bu.dhiyaa"
bhale chhiin lo mujh se merii javaaniimagar mujh ko lauTaa do bachpan kaa saavanvo kaaGaz kii kashtii vo baarish kaa paaniimohalle kii sab se nishaanii puraaniivo bu.Dhiyaa jise bachche kahte the naanii
dekh ke apnaa haal hu.aa phir us ko bahut malaalare mai.n bu.Dhiyaa ho jaa.uu.ngii aayaa na thaa KHayaalus ne sochaagar phir se mil jaa.e javaaniijis ko likhte hai.n diivaaniiaur mastaaniijis me.n us ne inqalaab laane kii Thaaniivahii javaaniiab kii baar nahii.n duu.ngii ko.ii qurbaaniibas laa-haul pa.Dhuu.ngii aur nahii.n duu.ngii ko.ii qurbaaniidil ne kahaakis soch me.n hai ai paagal bu.Dhiyaakahaa.n javaaniiya.anii us ko guzre ab tak kaafii arsa biit chukaa haiye KHayaal bhii der se aayaabas ab ghar jaa
barso raam dha.Daake sebu.Dhiyaa mar ga.ii faaqe sekal-jug me.n bhii martii hai sat-jug me.n bhii martii thiiye bu.Dhiyaa is duniyaa me.n sadaa hii faaqe kartii thiijiinaa us ko raas na thaapaisaa us ke paas na thaaus ke ghar ko dekh ke laxmii mu.D jaatii thii naake sebarso raam dha.Daake sejhuuTe Tuk.De khaa ke bu.Dhiyaa taptaa paanii piitii thiimartii hai to mar jaane do pahle bhii kab jiitii thiijai ho paise vaalo.n kiigehuu.n ke dallaalo.n kiiun kaa had se ba.Dhaa munaafe.a kuchh hii kam hai Daake sebarso raam dha.Daake se
maa.n se ik bachche ne puuchhaachaa.nd me.n ye dhabbaa kaisaa haimaa.n ye boliichandaa beTejis ko tum dhabbaa kahte ho vo to ik paagal bu.Dhiyaa haibachche ne maasuum aa.nkho.n se kuchh lamho.n tak maa.n ko ba.Dii hairat se dekhaaaur ye puuchhaamaa.n jab mai.n chandaa beTaa huu.n to mujh me.n bhii ik paagal bu.Dhiyaa hogiimaa.n ne us ko bhe.nch liyaaus ke lab chuumegardan chuumii maathaa chuumaaaur ye bolii haa.n tujh me.n bhii ik bu.Dhiyaa hai
jhuTpuTe ke vaqt ghar se ek miTTii kaa diyaaek bu.Dhiyaa ne sar-e-rah laa ke raushan kar diyaataaki rah-giir aur pardesii kahii.n Thokar na khaa.e.nraah se aasaa.n guzar jaa.e har ek chhoTaa ba.Daaye diyaa behtar hai un jhaa.Do.n se aur us lamp seraushnii mahlo.n ke andar hii rahii jin kii sadaagar nikal kar ik zaraa mahlo.n se baahar dekhiyehai a.ndheraa ghup dar-o-diivaar par chhaayaa hu.aasurKH-ruu aafaaq me.n vo rahnumaa miinaar hai.nraushnii se jin kii mallaaho.n ke be.De paar hai.n
roz hii bu.Dhiyaa uTh kar kyo.n kahtii haipyaas lagii haipaanii Daalte Daalte mug se aa jaatii haigilaas giraa.oge tumhaath tumhaare kaa.np rahe hai.njaan jalaa rakhii hai is neKHarraaTe kyaa mai.n letaa huu.nnaak to is kii pharraatii haiaadhii raat ko uTh kar kahtii hai ki pa.nkhaa band karo naa.n ThanDlagtii haipaa.nv maar ke KHud hii to chaadar phe.nkii thiipaa.nv pala.ng pe maar kar pair sujaa rakhaa haisaarii raat dabaataa huu.npain-killer khaa khaa ke bhii ab uub gayaa huu.nsaarii umr jalaayaa is neek baras hone ko aayaasii.Dhii par phislii thii to sar pho.D liyaa thaaapne haath se aag ke uupar rakh kar aayaa thaa mai.n us koaur kahaa thaa tuu chal mai.n bhii aataa huu.npar jaa.e tab naa.nsaarii raat mire bistar par karvaTe.n letii rahtii hai
ek thaa raaja mehdii alii KHaa.n ek thii us kii raaniiraanii kii ik maa.n thii ya.anii bachcha log kii naaniikarnaa KHudaa kaa aisaa hu.aa ik roz ko.ii ham-saayaraaja ke darbaar me.n ik chhoTii sii chuhiyaa laayaadekhaa jab us chuhiyaa ko hairaan hu.e darbaariipiitii thii vo coca-cola khaatii thii tarkaariia.ngrezii me.n baate.n kar ke filmii gaane gaatiirang bira.nge Dance dikhaa kar sab kaa jii bahlaatiiparde se ye manzar dekhaa jab raanii kii maa.n nesochaa ham-saa.e se le le chuhiyaa kisii bahaanebu.Dhiyaa ne sar piiTaa apnaa KHuub kiyaa vaavailaao.Dh liyaa phir vo dopaTTa rang thaa jis kaa mailaakahne lagii chillaa chillaa kar raaja terii duhaa.iiye hai meraa chor ki is ne merii bhai.ns churaa.iichhiin lo is se bhai.nse.n merii aur mu.nh par maaro chaa.nTaadekho dekho suukh ke merii bhai.nse.n hu.ii hai kaa.nTaaraaja meh.ndii alii KHaa.n jo the raajaa.o.n ke raajakaam na kuchh bhii karte aaTho.n-pahar bajaate baajaagaraj ke bole o marduud bataa kyuu.n bhai.ns churaa.iiham ne to us bhai.ns ke aage barso.n biin bajaa.iiraaja kii ye baat sunii to kahne lagaa ham-saayaajiye vo saas ki chuhiyaa ko bhii jis ne bhai.ns banaayaaraaj hai teraa is nagrii me.n KHuub sazaa de mujh koaql ba.Dii yaa bhai.ns bas itnii baat bataa de mujh ko
ek bu.Dhiyaa shab ga.e dahliiz par baiThii hu.iitak rahii hai apne iklaute javaa.n bachche kii raahso chukaa saaraa mohalla aur galii ke mo.D parbujh chukaa hai lamp bhiisard taariikii kha.Dii hai jaise diivaar-e-muhiibbuu.Dhii maa.n ke jism ke andar magarjagmagaatii hai.n hazaaro.n mish.ale.naane vaalaa laakh behoshii kii haalat me.n holekinraasta ghar kaa kabhii bhuulaa nahii.naur be-aahaT sa.Dakjaantii haikis ke qadmo.n se abhii mahruum huu.n
ab to ilm kii parvaaze.naur hii qisse kahtii hai.nbaajii ab to mat bolochaa.nd me.n pariyaa.n rahtii hai.nchaa.nd na apnaa maamuu.n haiaur na des vo pariyo.n kaachaa.nd me.n ko.ii bu.Dhiyaa haiaur na bu.Dhiyaa kaa charKHaasadiyo.n sadiyo.n khoj ke baa'dab ham ne ye jaanaa haichaa.nd ko.ii afsaana nahii.nek haqiiqii duniyaa haisardii garmii dono.n tezoxygen kaa naam nahii.nchaTTaane.n hai.n khaa.iyaa.n hai.ndhartii saa aaraam nahii.nho jaa.egaa par ik rozjii lenaa aasaan vahaa.napne jiine kaa saamaa.nkar legaa insaan vahaa.nilm-o-hunar kii dhaaraa.e.npiichhe ko kab bahtii hai.nbaajii ab to mat bolochaa.nd me.n pariyaa.n rahtii hai.n
bahuu kahe ye bu.Dhiyaa merii jaan kii laaguu ban ke rahegiisaas kahe gaz-bhar kii zabaa.n hai apnii mu.nh aa.ii hii kahegiibahuu kahe jab dekho jab hii KHvaahii naKHvaahii baat ba.Dhaanaasaas pukaare ai mire allaah tauba bhalii ab tuu hii bachaanaabahuu kahe apnaa ghar kaisaa yaa.n to apne bhii hai.n paraa.esaas kahe jal-bhun ke use to raaj-mahal bhii raas na aa.ebahuu kahe jis ke haatho.n hai Do.ii usii kaa sab ko.ii haisaas pukaare jaa.o jii jaa.o paa.nv kii juutii sar pe cha.Dhii haibahuu kahe mujh janm-jalii ko kis ke palle baa.ndh diyaa haisaas kahe ab kaun bataa.e aage jo aayaa hai kis kaa kyaa haibahuu kahe ye puut kii dardii bas jo chale to bis hii khilaa desaas kahe vo baat hai apnii gaalii sune aur phir bhii du.aa debahuu kahe ab sar pe pa.Dii hai jaise bhii ho guzar jaa.egiisaas kahe jab dekho is ko duudh maliida hii khaa.egiibahuu kahe jii jo aataa thaa saas ke saamne bol rahii thiisaas bhii lekin turkii-ba-turkii bhed bahuu ke khol rahii thiinanhe ne ye mauqa.a taa.Daa jhaT baavarchii-KHaane pahu.nchaaduudh pe aa.ii thii jo milaa.ii chupke se us ko khaane pahu.nchaakhaa ke jo lauTaa raah me.n us ne kaalii billii jaate paa.iidekh ke us ko Dar ke maare zor kii us ne chiiKH lagaa.iiek hii chiiKH ne us kii pal me.n saas bahuu kaa jhag.Daa chukaayaadau.Dii bahuu mire laal hu.aa kyaa saas pukaarii haa.e KHudaayaa
bu.Dhiyaa khi.Dkii se jhaa.nkte chiiKHiiko.ii maz.habuse lagaam kyo.n nahii.n Daaltaakaisii shutr-e-be-mahaar hu.ii phirtii haiko.ii du.aa us kaa galaa kyo.n nahii.n gho.nTtiiis manhuus ko ta.aviiz ghol kar pilaa.o
vo ik naa-biinaa bu.Dhiyaajis ke TuuTe jho.npa.De me.nshab kii taariikii me.n tum jaa karnivaala apne haatho.n se khilaatii thii.n
sunaa hai chaa.nd hai sone kaa anDaasunaa hai chaa.nd kaa mausam hai ThanDaasunaa hai chaa.nd me.n hai.n KHaak pattharsunaa hai chaa.nd me.n hai.n la.al-o-gauharmagar vo chaa.nd kii bu.Dhiyaa kahaa.n haisunaa hai chaa.nd ke lab surKH sunahresunaa hai chaa.nd me.n hai.n Gaar gahresunaa hai chaa.nd me.n chaa.ndii ke dariyaabahut sundar bahut anmol ba.Dhiyaamagar vo chaa.nd kii bu.Dhiyaa kahaa.n haisunaa hai chaa.nd hai maamuu.n hamaaraahamesha chandaa maamuu.n hii pukaaraaKHalaa me.n past hai baalaa hu.aa haizamii.n kii god kaa paalaa hu.aa haimagar vo chaa.nd kii bu.Dhiyaa kahaa.n haivo din vo raat vo suuraj vo taarevo Tiile vaadiyaa.n dariyaa kinaarenadii vo nuur kii kirno.n kii nayyaasunaa hai chaa.nd me.n sab kuchh hai bhayyaamagar vo chaa.nd kii bu.Dhiyaa kahaa.n hai
mirii gu.Diyaa kisii din chaa.nd par shaadii rachaa.egiizamii.n ke to sabhii guDDe nazar aate hai.n ab buDDhebahut hii KHuubsuurat naujavaa.n hai.n chaa.nd ke guDDeunhii.n me.n se kisii ke ghar mirii gu.Diyaa bhii jaa.egiimirii gu.Diyaa kisii din chaa.nd par shaadii rachaa.egiifarishte aasmaano.n se baraatii ban ke aa.e.ngesitaare raaste me.n nuur kii chaadar bichhaa.e.ngeKHushii se jhuum kar har huur shahnaa.ii bajaa.egiimirii gu.Diyaa kisii din chaa.nd par shaadii rachaa.egiihasii.n kirno.n se raushan chaa.ndnii kii paalkii hogiizamii.n se aasmaa.n tak raushnii hii raushnii hogiimirii gu.Diyaa jab apne ghar se ruKHsat ho ke jaa.egiimirii gu.Diyaa kisii din chaa.nd par shaadii rachaa.egiinazar aa.egii jab us ko mirii pyaarii sii ye gu.Diyaabalaa.e.n par balaa.e.n legii ba.Dh kar chaa.nd kii bu.Dhiyaadulhan ko dekh kar duulhe kii qismat jagmagaa.egiimirii gu.Diyaa kisii din chaa.nd par shaadii rachaa.egii
mujh se milo tumajnabii mulko.n kii sair-o-siyaahat me.npyaar ke rasm-o-rivaaj me.nhalqa-e-yaaraa.n me.ntuufaan-e-baad-o-baaraa.n me.nsenToras ke aqab me.nchhappar hotel ke TuuTe hu.e Table parchaa.nd pe baiThii hu.ii bu.Dhiyaa ke nuuraanii charKHe me.nassii kii dahaa.ii kii filmo.n ke zikr me.npuraanii kitaabo.n kii duukaan parnisvaanii KHushbu.o.n ke chauk parboso.n kii takraar me.nmujh se milo tum
aa.o bachcho giit sunaa.e.ngiit sunaa.e.n KHuub ha.nsaa.e.nik bu.Dhiyaa ne chi.Diyaa paaliinannhii-munnii bholii-bhaaliibu.Dhiyaa baiThii khiir pakaatiichi.Diyaa us ko giit sunaatiiik din bu.Dhiyaa bhuukii aa.iijaldii jaldii khiir pakaa.iimu.nh dho kar vo khaane baiThiichi.Diyaa giit sunaane baiThiibu.Dhiyaa ne sab kuchh khaa Daalaachi.Diyaa ko bhuukaa hii Taalaachi.Diyaa jab pinjre me.n aa.iibhuuk se us ko nii.nd na aa.iichuu.n-chuu.n chuu.n-chuu.n kar ke ro.iisaarii raat usii me.n kho.iisub.h hu.ii aur murGaa bolaabu.Dhiyaa ne jab pi.njraa kholaapyaar se jab us ne chumkaaraachi.Diyaa ne cho.ncho.n se maaraabu.Dhiyaa bhaagii ghar me.n aa.iimuTThii bhar kar daanaa laa.iijab bu.Dhiyaa ne daanaa khilaayaatab chi.Diyaa ne giit sunaayaa
duur bahut hii duur yahaa.n seaur is se bhii duurnaddii ik niklii hai jahaa.n seaur is se bhii duurdaldal hai gahrii sii jahaa.n pardaldal se bhii duurja.ngal me.n hai bu.Dhiyaa kaa gharja.ngal se bhii duuryaad hai us ko ek kahaaniihai us me.n ik huurKHud ye hai ik mulk kii raaniimulk hai nindiyaa puuris jangal ko dekhuu.ngaa mai.nja.ngal se bhii duurhuur ke mulk me.n jaa.uu.ngaa mai.nya.anii nindiyaa puur
ek thaa raaja ek thii raaniikaun sunaa.e ab ye kahaaniiab na sher ko jaal me.n pak.Deaur na chuhaa jaal ko katreaur na jiite baazii kachhvaaaur na rahe KHargosh bhii sotaachaa.nd kii bu.Dhiyaa chalii ga.ii haisuut kaatnaa chho.D chukii haihaatim-taa.ii aur alii-baabaasakhii saKHaavat aur marjiinako.ii sunaataa nahii.n kahaaniina to daadaa aur na naaniiKHatm hu.e sab jaaduu Toneqisse pariyo.n ke bhuuto.n kehar dam T.v pesh-e-nazar haiab duniyaa kaa haal digar haiT.v me.n cartoon aate hai.nbachcho.n kaa dil bahlaate hai.n
sham.a ik jalaane par kaisii kaisii paabandiinuur par bhii paabandii tuur par bhii paabandiisau tarah kii paabandii sham.a kaise jal paa.ekis me.n itnii jur.at hai maut se ulajh jaa.eyaas dil se kahtii hai maslahat ba.Dii shai haimaslahat isii me.n hai qufl Daaliye lab parjosh laakh bahlaa.e kuchh na laa.iye lab paryaas ek bu.Dhiyaa hai tajarbe se kahtii hailog qadr karte hai.n maslahat isii me.n haimaslahat pe chalte hai.n KHairiyat isii me.n hai
chandaa-maamaa tum ko maamaanahii.n kahuu.ngaa nahii.n kahuu.ngaamaa.nge kaa ujyaalaa tum me.nbin maa.nge sab kaalaa tum me.nbanjar dhartii banjar khetiimausam kab hariyaalaa tum me.nmai.n achchhii dhartii kaa maalik chandaa-maamaatum ko maamaa nahii.n kahuu.ngaa nahii.n kahuu.ngaabaadal se ghabraate ho tumDar Dar kar chhup jaate ho tumtum se kyaa ummiide.n rakhnaakab jaa.o kab aate ho tummai.n huu.n ek bahaadur bachcha chandaa-maamaatum ko maamaa nahii.n kahuu.ngaa nahii.n kahuu.ngaacharKHe vaalii bu.Dhiyaa naaniicharKHe le kar kahaa.n ga.ii haiaaj tumhaarii shaan puraaniisab jhuuTii thii nahii.n rahii haikyuu.n tum jhuuTii shaan dikhaate chandaa-maamaatum ko maamaa nahii.n kahuu.ngaa nahii.n kahuu.ngaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books