aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "khep"
gar to hai lakkhii banjaaraa aur khep bhii terii bhaarii haiai Gaafil tujh se bhii cha.Dhtaa ik aur ba.Daa byopaarii haikyaa shakkar misrii qand garii kyaa saa.nbhar miiThaa khaarii haikyaa daakh munaqqaa so.nTh mirach kyaa kesar lau.ng supaarii haisab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
shuruu.a shuruu.a me.n achambhe achchhe lagte theshauq bhii thaa aur din bhii bhale theachchhe logo.n se milne kaa shauq junuun kii had takhar lamha betaab liye phirtaa thaajab ko.ii apnaa heroapne aadarsh kaa paikar saamne aataajii ye chaahtaaaa.nkhe.n bichhaa.e.n dil me.n biThaa.e.nbaate.n sune.n itnii baate.nsail-e-zamaa.n se uu.nchii baate.ndil ke gahre Gam kii baate.nduurii aur nazdiikiilafz bahut chhoTe hai.nun lafzo.n ko parkho toinsaan aur bhii chhoTe nikalte hai.npaas bulaa kar jise dekhous kaa chehra faq be-ra.ngbhabhuut kii suurat kaalaa kaalaakyaa suuraj bahut niiche aa gayaa haikyaa maa.o.n ne bachche jan karduudh pilaanaa chho.D diyaa haigoliyaa.n khaa ke duudh ke soteKHushk karne vaalii maa.o.nplastic ke bags me.n raat-raat-bharbachcho.n kaa peshaab jazb karne vaalii maa.o.nnii.nd tumhaarii bahut miiThii haiThiik hai tum bhii bebas homard gharo.n se Gaa.eb ho.n tomaa.n kii maamtaa bilak bilak karnii.nd kii golii ke aa.ngan me.n so hii jaayaa kartii haiKHvaab-aavar goliiye bhii to aaj kii aham zaruurat haimasnuu.ii palke.n aa.nkho.n se utaar keaslii chehra mat dekhogoliyaa.n khaa.o so jaa.o aaraam karosub.h tumhaare sar ke uupar suuraj kiiaur bhii garm shu.aa.e.n raqs kare.ngiiachchhe log sub.h ko kuchh aur shaam ko kuchhaur raat ko un ke KHuun kii tuGyaanii me.nun ke haath aur un kii aa.nkhe.nbilkul ja.ngalii chuuhe jaisii ma.aluum ho.npahle-pahal ye achambhaa thaaKHauf kii tah me.n anjaane ko jaan.ne kii KHvaahishmak.Dii ke jaale kii maanind phailiipahle-pahal pistaano.n me.n dard kii Tiise.n bahut uThii.nphir yaad nahii.nmasnuu.ii palke.n itnii lambii hai.nmai.n apne pair ke naqsh ke aage dekh nahii.n saktii huu.nkahte hai.n ki havaa chalii haikhep na.e logo.n kiijin ko achchhaa kahne vaale saath saath hai.npahu.nch ga.e hai.n shahr kinaaresuuraj ab to itnaa niiche aa pahu.nchaa haius ko uThaa ke duur kisii kone me.n dafan karoraat kii chaadar o.Dhne se pahchaan kaa rishtashukr KHudaayaa TuuT to jaataa haiai rab tuu vaalii-e-kaun-o-makaa.ntuu sab ke dilo.n ke haal se vaaqif haito ham ko bataa ham kyaa soche.nham ne KHvaahisho.n ke saare parinde u.Daa diye hai.n
agar mai.n samjhuu.nke ye jo mohre hai.nsirf lak.Dii ke hai.n khilauneto jiitnaa kyaa hai haarnaa kyaana ye zaruuriina vo aham haiagar KHushii hai na jiitne kiina haarne kaa hii ko.ii Gam haito khel kyaa haimai.n sochtaa huu.njo khelnaa haito apne dil me.n yaqiin kar luu.nye mohre sach-much ke baadshaah o vaziirsach-much ke hai.n payaadeaur in ke aage haidushmano.n kii vo faujrakhtii hai jo ki mujh ko tabaah karne kesaare mansuubesab iraademagar aisaa jo maan bhii luu.nto sochtaa huu.nye khel kab haiye ja.ng hai jis ko jiitnaa haiye ja.ng hai jis me.n sab hai jaa.ezko.ii ye kahtaa hai jaise mujh seye ja.ng bhii haiye khel bhii haiye ja.ng hai par khilaa.Diyo.n kiiye khel hai ja.ng kii tarah kaamai.n sochtaa huu.njo khel haiis me.n is tarah kaa usuul kyuu.n haiki ko.ii mohara rahe ki jaa.emagar jo hai baadshaahus par kabhii ko.ii aa.nch bhii na aa.evaziir hii ko hai bas ijaazatki jis taraf bhii vo chaahe jaa.e
bam gharo.n par gire.n ki sarhad parruuh-e-ta.amiir zaKHm khaatii haikhet apne jale.n ki auro.n keziist faaqo.n se tilmilaatii hai
aur dabe dabe lahje me.n kahe tum ne ab tak ba.De dard sahetum tanhaa tanhaa jalte rahe tum tanhaa tanhaa chalte rahesuno tanhaa chalnaa khel nahii.n, chalo aa.o mire ham-raah chalochalo na.e safar par chalte hai.n, chalo mujhe banaa ke gavaah chalo
havaa bhii KHush-gavaar haigulo.n pe bhii nikhaar haitarannum-e-hazaar haibahaar pur-bahaar haikahaa.n chalaa hai saaqiyaaidhar to lauT idhar to aaare ye dekhtaa hai kyaauThaa subuu subuu uThaasubuu uThaa pyaala bharpyaala bhar ke de idharchaman kii samt kar nazarsamaa.n to dekh be-KHabarvo kaalii kaalii badliyaa.nufuq pe ho ga.ii.n ayaa.nvo ik hujuum-e-mai-kashaa.nhai suu-e-mai-kada ravaa.nye kyaa gumaa.n hai bad-gumaa.nsamajh na mujh ko naa-tavaa.nKHayaal-e-zohd abhii kahaa.nabhii to mai.n javaan huu.nibaadato.n kaa zikr hainajaat kii bhii fikr haijunuun hai savaab kaaKHayaal hai azaab kaamagar suno to shaiKH jiiajiib shai hai.n aap bhiibhalaa shabaab o aashiqiialag hu.e bhii hai.n kabhiihasiin jalva-rez ho.nadaa.e.n fitna-KHez ho.nhavaa.e.n itr-bez ho.nto shauq kyuu.n na tez ho.nnigaar-haa-e-fitnagarko.ii idhar ko.ii udharubhaarte ho.n aish parto kyaa kare ko.ii basharchalo jii qissa-muKHtasartumhaaraa nuqta-e-nazardurust hai to ho magarabhii to mai.n javaan huu.nye gasht kohsaar kiiye sair juu-e-baar kiiye bulbulo.n ke chahchaheye gul-ruKHo.n ke qahqahekisii se mel ho gayaato ranj o fikr kho gayaakabhii jo baKHt so gayaaye ha.ns gayaa vo ro gayaaye ishq kii kahaaniyaa.nye ras bharii javaaniyaa.nudhar se mehrbaaniyaa.nidhar se lan-taraaniyaa.nye aasmaan ye zamii.nnazaara-haa-e-dil-nashii.ninhe.n hayaat-aafrii.nbhalaa mai.n chho.D duu.n yahii.nhai maut is qadar qarii.nmujhe na aa.egaa yaqii.nnahii.n nahii.n abhii nahii.nabhii to mai.n javaan huu.nna Gam kushuud o bast kaabuland kaa na past kaana buud kaa na hast kaana vaada-e-alast kaaummiid aur yaas gumhavaas gum qayaas gumnazar se aas paas gumhama-bajuz gilaas gumna mai me.n kuchh kamii raheqadah se hamdamii rahenashist ye jamii raheyahii hamaa-hamii rahevo raag chhe.D mutribaatarab-fazaa, alam-rubaaasar sadaa-e-saaz kaajigar me.n aag de lagaahar ek lab pe ho sadaana haath rok saaqiyaapilaa.e jaa pilaa.e jaaabhii to mai.n javaan huu.n
naa chanchal khel javaanii ke naa pyaar kii alha.D ghaate.n thii.nbas raah me.n un kaa milnaa thaa yaa phone pe un kii baate.n thii.nis ishq pe ham bhii ha.nste the be-haasil saa be-haasil thaaik zor bipharte saagar me.n naa kashtii thii naa saahil thaajo baat thii in ke jii me.n thii jo bhed thaa yaksar an-jaanaais bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaa
uTTho mirii duniyaa ke Gariibo.n ko jagaa dokaaKH-e-umraa ke dar o diivaar hilaa dogarmaa.o Gulaamo.n kaa lahuu soz-e-yaqii.n sekunjishk-e-faromaaya ko shaahii.n se la.Daa dosulataani-e-jamhuur kaa aataa hai zamaanajo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aa.e miTaa dojis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n roziius khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa dokyuu.n KHaaliq o maKHluuq me.n haa.il rahe.n pardepiiraan-e-kaliisaa ko kaliisaa se uThaa dohaq raa ba-sajuude sanamaa.n raa ba-tavaafebehtar hai charaaG-e-haram-o-dair bujhaa domai.n naa-KHush o be-zaar huu.n marmar kii silo.n semere liye miTTii kaa haram aur banaa dotahziib-e-navii kaargah-e-shiishagaraa.n haiaadaab-e-junuu.n shaa.ir-e-mashriq ko sikhaa do
aaj ke naamauraaj ke Gam ke naamaaj kaa Gam ki hai zindagii ke bhare gulsitaa.n se KHafaazard patto.n kaa banzard patto.n kaa ban jo miraa des haidard kii anjuman jo miraa des haiclerko.n kii afsurda jaano.n ke naamkirm-KHurda dilo.n aur zabaano.n ke naampost-mano.n ke naamtaa.nge vaalo.n kaa naamrail-baano.n ke naamkaar-KHaano.n ke bhuuke jiyaalo.n ke naambaadshaah-e-jahaa.n vaalii-e-maa-sivaa, naa.eb-ul-allaah fil-arzdahqaa.n ke naamjis ke Dhoro.n ko zaalim ha.nkaa le ga.ejis kii beTii ko Daaku uThaa le ga.ehaath bhar khet se ek a.ngusht paTvaar ne kaaT lii haiduusrii maaliye ke bahaane se sarkaar ne kaaT lii haijis kii pag zor vaalo.n ke paa.nv-taledhajjiyaa.n ho ga.ii haiun dukhii maa.o.n ke naamraat me.n jin ke bachche bilakte hai.n aurnii.nd kii maar khaa.e hu.e baazu.o.n me.n sambhalte nahii.ndukh bataate nahii.nminnato.n zaariyo.n se bahalte nahii.n
mushta.il ho ke abhii uTThe.nge vahshii saa.eye chalaa jaa.egaa rah jaa.e.nge baaqii saa.eraat-bhar jin se tiraa KHuun-KHaraabaa hogaaja.ng Thahrii hai ko.ii khel nahii.n hai ai dildushman-e-jaa.n hai.n sabhii saare ke saare qaatilye ka.Dii raat bhii ye saa.e bhii tanhaa.ii bhiidard aur ja.ng me.n kuchh mel nahii.n hai ai dillaa.o sulgaa.o ko.ii josh-e-Gazab kaa a.ngaartaish kii aatish-e-jarraar kahaa.n hai laa.ovo dahaktaa hu.aa gulzaar kahaa.n hai laa.ojis me.n garmii bhii hai harkat bhii tavaanaa.ii bhii
tum aaj hazaaro.n miil yahaa.n se duur kahii.n tanhaa.ii me.nyaa bazm-e-tarab-aaraa.ii me.nmere sapne buntii ho.ngii baiThii aaGosh paraa.ii me.naur mai.n siine me.n Gam le kar din-raat mashaqqat kartaa huu.njiine kii KHaatir martaa huu.napne fan ko rusvaa kar ke aGyaar kaa daaman bhartaa huu.nmajbuur huu.n mai.n majbuur ho tum majbuur ye duniyaa saarii haitan kaa dukh man par bhaarii haiis daur me.n jiine kii qiimat yaa daar-o-rasan yaa KHvaarii haimai.n daar-o-rasan tak jaa na sakaa tum jehd kii had tak aa na sakii.nchaahaa to magar apnaa na sakii.nham to do aisii ruuhe.n hai.n jo manzil-e-taskii.n paa na sake.njiine ko jiye jaate hai.n magar saa.nso.n me.n chitaae.n jaltii hai.nKHaamosh vafaa.e.n jaltii hai.nsangiin haqaa.iq-zaaro.n me.n KHvaabo.n kii ridaa.e.n jaltii hai.naur aaj jab in pe.Do.n ke tale phir do saa.e lahraa.e hai.nphir do dil milne aa.e hai.nphir maut kii aa.ndhii uTThii hai phir ja.ng ke baadal chhaa.e hai.nmai.n soch rahaa huu.n in kaa bhii apnii hii tarah anjaam na hoin kaa bhii junuu.n naakaam na hoin ke bhii muqaddar me.n likhii ik KHuun me.n lith.Dii shaam na hosuuraj ke lahuu me.n lith.Dii hu.ii vo shaam hai ab tak yaad mujhechaahat ke sunahre KHvaabo.n kaa anjaam hai ab tak yaad mujhehamaaraa pyaar havaadis kii taab laa na sakaamagar unhe.n to muraado.n kii raat mil jaa.ehame.n to kashmakash-e-marg-e-be-amaa.n hii miliiunhe.n to jhuumtii gaatii hayaat mil jaa.ebahut dino.n se hai ye mashGala siyaasat kaaki jab javaan ho.n bachche to qatl ho jaa.e.nbahut dino.n se ye hai KHabt hukmaraano.n kaaki duur duur ke mulko.n me.n qaht bo jaa.e.nbahut dino.n se javaanii ke KHvaab viiraa.n hai.nbahut dino.n se sitam-diida shaah-raaho.n me.nnigaar-e-ziist kii ismat panaah Dhuu.nDhtii haichalo ki aaj sabhii paa.emaal ruuho.n sekahe.n ki apne har ik zaKHm ko zabaa.n kar le.nhamaaraa raaz hamaaraa nahii.n sabhii kaa haichalo ki saare zamaane ko raaz-daa.n kar le.nchalo ki chal ke siyaasii muqaamiro.n se kahe.nki ham ko jang-o-jadal ke chalan se nafrat haijise lahuu ke sivaa ko.ii rang raas na aa.ehame.n hayaat ke us pairahan se nafrat haikaho ki ab ko.ii qaatil agar idhar aayaato har qadam pe zamii.n tang hotii jaa.egiihar ek mauj-e-havaa ruKH badal ke jhapTegiihar ek shaaKH rag-e-sa.ng hotii jaa.egiiuTho ki aaj har ik jang-juu se ye kah de.nki ham ko kaam kii KHaatir kalo.n kii haajat haihame.n kisii kii zamii.n chhiin.ne kaa shauq nahii.nhame.n to apnii zamii.n par halo.n kii haajat haikaho ki ab ko.ii taajir idhar kaa ruKH na kareab is jagah ko.ii ku.nvaarii na bechii jaa.egiiye khet jaag pa.De uTh kha.Dii hu.ii.n fasle.nab is jagah ko.ii kyaarii na bechii jaa.egiiye sar-zamiin hai gautam kii aur naanak kiiis arz-e-paak pe vahshii na chal sake.nge kabhiihamaaraa KHuun amaanat hai nasl-e-nau ke liyehamaare KHuun pe lashkar na pal sake.nge kabhiikaho ki aaj bhii ham sab agar KHamosh raheto is damakte hu.e KHaak-daa.n kii KHair nahii.njunuu.n kii Dhaalii hu.ii atomii balaa.o.n sezamii.n kii KHair nahii.n aasmaa.n kii KHair nahii.nguzishta jang me.n ghar hii jale magar is baarajab nahii.n ki ye tanhaa.iyaa.n bhii jal jaa.e.nguzishta ja.ng me.n paikar jale magar is baarajab nahii.n ki ye parchhaa.iyaa.n bhii jal jaa.e.ntasavvuraat kii parchhaa.iyaa.n ubhartii hai.n
ibliisye anaasir kaa puraanaa khel ye duniyaa-e-duu.nsaakinaan-e-arsh-e-aazam kii tamannaa.o.n kaa KHuu.nis kii barbaadii pe aaj aamaada hai vo kaarsaazjis ne is kaa naam rakhaa thaa jahaan-e-kaaf-o-nuu.nmai.n ne dikhlaayaa fara.ngii ko muluukiyat kaa KHvaabmai.n ne to.Daa masjid-o-dair-o-kaliisaa kaa fusuu.nmai.n ne naadaaro.n ko sikhlaayaa sabaq taqdiir kaamai.n ne mun.im ko diyaa sarmaaya daarii kaa junuu.nkaun kar saktaa hai is kii aatish-e-sozaa.n ko sardjis ke ha.ngaamo.n me.n ho ibliis kaa soz-e-daruu.njis kii shaaKHe.n ho.n hamaarii aabiyaarii se bulandkaun kar saktaa hai is naKHl-e-kuhan ko sar-niguu.npahlaa mushiiris me.n kyaa shak hai ki mohkam hai ye ibliisii nizaampuKHta-tar is se hu.e KHuu-e-Gulaamii me.n avaamhai azal se in Gariibo.n ke muqaddar me.n sujuudin kii fitrat kaa taqaazaa hai namaaz-e-be-qayaamaarzuu avval to paidaa ho nahii.n saktii kahii.nho kahii.n paidaa to mar jaatii hai yaa rahtii hai KHaamye hamaarii sa.ii-e-paiham kii karaamat hai ki aajsuufii-o-mullaa muluukiyyat ke bande hai.n tamaamtab-e-mashriq ke liye mauzuu.n yahii afyuun thiivarna qavvaalii se kuchh kam-tar nahii.n ilm-e-kalaamhai tavaaf-o-haj kaa ha.ngaama agar baaqii to kyaakund ho kar rah ga.ii momin kii teG-e-be-niyaamkis kii nau-miidii pe hujjat hai ye farmaan-e-jadiidhai jihaad is daur me.n mard-e-musalmaa.n par haraamduusraa mushiirKHair hai sulataanii-e-jamhuur kaa GauGaa ki shartuu jahaa.n ke taaza fitno.n se nahii.n hai baa-KHabarpahlaa mushiirhuu.n magar merii jahaa.n-biinii bataatii hai mujhejo muluukiyat kaa ik parda ho kyaa is se KHatarham ne KHud shaahii ko pahnaayaa hai jamhuurii libaasjab zaraa aadam hu.aa hai KHud-shanaas-o-KHud-nigarkaarobaar-e-shahryaarii kii haqiiqat aur haiye vajuud-e-miir-o-sultaa.n par nahii.n hai munhasirmajlis-e-millat ho yaa parvez kaa darbaar hohai vo sultaa.n Gair kii khetii pe ho jis kii nazartuu ne kyaa dekhaa nahii.n maGrib kaa jamhuurii nizaamchehra raushan andaruu.n cha.ngez se taariik-tartiisraa mushiirruuh-e-sultaanii rahe baaqii to phir kyaa iztiraabhai magar kyaa is yahuudii kii sharaarat kaa javaabvo kaliim-e-be-tajallii vo masiih-e-be-saliibniist paiGambar va-lekin dar baGal daarad kitaabkyaa bataa.uu.n kyaa hai kaafir kii nigaah-e-parda-sozmashriq-o-maGrib kii qaumo.n ke liye roz-e-hisaabis se ba.Dh kar aur kyaa hogaa tabii.at kaa fasaadto.D dii bando.n ne aaqaa.o.n ke KHemo.n kii tanaabchauthaa mushiirto.D is kaa ruumat-ul-kubraa ke aivaano.n me.n dekhaal-e-ceaser ko dikhaayaa ham ne phir ceaser kaa KHvaabkaun bahr-e-ruum kii maujo.n se hai lipTaa hu.aagaah baalad-chuu.n-sanobar gaah naalad-chuu.n-rubaabtiisraa mushiirmai.n to is kii aaqibat-biinii kaa kuchh qaa.il nahii.njis ne afra.ngii siyaasat ko kyaa yuu.n be-hijaabpaa.nchvaa.n mushiir ibliis ko muKHaatab kar keai tire soz-e-nafas se kaar-e-aalam ustuvaartuu ne jab chaahaa kiyaa har pardagii ko aashkaaraab-o-gil terii haraarat se jahaan-e-soz-o-saazablah-e-jannat tirii ta.aliim se daanaa-e-kaartujh se ba.Dh kar fitrat-e-aadam kaa vo mahram nahii.nsaada-dil bando.n me.n jo mash.huur hai parvardigaarkaam thaa jin kaa faqat taqdiis-o-tasbiih-o-tavaafterii Gairat se abad tak sar-niguu.n-o-sharmsaargarche hai.n tere muriid afra.ng ke saahir tamaamab mujhe un kii faraasat par nahii.n hai e'tibaarvo yahuudii fitna-gar vo ruuh-e-mazdak kaa buruuzhar qabaa hone ko hai is ke junuu.n se taar taarzaaG dashtii ho rahaa hai ham-sar-e-shaahiin-o-charGkitnii sur.at se badaltaa hai mizaaj-e-rozgaarchhaa ga.ii aashufta ho kar vus.at-e-aflaak parjis ko naadaanii se ham samjhe the ik musht-e-Gubaarfitna-e-fardaa kii haibat kaa ye aalam hai ki aajkaa.npte hai.n kohsaar-o-murG-zaar-o-juu.ebaarmere aaqaa vo jahaa.n zer-o-zabar hone ko haijis jahaa.n kaa hai faqat terii siyaadat par madaar
aaj kii shab to bahut kuchh hai magar kal ke liyeek andesha-e-be-naam hai aur kuchh bhii nahii.ndekhnaa ye hai ki kal tujh se mulaaqaat ke ba.adra.ng-e-ummiid khilegaa ki bikhar jaa.egaavaqt parvaaz karegaa ki Thahar jaa.egaajiit ho jaa.egii yaa khel biga.D jaa.egaaKHvaab kaa shahr rahegaa ki uja.D jaa.egaa
silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-haadsaatsilsila-e-roz-o-shab asl-e-hayaat-o-mamaatsilsila-e-roz-o-shab taar-e-hariir-e-do-ra.ngjis se banaatii hai zaat apnii qabaa-e-sifaatsilsila-e-roz-o-shab saaz-e-azal kii fuGaa.njis se dikhaatii hai zaat zer-o-bam-e-mumkinaattujh ko parakhtaa hai ye mujh ko parakhtaa hai yesilsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaa.enaattuu ho agar kam ayaar mai.n huu.n agar kam ayaarmaut hai terii baraat maut hai merii baraattere shab-o-roz kii aur haqiiqat hai kyaaek zamaane kii rau jis me.n na din hai na raataani-o-faanii tamaam mojaza-haa-e-hunarkaar-e-jahaa.n be-sabaat kaar-e-jahaa.n be-sabaatavval o aaKHir fanaa baatin o zaahir fanaanaqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-aaKHir fanaahai magar is naqsh me.n ra.ng-e-sabaat-e-davaamjis ko kiyaa ho kisii mard-e-KHudaa ne tamaammard-e-KHudaa kaa amal ishq se saahab faroGishq hai asl-e-hayaat maut hai us par haraamtund o subuk-sair hai garche zamaane kii rauishq KHud ik sail hai sail ko letaa hai thaamishq kii taqviim me.n asr-e-ravaa.n ke sivaaaur zamaane bhii hai.n jin kaa nahii.n ko.ii naamishq dam-e-jibra.iil ishq dil-e-mustafaaishq KHudaa kaa rasuul ishq KHudaa kaa kalaamishq kii mastii se hai paikar-e-gil taabnaakishq hai sahbaa-e-KHaam ishq hai kaas-ul-karaamishq faqiih-e-haram ishq amiir-e-junuuudishq hai ibnus-sabiil is ke hazaaro.n maqaamishq ke mizraab se naGma-e-taar-e-hayaatishq se nuur-e-hayaat ishq se naar-e-hayaatai haram-e-qurtuba ishq se teraa vajuudishq saraapaa davaam jis me.n nahii.n raft o buudra.ng ho yaa KHisht o sang cha.ng ho yaa harf o sautmojaza-e-fan kii hai KHuun-e-jigar se numuudqatra-e-KHuun-e-jigar sil ko banaataa hai dilKHuun-e-jigar se sadaa soz o suruur o suruudterii fazaa dil-faroz merii navaa siina-soztujh se dilo.n kaa huzuur mujh se dilo.n kii kushuudarsh-e-mo.allaa se kam siina-e-aadam nahii.ngarche kaf-e-KHaak kii had hai sip.har-e-kabuudpaikar-e-nuurii ko hai sajda mayassar to kyaaus ko mayassar nahii.n soz-o-gudaaz-e-sajuudkaafir-e-hindi huu.n mai.n dekh miraa zauq o shauqdil me.n salaat o duruud lab pe salaat o duruudshauq mirii lai me.n hai shauq mirii nai me.n hainaGma-e-allaah-huu mere rag-o-pai me.n haiteraa jalaal o jamaal mard-e-KHudaa kii daliilvo bhii jaliil o jamiil tuu bhii jaliil o jamiilterii binaa paa.edaar tere sutuu.n be-shumaarshaam ke sahraa me.n ho jaise hujuum-e-nuKHiiltere dar-o-baam par vaadii-e-aiman kaa nuurteraa minaar-e-buland jalva-gah-e-jibra.iilmiT nahii.n saktaa kabhii mard-e-musalmaa.n ki haius kii azaano.n se faash sirr-e-kaliim-o-KHaliilus kii zamii.n be-huduud us kaa ufuq be-saGuurus ke samundar kii mauj dajla o danyuub o niilus ke zamaane ajiib us ke fasaane Gariibahd-e-kuhan ko diyaa us ne payaam-e-rahiilsaaqi-e-rabaab-e-zauq faaras-e-maidaan-e-shauqbaada hai us kaa rahiiq teG hai us kii asiilmard-e-sipaahii hai vo us kii zirah laa-ilaahsaaya-e-shamshiir me.n us kii panah laa-ilaahtujh se hu.aa aashkaar banda-e-momin kaa raazus ke dino.n kii tapish us kii shabo.n kaa gudaazus kaa maqaam-e-buland us kaa KHayaal-e-aziimus kaa suruur us kaa shauq us kaa niyaaz us kaa naazhaath hai allaah kaa banda-e-momin kaa haathGaalib o kaar-aafrii.n kaar-kushaa kaarsaazKHaakii o nuurii-nihaad banda-e-maulaa-sifaathar do-jahaa.n se Ganii us kaa dil-e-be-niyaazus kii umiide.n qaliil us ke maqaasid jaliilus kii adaa dil-fareb us kii nigah dil-navaazaaj bhii is des me.n aam hai chashm-e-Gazaalaur nigaaho.n ke tiir aaj bhii hai.n dil-nashii.nbuu-e-yaman aaj bhii us kii havaa.o.n me.n haira.ng-e-hijaaz aaj bhii us kii navaa.o.n me.n haidiida-e-anjum me.n hai terii zamii.n aasmaa.naah ki sadiyo.n se hai terii fazaa be-azaa.nkaun sii vaadii me.n hai kaun sii manzil me.n haiishq-e-balaa-KHez kaa qaafla-e-saKHt-jaa.ndekh chukaa almanii shorish-e-islaah-e-dii.njis ne na chho.De kahii.n naqsh-e-kuhan ke nishaa.nharf-e-Galat ban ga.ii ismat-e-piir-e-kunishtaur hu.ii fikr kii kashti-e-naazuk ravaa.nchashm-e-faraansiis bhii dekh chukii inqalaabjis se digar-guu.n hu.aa maGrabiyo.n kaa jahaa.nmillat-e-ruumii-nizhaad kohna-parastii se piirlazzat-e-tajdiida se vo bhii hu.ii phir javaa.nruuh-e-musalmaa.n me.n hai aaj vahii iztiraabraaz-e-KHudaa.ii hai ye kah nahii.n saktii zabaa.nnarm dam-e-guftuguu garm dam-e-justujuurazm ho yaa bazm ho paak-dil o paak-baaznuqta-e-parkaar-e-haq mard-e-KHudaa kaa yaqii.naur ye aalam tamaam vahm o tilism o majaazaql kii manzil hai vo ishq kaa haasil hai vohalqa-e-aafaaq me.n garmi-e-mahfil hai vokaaba-e-arbaab-e-fan satvat-e-diin-e-mubii.ntujh se haram martabat undulusiyo.n kii zamii.nhai tah-e-garduu.n agar husn me.n terii naziirqalb-e-musalmaa.n me.n hai aur nahii.n hai kahii.naah vo mardaan-e-haq vo arabii shahsavaarhaamil-e-KHalq-e-aziim saahab-e-sidq-o-yaqii.njin kii hukuumat se hai faash ye ramz-e-Gariibsaltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shaahii nahii.njin kii nigaaho.n ne kii tarbiyat-e-sharq-o-Garbzulmat-e-europe me.n thii jin kii KHirad-raah-bii.njin ke lahuu ke tufail aaj bhii hai.n undulusiiKHush-dil o garam-iKHtilaat saada o raushan-jabii.ndekhiye is bahr kii tah se uchhaltaa hai kyaagumbad-e-niilofarii rang badaltaa hai kyaavaadi-e-koh-saar me.n Garq-e-shafaq hai sahaablaal-e-badaKHshaa.n ke Dher chho.D gayaa aaftaabsaada o pur-soz hai duKHtar-e-dahqaa.n kaa giitkashtii-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabaabaab-e-ravaan-e-kabiir tere kinaare ko.iidekh rahaa hai kisii aur zamaane kaa KHvaabaalam-e-nau hai abhii parda-e-taqdiir me.nmerii nigaaho.n me.n hai us kii sahar be-hijaabparda uThaa duu.n agar chehra-e-afkaar selaa na sakegaa fara.ng merii navaa.o.n kii taabjis me.n na ho inqalaab maut hai vo zindagiiruuh-e-umam kii hayaat kashmakash-e-inqilaabsuurat-e-shamshiir hai dast-e-qazaa me.n vo qaumkartii hai jo har zamaa.n apne amal kaa hisaabnaqsh hai.n sab naa-tamaam KHuun-e-jigar ke baGairnaGma hai saudaa-e-KHaam KHuun-e-jigar ke baGair
tere pairaahan-e-ra.ngii.n kii junuu.n-KHez mahakKHvaab ban ban ke mire zehn me.n lahraatii hairaat kii sard KHamoshii me.n har ik jho.nke setere anfaas tire jism kii aa.nch aatii hai
shaayad mirii ulfat ko bahut yaad karogiiapne dil-e-maa'suum ko naashaad karogiiaa.ogii mirii gor pe tum ashk bahaanenau-KHez bahaaro.n ke hasii.n phuul cha.Dhaane
ye mile.n ye jaagiire.nkis kaa KHuun piitii hai.nbaracko.n me.n ye fauje.nkis ke bal pe jiitii hai.nkis kii mehnato.n kaa phaldaashtaa.e.n khaatii hai.njho.npa.Do.n se rone kiikyuu.n sadaa.e.n aatii hai.njab shabaab par aa karkhet lahlahaataa haikis ke nain rote hai.nkaun muskuraataa haikaash tum kabhii samjhokaash tum kabhii samjhokaash tum kabhii jaanodas karo.D insaano!ilm-o-fan ke raste me.nlaaThiyo.n kii ye baa.De.ncollego.n ke la.Dko.n pargoliyo.n kii bauchhaa.De.nye kiraa.e ke GunDeyaadgaar-e-shab dekhokis qadar bhayaanak haizulm kaa ye Dhab dekhoraqs-e-aatish-o-aahandekhte hii jaa.ogedekhte hii jaa.ogehosh me.n na aa.ogehosh me.n na aa.ogeai KHamosh tuufaano!das karo.D insaano!
gul hu.ii jaatii hai afsurda sulagtii hu.ii shaamDhul ke niklegii abhii chashma-e-mahtaab se raataur mushtaaq nigaaho.n kii sunii jaa.egiiaur un haatho.n se mas ho.nge ye tarse hu.e haatun kaa aa.nchal hai ki ruKHsaar ki pairaahan haikuchh to hai jis se hu.ii jaatii hai chilman ra.ngii.njaane us zulf kii mauhuum ghanii chhaa.nv me.nTimTimaataa hai vo aaveza abhii tak ki nahii.naaj phir husn-e-dil-aaraa kii vahii dhaj hogiivahii KHvaabiida sii aa.nkhe.n vahii kaajal kii lakiirra.ng-e-rukHsaar pe halkaa saa vo Gaaze kaa Gubaarsandalii haath pe dhu.ndlii sii hinaa kii tahriirapne afkaar kii ash.aar kii duniyaa hai yahiijaan-e-mazmuu.n hai yahii shaahid-e-ma.anii hai yahiiaaj tak surKH o siyah sadiyo.n ke saa.e ke taleaadam o havvaa kii aulaad pe kyaa guzrii hai?maut aur ziist kii rozaana saf-aaraa.ii me.nham pe kyaa guzregii ajdaad pe kyaa guzrii hai?in damakte hu.e shahro.n kii faraavaa.n maKHluuqkyuu.n faqat marne kii hasrat me.n jiyaa kartii haiye hasii.n khet phaTaa pa.Dtaa hai jauban jin kaa!kis liye in me.n faqat bhuuk ugaa kartii haiye har ik samt pur-asraar ka.Dii diivaare.njal-bujhe jin me.n hazaaro.n kii javaanii ke charaaGye har ik gaam pe un KHvaabo.n kii maqtal-gaahe.njin ke partav se charaaGaa.n hai.n hazaaro.n ke dimaaGye bhii hai.n aise ka.ii aur bhii mazmuu.n ho.ngelekin us shoKH ke aahista se khulte hu.e ho.nThaa.e us jism ke kambaKHt dil-aavez KHutuutaap hii kahiye kahii.n aise bhii afsuu.n ho.nge
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
mai.n ne muddat se ko.ii KHvaab nahii.n dekhaa hairaat khilne kaa gulaabo.n se mahak aane kaaos kii buu.ndo.n me.n suuraj ke samaa jaane kaachaa.nd sii miTTii ke zarro.n se sadaa aane kaashahr se duur kisii gaa.nv me.n rah jaane kaakhet khaliyaano.n me.n baaGo.n me.n kahii.n gaane kaasubah ghar chho.Dne kaa der se ghar aane kaabahte jharno.n kii khanaktii hu.ii aavaazo.n kaachahchahaatii hu.ii chi.Diyo.n se ladii shaaKHo.n kaanargisii aa.nkho.n me.n ha.nstii hu.ii naadaanii kaamuskuraate hu.e chehre kii Gazal KHvaanii kaateraa ho jaane tire pyaar me.n kho jaane kaateraa kahlaane kaa teraa hii nazar aane kaamai.n ne muddat se ko.ii KHvaab nahii.n dekhaa haihaath rakh de mirii aa.nkho.n pe ki nii.nd aa jaa.e
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books