aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "kolhuu"
vaqt raTne ke liye kam rah gayaa zyaada hai kaamsaal bhar jin ko na dekhaa vo KHulaase nek-naamsaamne rakkhe hai.n un ko jhuk ke karte hai.n salaamun kii puujaa hii me.n saaraa vaqt hotaa hai tamaamtelevision bhii nahii.n Gaa.eb hu.e hai.n saare khelDaal kar kolhuu me.n bachcho.n ko nikaalo un kaa tel
aaKHir aisaa kyo.n hai paapaamere shahr-e-kalkatta me.nmurGii nahii.n murGii haTTe me.nkolhuu nahii.n kolhuu Tole me.nmaalaa nahii.n maalaa-paa.De me.nbelaa nahii.n baliyaa ghaaTe me.naaKHir aisaa kyo.n hai paapaamere shahr-e-kalkatta me.nchuunaa galii me.n chuunaa kab haishiisha galii me.n shiisha kab haichhaataa galii me.n chhaataa kab haibaksaa galii me.n baksaa kab haiaaKHir aisaa kyo.n hai paapaamere shahr-e-kalkatta me.nbhishtii nahii.n bhishtii-paa.De me.nmochii nahii.n mochii-paa.De me.nhaajii nahii.n haajii-paa.De me.nqaazii nahii.n qaazii-paa.De me.naaKHir aisaa kyo.n hai paapaamere shahr-e-kalkatta me.ntaal nahii.n hai taal-tale me.nniim nahii.n hai niim tale me.njhaav nahii.n hai jhaav-tale me.nbaa.ns nahii.n hai baa.ns-tale me.naaKHir aisaa kyo.n hai paapaamere shahr-e-kalkatta me.nhairat se jab mai.n ne puuchhaabas itnaa hii bole paapaaaaj nahii.n hai lekin beTaabarso.n pahle hotaa hogaa
be-aabaad gharo.n me.n aisaa hotaa haiduur ke des ko jaane vaalaa kolhuu kaa ek bail banaa haihar pahlii ko harkaare ke haath me.n ek money-order kaa rasta taktiibaap kii aa.nkhe.n KHushii KHushii tasbiih ke daane jaldii jaldii pher rahii hai.nbahne.n dollar ke ta.aviiz banaa kar gale me.n Daale ghuum rahii hai.nbhaa.ii apne yaaro.n me.n pardes ke qisse rang-birangii aavaazo.n me.n haa.nk rahe hai.nKHush-fahmii kii maarii biivii apnii javaanii umr ke calender me.n rakh kar kaamo.n me.n lag jaatii haimaa.n diivaar pe baiThe kavve kii aavaaz ko sun kar KHush hotii haiduur ke des me.nkolhuu kaa vo bail bechaararaat ko thak kar so jaataa haibe-aabaad gharo.n me.n aksaraisaa ho jaataa hai
uu.nche makaano.n kii diivaaro.n par harii bharii phuulo.n kii belsurma.ii baadalo.n ke ghu.nghaT se merii chhoTii khi.Dkii kii tarafdekhtii haipersuaders T.v par film chal rahii haimai.n kis ke ta.aaqub me.n apnii taraf bhaag rahii huu.nmai.n kolhuu kaa bail huu.nroz ek daa.era apne ird-gird khii.nchtii huu.n aur is daa.ereke aage ek aur daa.era phir ek auryuu.n aage hii aage daa.ere hii daa.erezindagii kaa safar daa.ero.n se likhaa gayaasubah dopahar shaam aa.nsuu kii roTii dukh kaa saalan aursard aaho.n kaa paaniibarsaato.n kii shaame.n nirmal komal dil ko yuu.n dahlaatii hai.njaise aatish-daan kii qariib so.ii billii an-jaane qadmo.n se chau.nk jaa.eye bhii ek daa.era haiis daa.ere ke andar hamaare hathiyaar zamiin par pa.Dte hai.naur ham haath uThaa.e aasmaanii aavaaz paraage hii aage be-samt chalte jaa rahe hai.ndaa.ere bante jaa rahe hai.n
ai aish-mahal ke rahne vaalodekho to kabhii nazar uThaa karhaal apne pa.Dosiyo.n kaa bhii kuchhTuuTe hu.e jho.npa.Do.n ke andarinsaan kii shakl me.n bahaa.imaulaad-e-bashar giddho.n se bad-tarnaa-chaar-o-tabaah-o-zaar-o-biimaarrusvaa-o-zaliil-o-KHvaar-o-abtarfaaqo.n kii hai jin ke ruKH pe zardiifikro.n se jo ho rahe hai.n laaGarkap.Daa nahii.n jin ke tan pe saabitchaadar hai na jin ke paas bistarsuukhii hu.ii roTiyaa.n bhii jin komiltii nahii.n do do vaqt aksardekhii nahii.n amn-o-aafiyat kiisuurat bhii jinho.n ne zindagii-bharqismat me.n nahii.n hai jin kii aaraamkolhuu kaa jo bail hai.n saraasarlekin tumhe.n Gaaliban ye ik baatma.aluum nahii.n hai banda-parvarsadqa hai unhii.n kii juutiyo.n kaasaarii ye tumhaarii shaukat-o-farrgar pher le.n ye nazar kuchh apniitum ko na rahe KHabar kuchh apnii
din manaayaa jaa rahaa haighar ke baaharaaj meraa aalamii din haibahut shor-o-GauGaa haiaur ghar ke andarkolhuu ke bail kii tarahmai.n apne daa.ere me.n chal rahii huu.n
ehtajaajii muzaahire ke dauraanidhar udhar bhaagte hu.elogo.n ke beach sa.Dak par phaTne vaaleaa.nsuu gas ke shel kii tarahaap kii nazme.n pa.Dhte hu.eaa.nkho.n me.n jalan hone lagtii haigale me.n KHaraashe.n pa.D jaatii hai.nnaak se be-tahaashaa paanii bahne lagtaa haibhaagne vaale logo.n kii tarahdil bahut zor se dha.Dakne lagtaa haiapnii haaliya nazmo.n me.nsiivrej pipe ke saathchalne vaalii KHud-rav belo.n ke bajaa.eaap gande paanii kaa zikr kar rahe hai.nrailway line ke aas paaskhilne vaale phuulo.n ke bajaa.e express train parnaa-maaluum daaku.o.n kii firing kaa zikrKHatre kii alaamat haiaur kolhii aurato.n ke KHilaaf police operation kii baat tointihaa.ii pareshaan-kun haiworld-cup kii KHushii me.nhavaa.ii firing se halaak hone vaaliiaurat kii maut mahz ittifaaqiya thiiaap us kii yaad me.n na.re-baazii na kare.nqaa.ed-e-hazb-e-iKHtilaaf kii tarahaap ko hamaarii har policy se iKHtilaaf haiaap ke liye hamaaraa har aa.iinii qadam Gair aa.iinii haiaur hamaarii har peshkash qubuulaap ko hamaarii har baat par Gussa aataa haiaur hame.n KHair chho.De.naap kii na.ii nazm kaa har lafzkiraa.e ke goriilo.n kii banduuqo.n senikalne vaalii goliyo.n kii tarah haiham aap ko ek sazaa-yaafta dahshat banaa sakte hai.nyaa ek Gair-mulkii agnet qaraar de sakte hai.naap Gaddaar bhii ho sakte hai.nmagar filhaal hamaare liyeaap ek ishti.aal-a.ngez shaa.ir hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books