aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "sadhe"
na jaane kaun vo bahruupiyaa haijo har shabmirii thakii hu.ii palko.n kii sabz chhaa.nv me.ntarah tarah ke karishme dikhaayaa kartaa hailapaktii surKH lapaTjhuumtii hu.ii Daaliichamakte taal ke paanii me.n Duubtaa pattharubharte phailte ghero.n me.n tairte KHanjaruchhaltii ge.nd raba.D kii sadhe hu.e do haathsulagte khet kii miTTii pe TuuTtii barsaatajiib KHvaab hai.n yebinaa vazuu kiye so.ii nahii.n kabhii mai.n tomai.n sochtii huu.nkisii roz apnii bhaabii kechamakte paa.nv kii paazeb to.D kar rakh duu.nba.Dii shariir hai har vaqt shor kartii hai.nkisii tarah sahii be-KHvaab nii.nd to aa.egha.Dii gha.Dii kii musiibat se jaan chhuT jaa.e
vo raat kaa sundar sannaaTaa chup saadhe hu.e jaise manzilga.ngaa kii dha.Daktii chhaatii par armaa.n ke diye jhilmil jhilmilpaanii me.n laraztii rahtii thii chaa.nd aur sitaaro.n kii mahfiljab chaa.ndnii raato.n me.n ham tum ga.ngaa ke kinaare hote the
patluun kii silaa.ii pachchaanve ruupa.e diiurfii ke boot saa.Dhe-chhai-sau ruupe me.n aa.ebachcho tumhaarii eidii kaise ba.Dhaa.ii jaa.e
lorkaa ko kalaa.ii par baa.ndhaaho-chi-minh ko niyaam me.n rakhaasaa.Dhe lenin baje school ga.esub.h-e-iisaa ko shaam me.n rakkhaaarmuGaan-e-hijaaz me.n so.ehollywood kii azaan par jaageDiary me.n sudhaar thaa likhaa
zamiin guu.ngii ho rahii haiparinde chup saadheuj.Dii shaaKHo.n pe baiThe nauha-kunaa.n hai.nraat ke badan penii.nd ke pyaale au.ndhe pa.De bilak rahe hai.naurato.n ke rahm me.nzinda laasho.n ke galne-sa.Dne se ta.affun phail rahaa haiKHvaab bastiyaa.n uja.D rahii hai.nsamundaro.n ne dekhaamaut daa.nt nikostii dandanaatii phirtii hai
yahaa.n mazaafaat me.n is vaqtThiik is vaqtjab zamiinii gha.Diyaa.n sub.h ke saa.Dhe-saat bajaa rahii hai.nek pahiya banaayaa jaa rahaa hailak.Dii ke taKHto.n ko golaa.ii denaa ma.amuulii kaam nahii.napne vast se baahar phuuTtii hu.ii raushniiaurat ke barahana jism ke baa'd ye pahlaa manzar haijis ne mujhe rok liyaa haiaur mai.n bhuul gayaa huu.n ki sayyaare par ko.ii mausam bhii haiaur meraa ek naam bhii haipahiyo.n kii ek jo.Dii darvaaze se lagii kha.Dii haigaa.Diibaan aa.egaa aur use le jaa.egaagaa.Diibaan aa.egaa aur ye phuul le jaa.egaa...
kar na ThanDaa sard-mehrii se miraa josh-e-talabnaaravaa hai ye tashaddud naa-munaasib ye Gazabkis liye paaband kar rakkhaa hai mujh ko be-sababtuu KHudaa ke vaaste bas aaj jaane de clubtaash kheluu.ngaa na jii shatranj se bahlaa.uu.ngaashab ke saa.Dhe aaTh se pahle mai.n ghar aa jaa.uu.ngaa
pyaaresaat saal seis television parhis-masters-voice kemunkasir-mizaajaur burdbaar kutte kii tarahbe-niyaaz aur mutma.in aur be-KHabardam saadhe baiThe hu.e ho
raat plate me.n dukh rakkhaa thaasub.h ke cup me.n be-zaarii thiishaam chaa.e ke saath pa.Daa thaadil kii suurat vaalaa barfii kaa ik Tuk.Daaaaj mire kamre me.n phir se hijr kii Table pardil kaa piyaala yuu.n ashko.n se bharaa hu.aa thaaandar se kuchh TuuT gayaa thaaaur ik jag yaado.n se bharaa merii jaanib dekh rahaa thaaek gilaas thakan kaa KHaaliijaise dar se ko.ii savaaliibin paa.e hii lauT gayaa thaanii.nd ke takiye par sar rakkhaamere sirhaane kitaab tumhaariimeraa jiivan dam saadhe chup-chaap pa.Daa thaamai.n ne juu.nhii haath ba.Dhaayaalafzo.n se ik chehra ubhraaraat bahut hii biit chukii haiab so jaa.o
khulii khi.Dkii pe ik buu.Dhaa kabuutarparo.n me.n mu.nh lapeTe so rahaa haidar-o-diivaar chup saadhe hu.e hai.ngalii kaa shor bujh kar rah gayaa haiko.ii aavaaz ab aatii nahii.n haimiraa kamra KHamoshii se bharaa haiabhii vo mujh se baate.n kar rahaa thaamagar ab dekhiye to jaa chukaa hai!
bahut sii aavaaz jamaa kar keek chiiKH banaa.ii jaa saktii haibahut tho.De lafzo.n seek baaGii nazm banaa.ii jaa saktii hailekinzinda qabristaan me.n ek nazm kaa katba kaafii nahii.nqabre.n dam saadhe pa.Dii hai.nhamaarii maa.e.n murda bachcho.n ko janm de rahii hai.nlaashe.n shanaaKHt karte hu.e hujuum apnaa chehraabhuul jaataa hai!ham zindagii se sohbat karne nikle theaur zindagii ne hamaare KHusiyo.n se ke.nche banaa liyehamaare lahuu me.n chyuu.nTiyaa.n re.ngtii hai.nmagar ham apnii marzii se khujlii tak nahii.n kar sakteqataar me.n kha.De kha.De ham duusro.n se muKHtalif kaise ho ga.e!!!zindagii miizaan hotii to ham us ke pal.De apne vajuudo.n se bhar detemagar kyaa kare.n ki ham KHud apnii nazro.n me.n bahut be-vazn thehatheliyo.n me.n suraaKH ho.n to aa.nkhe.n kahaa.n sambhaale.nham ne sirf chehre nibhaa.e rishte nahii.npyaasii zamiino.n me.n aa.nsuu kaasht kar ke bhiibuu.nd bhar hariyaalii nahii.n khiliiham saarii umr apne KHvaabo.n ke jolaahe bane raheaur apne bachcho.n ke liye ek saaya-daar parcham na bun sakehamaarii miTTii mahz miTTii rahiikabhii vatan na ban paa.ii!!!
police chaukii me.n savaalo.n kii bochhaa.D semerii quvvat-e-goyaa.ii javaab de ga.iiek makruuh suurat mo.nchho.n vaalaa baa-vardii shaKHsvahshat-naak aa.nkho.n se amle kii taraf dekhte hu.eapnii shadiid karaKHt aavaaz me.n chiiKHaaborii kaa mu.nh kholosaaraa amla shashdar rah gayaaki borii me.n lipTii hu.ii laash merii hii thiiaur mai.n chup saadhe use tak rahaa thaa
vahshate.n udham machaatii hai.nvo jab chaahtii hai.n hame.n halkaan karne aa jaatii hai.nkabhii darvaazo.n se kabhii khi.Dkiyo.n sekabhii raushan-daan kii us raushnii sejin se hamaare bachche kabhii khelte thehamesha afsurdagii kii chaadar ham yuu.n bhii o.Dhe rahte hai.naur mu.nh chhupaa.e pa.De rahte hai.nkahii.n ko.ii na.ii vaardaat hamaarii taak me.n na hokahii.n ko.ii zabaan ham ko Das na lelekin agar ham bach bhii jaa.e.n to kyaaye vahshate.n raat aur dinkabhii lafzo.n me.n chhup kar andhaa-dhu.nd ham par vaar kartii hai.nkabhii apne saath jamghaTo.n me.n nafrat kii ko.ii na.ii qism kiizahriilii gas ban kar ham par chho.Dtii hai.nun kaa puuraa iraada haiham maut ke mu.nh me.n chale jaa.e.nbahut dino.n baa'd ham ne in vahshato.n ko daryaaft kiyaa haiye kyo.n hai.n aur kyaa chaahtii hai.nan-ginat naamo.n ke saath ye hamaare badan ko khurachtii hai.nan-ginat lafzo.n kii kulhaa.Diyo.n se ye hamaare sar ko nishaana banaatii hai.naur ham hai.n ki dam saadhe aa.nkhe.n muu.ndeun ke iraado.n ko paspaa karne kii aas me.n pa.De rahte hai.nye vahshate.n aksar hamaare badan ke kisii hisse me.n daaKHil ho karhame.n Daraavne KHvaab dikhaatii hai.nbachaa.o kii ko.ii suurat na paa karham tanhaa.ii kii us khurdurii sa.Dak par nikal jaate hai.njahaa.n ham dilaasaa dete hai.n KHud kochalo aaj to ham bach ga.e
buildinge.n ziishaan uu.nchiishaah-raaho.n ke kinaaro.n par kha.Dii thii.nshaahraahe.n aatii jaatii gaa.Diyo.n caro.n se pur thii.nqahva-KHaano.n parko.n galiyo.n mahlo.n aur gharo.n me.nzindagii ma.amuul kii raftaar se chaltii thii lekinbahr ke saahil kii golaa.ii se ham-aaGoshmiilo.n tak ye aabaadii kaa maskanik KHamoshii kii ridaa o.Dhe hu.e thaagu.ng be-aavaaz gum-sumjaise logo.n kii zabaane.n kaT ga.ii ho.ngaa.Diyo.n kaa shor sa.Dko.n me.n hii dafnaayaa gayaa hobilDigo.n kii gahmaa-gahmiiapnaa dam saadhe hu.e pamba-dahan hosirf harakat ho magar laa-saut guu.ngii
soch kahaa.n jaa kar Thahregiia.ndhiyaare me.n kab tak KHud ko Dhuu.nDogeshab kaa safar to sub.h pe jaa kar ruktaa hailekin ye shab kitnii ka.Dii haibarso.n se ik doraahe pardam saadhe chup-chaap kha.Dii haiKHud ko Dhuu.nDte Dhuu.nDte aaKHirshab ke ye be-naam musaafirbehis guu.nge saa.e ban kara.ndhiyaaro.n me.n Duub ga.e hai.nye sab kitne bad-qismat hai.ndil bhii un ke diip kii suurat jal na sakeaa.nkh se bhii ik raushan aa.nsuu Dhal na sakaaa.ndhiyaare me.n KHud ko kab tak Dhuu.nDogediivaaro.n se kab tak yuu.n sar pho.Dogeaa.o mere saath chalo tumgarche mere ho.nT sile hai.n phir bhiimere haatho.n me.n raushan hai.naaj bhii lafzo.n kii qindiile.nun se phuuTtii raushnii kii maddham lahro.n me.nKHud ko dekho apne qaatil ko pahchaano
Dham Dham Dham Dham Dholak baajechham-chham chham-chham bhaaluu naacheThumak Thumak kar maadho naachemaTak maTak kar raaghav naachechhoTaa bhayyaa bhuTTuu naachehar pinjre kaa miTThuu naachesuu.nD uThaa kar haathii naachehaathii kaa har saathii naachehin hin kar ke gho.Daa naachegho.De kaa har jo.Daa naachebhaabhii naache bhayyaa naachetaataa taataa thayyaa naachegoraa naache kaalaa naachemastii me.n dil vaalaa naacheghu.nghruu chhan-chhan chhan-chhan naachechuu.Dii naache ka.ngan naachenannhii bhii to paa.el baa.ndheapne nanhe paa.nv ko saadhemaTak maTak kar chham-chham naachepaa.nv paTak kar dham dham naacheaisaa ko.ii mausam aa.emastii me.n har man lahraa.e
ye apnii cabinet jitnii bhii hai rangiin rakhtaa haiba-ii.n KHuubii dil-e-yaaraa.n ko pur-taskiin rakhtaa haihaTaa le.n ii.nT to Taa.nge.n ye saa.Dhe tiin rakhtaa haiye vo T-V hai jo tiis inch kii screen rakhtaa haihai chhat par antenna lekin nahii.n hai ko.ii kaam us kaahai garche charKH-e-niilii-faam se aage maqaam us kaa
siidhe-saadhe pappuu miyaa.n kaathaa vo bholaa-bhaalaa totaa
har jaal me.n ye pha.ns jaate hai.n siidhe-saadhe bhole-bhaalesab jak.De hai.n zanjiiro.n me.n is bastii ke rahne vaale
aa.nkhe.n miiche soch me.n gumdhonii ramaa.e ko.ii saadhuu jaise baiThaa hobachche khel rahe hai.njin kii chiiKHo.n seKHaamoshii ke saakin chauha.D me.n halchaljho.nke aate hai.nlekin ye chup saadhe rahtaa haimaut bhii shaayad us ke bu.Dhaape ko chhuune se Dartii haius kaa tan maazii se bojhal haiaur hamaare din us ke bhaarii-pan kosahmii sahmii nazro.n se dekh rahe hai.nus ke patto.n ne kyuu.n har ko.npal ko Dhaa.np rakhaa haius kii shaaKHe.n kyuu.n miTTii me.n ghus kar ja.D ban jaatii hai.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books