aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "tabdiilii"
is bhare shahr me.n ko.ii aisaa nahii.njo mujhe raah chalte ko pahchaan leaur aavaaz de o be o sar-phiredono.n ik duusre se lipaT kar vahii.ngird-o-pesh aur maahaul ko bhuul kargaaliyaa.n de.n ha.nse.n haathaa-paa.ii kare.npaas ke pe.D kii chhaa.nv me.n baiTh karghanTo.n ik duusre kii sune.n aur kahe.naur is nek ruuho.n ke baazaar me.nmerii ye qiimtii be-bahaa zindagiiek din ke liye apnaa ruKH mo.D le
mazduur hai.n ham, mazduur hai.n ham, majbuur the ham, majbuur hai.n haminsaaniyat ke siine me.n ristaa hu.aa ik naasuur hai.n hamdaulat kii aa.nkho.n kaa surma bantaa hai hamaarii haDDii semandir ke diye bhii jalte hai.n mazduur kii pighlii charbii seham se baazaar kii raunaq hai, ham se chehro.n kii laalii haijaltaa hai hamaare dil kaa diyaa duniyaa kii sabhaa ujyaalii haidaulat kii sevaa karte hai.n Thukraa.e hu.e ham daulat kemazduur hai.n ham, mazduur hai.n ham sautele beTe qismat kesone kii chaTaa.ii tak bhii nahii.n, ham zaat ke itne heTe hai.nye sejo.n par sone vaale shaayad bhagvaan ke beTe hai.nham me.n nahii.n ko.ii tabdiilii jaa.De kii paalii raato.n me.nbaisaakh ke tapte mausam me.n, saavan kii bharii barsaato.n me.nkap.De kii zaruurat hii kyaa hai mazduuro.n ko, haivaano.n kokyaa bahs hai, sardii garmii se lohe ke bane insaano.n kohone do charaaGaa.n mahlo.n me.n, kyaa ham ko agar diivaalii haimazduur hai.n ham, mazduur hai.n ham, mazduur kii duniyaa kaalii haimazduur ke bachche takte hai.n jab hasrat se duukaano.n komazduur kaa dil detaa hai du.aa devtaa.o.n ko, bhagvaano.n kokhaayaa miTTii ke bartan me.n, so.e to bichhaune ko tarsemuKHtaaro.n par tanqiide.n hai.n, be-chaargiyaa.n majbuuro.n kiisuukhaa chehra dahqaano.n kaa, zaKHmii piiThe.n mazduuro.n kiivo bhuuko.n ke an-daataa hai.n, haq un kaa hai be-daad kare.nham kis darvaaze par jaa.e.n kis se jaa kar fariyaad kare.nbaazaar-e-tamaddun bhii un kaa duniyaa-e-siyaasat bhii un kiimaz.hab kaa iraada bhii un kaa, duniyaa-e-siyaasat bhii un kiipaaband hame.n karne ke liye sau raahe.n nikaalii jaatii hai.nqaanuun banaa.e jaate hai.n, zanjiire.n Dhaalii jaatii hai.nphir bhii aaGaaz kii shoKHii me.n anjaam dikhaa.ii detaa haiham chup hai.n lekin fitrat kaa insaaf duhaa.ii detaa hai
hairaanii haivo log bhiitabdiilii aur baGaavat kiibaate.n karte hai.njo kuchh khone ko tayyaar nahii.n
is se pahle mai.n darvaaza kholuu.nkuchh boluu.nafvaaho.n kii gard me.n lipTe zahr-aaluud mohabbat-naame liye hu.e tumudh.De hu.e rishto.n ke jaame siye hu.e tummujh me.n aan samaa.emai.n rahne ke liye banaa huu.njo aa.e mujh me.n rah jaa.emujhe sajaa.ejitnaa pyaar kare utnaa sukh paa.etum se pahle bhii kuchh log yuu.nhii aa.e theapne andar mujh me.n tabdiilii ke KHvaab sajaa laa.e theaur phir ik dinjis ne jo bhii ahd kyaa vo to.D diyaajis ne jo bhii baat kahii vo radd kar diilekin tum ne to had kar diimere din viiraan hu.e hai.nmerii sub.h ke chehre par kitnii raato.n ke zaKHm lage hai.nmerii shaam udaas kha.Dii haimere ufuq par suuraj lahuuluhaan pa.Daa haidiivaaro.n se KHuu.n ristaa haidarvaazo.n se meraa ik ik raaz ayaa.n haimere sahn me.n dushman kii saazish raqsaa.n haisunaa hai ab is haal me.n mujh ko chho.D ke tum jaane vaale homere baahar baiTh ke merii yaad kaa Gam khaane vaale hotum se aur ummiid bhii kyaa hotum bhii to duniyaa vaale hojab tak ishq se ishq nahii.n miltaa tanhaa dukh sahnaa haighar kii fikr to us ko hogii jis ko ghar me.n rahnaa hai
aflaak ke taaro.n me.n jaltii bujhtii hu.ii kuchh aavaaze.n hai.nkohsaar ke phuulo.n me.n bikhrii bahkii hu.ii kuchh aavaaze.n hai.nhai mausam-e-gul kii aamad se ashkaal-e-chaman me.n tabdiiliiyaa murG-e-sahar kii gulshan me.n badlii hu.ii kuchh aavaaze.n hai.nzardaar kii har aavaaz me.n hai biphrii hu.ii suurat kaa naqshamazduur nahiif-o-bechaare sahmii hu.ii kuchh aavaaze.n hai.naavaaz jise ham kahte hai.n tahriik hai ye kuchh shaklo.n kiiham jin ko samajhte hai.n shakle.n Thahrii hu.ii kuchh aavaaze.n hai.nvo giit hame.n jo yaad rahe dekhii hu.ii suurat hai ko.iimaanuus hai.n jo shakle.n ham se jaanii hu.ii kuchh aavaaze.n hai.nilhaad ke kuchh mai-KHvaaro.n ne pii lii hai ziyaada hii shaayadatraaf-e-dayaar-e-maGrib se bahkii hu.ii kuchh aavaaze.n hai.nai 'zeb' khavayyaa hii apne hai.n un kii luGat se naa-vaaqifhar bahr se maujo.n kii suurat uThtii hu.ii kuchh aavaaze.n
aKHtaruzzamaa.n naasirvaqt jaise royaa hodhuup narm lahje me.n jaise aaj goyaa hoduur ko.ii masjid me.nbiich asr o maGrib kejaise khoyaa khoyaa hoaKHtaruzzamaa.n naasirmai.n tumhaarii aa.nkho.n se dekhtaa thaa duniyaa komai.n tumhaare haatho.n se zindagii ko chhuutaa thaamai.n tumhaare qadmo.n se naaptaa thaa rasto.n komai.n tumhaarii saa.nso.n se suu.nghtaa thaa KHushbuu komai.n tumhaaraa manzar thaabe-sadaa samundar thaasar pe aasmaa.n tum thehaa.n miraa bayaa.n tum theaur merii dhartii me.n chaahate.n tumhaarii thii.naadate.n tumhaarii thii.ndin tumhaare lahje kii chhaa.nv me.n guzarte thezindagii se la.Dte the zindagii se Darte theaKHatruzzamaa.n naasirjaane kyuu.n hu.aa badlii charKH ne bhii ruKH badlaaduur masjid-e-jaa.n se kyuu.n azaan-e-dil ubhriisajda-e-talab chamkaaharf-e-kunj-e-lab chamkaadin Guruub hote hii zauq-e-muntaKHab chamkaakaash ye nahii.n hotaa kaash mai.n vahii.n hotaaaKHtaruzzamaa.n naasirmai.n kisii tamaddun kaa aaKHirii musaafir huu.nmai.n hazaar KHvaabo.n kii dau.D-dhuup me.n shaamilmai.n hazaar jazbo.n kii rel-pel kaa aadiimai.n hazaar haatho.n se zindagii banaataa huu.nmai.n hazaar qadmo.n se raasto.n pe chaltaa huu.nmai.n hazaar shaano.n pe karvaTe.n badaltaa huu.nmai.n hazaar aa.nkho.n se manzaro.n me.n Dhaltaa huu.nmai.n asiir duniyaa kaamai.n basiir fardaa kaamai.n varaq huu.n maazii kaavaqt hai munaadii kaaDarte Darte kahtaa huu.n mai.n bhii ek shaa.er huu.naKHtaruzzamaa.n naasirye safar jo jaarii hai kaun is kaa jaada haikaun is kii manzil hailauTnaa bhii mushkil haimai.n to jaise bhar paayaa aur ek dar paayaaroz-o-shab kaa halqa haimai.n bhii ek qaidii huu.nsub.h kaa a.ndheraa huu.nshaam kii safedii huu.naKHtaruzzamaa.n naasirnaukrii hai sarkaariibadtariin samjhauta, badtariin dushvaariiaaj mere haatho.n me.n tiir hai.n na patthar hai.naaj merii aa.nkho.n me.n KHvaab hai.n na manzar hai.nmai.n sag-e-malaamat kii sun rahaa huu.n aavaaze.nroz-o-shab ke narGe se bhaagnaa bhii mushkil haiaur aise aalam me.nfarz-e-ain vaajib haishuGl-e-mai bhii jaa.ez haiaKHtaruzzamaa.n naasirhukm mujh ko azbar haitiin nannhii dhuupe.n hai.nvo nafiis paikar haijin ke saath jiinaa haidhuup hai to sahnii haibas yahii guzaarish haiek chhoTii tabdiiliisirf itnii KHvaahish haiaKHtaruzzamaa.n naasire'tidaal laazim haiye KHalaf kaa va.ada haiduur hai KHudaa lekintosha-e-sa.aadat hairaushnii kaa jaada hai
kisii ne kahaa kaisii patthar dil hai tuukyaa ye kab hu.aa nahii.n tois dil par kuchh lage chiiKH uThtaa hairotaa hai KHuun bahaataa haiyaqiinan patthar to aisaa nahii.n kartaayaa patthar kii tabii.at me.n bhii badlaav aayaa haibadlaav us mausam kii tarahbadlaav us kii baato.n kii tarahbadlaav us muqaffal pa.De ghar kii tarahjo kabhii jhuumtaa thaa ik parivaar ke hone sebadlaav jo ik rote shaKHs ko ha.nsaa deaur ha.nste ko rulaa debadlaav is badlaa.o kii tarah jo sab badal deye kaisaa badlaavpatthar patthar hii hai yaa badal gayaameraa dil dil hii hai yaa badal gayaako.ii to hai jo badal gayaamai.n mai.n hii huu.n yaa
kuchh roz abhii ham zinda hai.nkuchh roz usuulo.n kii KHaatirham duniyaa se la.D sakte hai.nphir vaqt ke saath har shai me.ntabdiilii aa jaatii haipatthar par sabza ugtaa haibaalo.n me.n chaa.ndii paktii haiGussa kam ho jaataa haibastii ke mohazzab logo.n me.nham sanjiida kahlaate hai.n
ek thaa raaja ek thii raaniikaun sunaa.e ab ye kahaaniiab na sher ko jaal me.n pak.Deaur na chuhaa jaal ko katreaur na jiite baazii kachhvaaaur na rahe KHargosh bhii sotaachaa.nd kii bu.Dhiyaa chalii ga.ii haisuut kaatnaa chho.D chukii haihaatim-taa.ii aur alii-baabaasakhii saKHaavat aur marjiinako.ii sunaataa nahii.n kahaaniina to daadaa aur na naaniiKHatm hu.e sab jaaduu Toneqisse pariyo.n ke bhuuto.n kehar dam T.v pesh-e-nazar haiab duniyaa kaa haal digar haiT.v me.n cartoon aate hai.nbachcho.n kaa dil bahlaate hai.n
ye dimaaG sotaa hii rahtaa haimaile malgaje kap.Do.n kii gaThriiek uu.nghtaa hu.aa kaahil vajuudnashshe kii aadat se be-kaarye dimaaG sotaa hii rahtaa haiaham confrenco.n me.nKHaas majliso.n me.nko.ii haadsa hone vaalaa hoyaa ko.ii tabdiilii aane vaalii hokone me.n gum.Dii maare pa.Daa rahtaa haisoche hu.e ek arsa hu.aame.ade me.n jalan hotii thiito chal detaa thaa khojne ke liyezyaada haath paa.uu.n phir bhii nahii.n maartaa thaagum.Dii maare hu.ekhojne ke liye sochnaaus ke bas se baahar thaapuuchhe ko.ii is thake hu.e seye kab bedaar hogaakaahilbe-kaargum.Dii maare hu.enaakaaramaile malgaje kap.Do.n kii gaThriiye dimaaG
sub.h-dam jab bhii dekhaa hai mai.n ne kabhiinanhe bachcho.n ko school jaate hu.eraqs karte hu.e gungunaate hu.eapne basto.n ko gardan me.n Daale hu.eu.ngliyaa.n ek kii ek pak.De hu.e
use buddhaa pe raham aayaavo bachchii haath me.n pencil paka.D kar sochtii haiaur phir tasviir ke uuparlakiire.n khii.nch kar mo.nchhe.n banaatii haiaur is tabdiilii se andar hii andar muskuraatii haiki jaise us ne daanish kii sabhii kamzoriyaa.napnii lakiiro.n se chhupaa dii hai.nuse maaluum hii kab haiki us ke haath kii jumbish ne andar kiisabhii aalaa.ishe.n chehre pe rakh dii hai.nvo jin ko jism se aazaad kar ke ek arse se tyaagii thaaab aasaar-e-qadiima vaale safhe par 'danaayaa' aur 'sataa' ke ko.ii mafhuum hii baaqii nahii.n hai.nzaraa mo.nchhe.n banaane se sabhii dukh miT ga.e hai.nmarg' kii ko.ii zaruurat hii nahii.nbuddhaa kapilvastu kaa shahzaada dobaara ban gayaa hai
raanii jab school se aa.iiammii ko ye baat bataa.iiammii jii school me.n apneKHuub hu.ii hai aaj safaa.iikonaa konaa saaf hu.aa haisaabun se bhii hu.ii dhulaa.iiham ne sundar chart banaa.eaur ik ik diivaar sajaa.iiphuulo.n ke paudo.n se ham negulshan kii dhartii mahkaa.iiis se bhii ba.Dh kar ammii bhiiaur hu.ii hai ek ba.Daa.iivaqt pe madam aa jaatii hai.nhotii hai ab KHuub pa.Dhaa.iiammii ye kyaa bhed hai aaKHirkaise ye tabdiilii aa.iiye sun kar phir ammii bolii.nbeTii ko har baat bataa.iitum ko ye maaluum nahii.n haibhaarat ne lii hai a.ng.Daa.iibachcha bachcha jaag uThaa haiKHuun me.n sab ke garmii aa.iidaftar mil school dukaane.nchhaa.ii hai sab par ra.anaa.iimandir masjid gurudvaare bhiikarte hai.n jalva-aaraa.iijangal jangal sabza lahkaadahqaa.n kii ummiid bar aa.iishahr hu.e hai.n saaf aur suthregaa.nv me.n bhii raunaq aa.iikitne hii dukh duur hu.e hai.nghaTtii jaatii hai mah.ngaa.iijhuggii me.n rahne vaalo.n kocolony kii raah dikhaa.iibhaarat me.n ab amn-o-amaa.n haimiT ga.e jhag.De aur la.Daa.iides ke dushman sakte me.n hai.nbol ke sab ne mu.nh kii khaa.iijai ho jai indaraa gaa.ndhii kiius ne vatan kii shaan ba.Dhaa.ii
taKHliiq ke KHumaar me.n chuurek KHush-gavaar mo.D me.nus ne jabbe-hisaab logo.n ke nasiib me.nKHushiyaa.n likh Daalii ho.ngiibe-shumaar tabus ne ruk karsochaa hogaatavaazun kii KHaatirkuchh to tabdiilii chaahiyeaur yuu.n us mo.D me.nlikh kar aglaa nasiibus ne jo palTaa saf.havo meraa thaa
mujhe ma.aluum hai ki kuchh na badlegaana shaaKH-e-hijr par aasaar aa.e.nge KHizaa.o.n keKHayaalo.n ke samundar me.n na kuchh tabdiilii aa.egiina kirdaaro.n ke roz o shab me.n ko.ii farq aa.egaamagar in nazmo.n Gazlo.n kii kahaanii aur giito.n kiiaatii jaatii lahro.n seye meraa KHushk saahilsairaab to hotaa rahemujh ko mere hone kaa ehsaas to hotaa rahe
bahaar ho yaa KHizaa.n mausam dono.n hiinaGmagii se bharpuur hai.nvasl se judaa.ii takek saaz bajtaa haijis kii dhun pe dha.Dkane.nmaah-o-saal kaa qasiida pa.Dhtii hai.nshaaKH ne chaahaapatto.n ko jo.De rakhe magarrang kii tabdiilii nemulaaqaat ke zaa.iqo.n kaa lutf KHatm kar diyaahavaa ne ek sabz daraKHt ko bikheraamiTTii kii KHushbuu ne baa.nhe.n phailaa karzard rang kaa istiqbaal kiyaaoctober ke Dhalte shab-o-rozthakan kaa ehsaas paidaa karte hu.e apnaa paiGaamsabt kar rahe hai.nruuh udaasii ke ghere me.nsabz rang kii mutalaashii haiKHvaab ko ta.abiir pahnaate hu.emai.n ne havaa kaa zaa.iqa chakhaaaur ye bhed paa liyaaki zard aur sabz kaa milaap
mai.n dukh kaa bojh uThaa.eek muddat se chal rahaa huu.nlagtaa haikisii bhii vaqt merii gardan TuuT jaa.egiimai.n sustaanaa chaahtaa huu.nko.ii meraa bojh nahii.n baTaa saktaasab ke sar peek vaznii Tokraa rakhaa hu.aa haiko.ii nafrat ke bojh tale dabaa hu.aa haikisii se mohabbat nahii.n sambhaalii jaa rahiiham sab mazduur hai.nbojh uThaanaa hamaaraa kaam haihame.nsustaane kii ijaazat nahii.n miltiibojh uThaane kii ujratTokaro.n kii tabdiilii hai
ba.Dhtii hu.ii KHunkii ke saathdaraKHto.n nelibaas badalnaa shuruu.a kiyaaajab rut haizardii me.n malbuus ashjaarKHaamosh kha.De hai.nhijr zada barahna Tahniyaa.nsard havaa ke saamne bebas patto.n kiichiiKH-o-pukaar sun kar bhii un kiimadad na kar sake.ntanhaa.ii kisii jho.nke kii tarah naachtii hu.ii gulistaa.n me.n daaKHil hu.iiaur ek safed phuul to.D karKHaak pe phe.nkaachaman ke saare phuul murjhaane lagerangat kii tabdiilii kaa maatam thaa yaa phiris phuul ke miTTii hone kaamai.n ek kone me.n baiThiibe-rahm mausamo.n ke tuyuuru.Dte hu.e dekh karsoch rahii huu.nmujhe absiyaah hote gulaabo.n kaa nauha likhnaa hai
miraa beTaabuluuGat kii hade.n chhuune lagaa haiuse naazuk ra.ngaa-ra.ng titliyaa.n KHush aa rahii hai.nvo aksar gungunaataa hai dhanak naGmeab us kii putliyo.n me.n sabz fasle.n lahlahaatii hai.nvo sotaa hai to KHvaabo.n me.n kahii.n gul-gasht kartaa haiab us kii muskuraahaT me.n chubhan haiaur us ke haath gustaaKHii ke juuyaa ho chale hai.nvo kaano.n par yaqii.n karne ko raazii hii nahii.n haiuse asbaab kii sachchaa.iyo.n par shak guzartaa haivo ab har chiiz ko chhuu kar parakhnaa chaahtaa hai
mai.n ulfat ke samundar ke jaziire par hu.ii barbaad tanhaa huu.nye barbaadii miraa singhaar Thahrii haimai.n ab maanuus huu.n is semai.n ab ko.ii bhii tabdiilii kabhii bhii sah nahii.n saktiimujhe barbaad rahne demujhe aabaad mat karnaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books