mil bhī jaatā jo kahīñ āb-e-baqā kyā karte
zindagī ḳhud bhī thī jiine kī sazā kyā karte
mil bhi jata jo kahin aab-e-baqa kya karte
zindagi KHud bhi thi jine ki saza kya karte
dosto DhūñD ke ham sā koī pyāsā laao
ham to aañsū bhī jo piite haiñ to paanī kī tarah
dosto DhunD ke hum sa koi pyasa lao
hum to aansu bhi jo pite hain to pani ki tarah
-
Tag : Water
aaj lab-e-guhar-fishāñ aap ne vā nahīñ kiyā
tazkira-e-ḳhajista-e-āb-o-havā nahīñ kiyā
aaj lab-e-guhar-fishan aap ne wa nahin kiya
tazkira-e-KHajista-e-ab-o-hawa nahin kiya
-
Tag : Hawa
ḳhaak huuñ uḌtā huuñ sach hai ki maiñ āvāra-mizāj
paanī hotā bhī to sailāb meñ dekhā jaatā
KHak hun uDta hun sach hai ki main aawara-mizaj
pani hota bhi to sailab mein dekha jata
-
Tag : Water
ajab karishma dikhāyā ba-yak qalam us ne
havā chalā.ī samundar ko naqsh-e-āb diyā
ajab karishma dikhaya ba-yak qalam us ne
hawa chalai samundar ko naqsh-e-ab diya
kaun kahtā hai badaltā nahīñ rañgat paanī
ashk chhalkeñ to vo ḳhūñ-nāb huā karte haiñ
kaun kahta hai badalta nahin rangat pani
ashk chhalken to wo KHun-nab hua karte hain
-
Tag : Rang
ik aisī be-natīja jang laḌ kar aa rahā huuñ maiñ
ki ab shamshīr se baḌh kar piyāla achchhā lagtā hai
ek aisi be-natija jang laD kar aa raha hun main
ki ab shamshir se baDh kar piyala achchha lagta hai
-
Tag : Pyas