Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Azaab

yād-e-māzī 'azāb hai yā-rab

chhīn le mujh se hāfiza merā

yaad-e-mazi 'azab hai ya-rab

chhin le mujh se hafiza mera

Akhtar Ansari

aa.e kuchh abr kuchh sharāb aa.e

is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e

aae kuchh abr kuchh sharab aae

is ke baad aae jo azab aae

Faiz Ahmad Faiz

azaab hotī haiñ aksar shabāb ghaḌiyāñ

gulāb apnī ḳhushbū se Darne lagte haiñ

azab hoti hain aksar shabab ki ghaDiyan

gulab apni hi KHushbu se Darne lagte hain

Badr Wasti

butoñ chaah meñ ham to azaab meñ rahe

shab-e-firāq kaTī roz-e-intizār aayā

buton ki chah mein hum to azab hi mein rahe

shab-e-firaq kaTi roz-e-intizar aaya

Unknown

unhī pe ho kabhī nāzil azaab aag ajal

vahī nagar kabhī Thahreñ payambaroñ vaale

unhi pe ho kabhi nazil azab aag ajal

wahi nagar kabhi Thahren payambaron wale

Mohsin Naqvi

rah-e-hayāt meñ kāñToñ ne mehrbāñ ho kar

bachā liyā hai azāb-e-shaguftagī se mujhe

rah-e-hayat mein kanTon ne mehrban ho kar

bacha liya hai azab-e-shaguftagi se mujhe

Ramz Azimabadi

chhapī thī jis ġhazal meñ zamāne bhar ḳhushī

ḳhud us ziist naġhma azaab ubhrā

chhapi thi jis ki ghazal mein zamane bhar ki KHushi

KHud us ki zist ka naghma azab sa ubhra

Abdul Matin Jami

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now