maiñ sach kahūñgī magar phir bhī haar jā.ūñgī
vo jhuuT bolegā aur lā-javāb kar degā
main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
wo jhuT bolega aur la-jawab kar dega
-
Tag : Sach
pahāḌ kāTne vaale zamīñ se haar ga.e
isī zamīn meñ dariyā samā.e haiñ kyā kyā
pahaD kaTne wale zamin se haar gae
isi zamin mein dariya samae hain kya kya
ham aaj rāh-e-tamannā meñ jī ko haar aa.e
na dard-o-ġham kā bharosā rahā na duniyā kā
hum aaj rah-e-tamanna mein ji ko haar aae
na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka
-
Tags : Bharosaand 3 more
dil sā vahshī kabhī qaabū meñ na aayā yaaro
haar kar baiTh ga.e jaal bichhāne vaale
dil sa wahshi kabhi qabu mein na aaya yaro
haar kar baiTh gae jal bichhane wale
-
Tag : Dil
yārān-e-be-bisāt ki har bāzī-e-hayāt
khele baġhair haar ga.e maat ho ga.ī
yaran-e-be-bisat ki har bazi-e-hayat
khele baghair haar gae mat ho gai
dushman mujh par ġhālib bhī aa saktā hai
haar mirī majbūrī bhī ho saktī hai
dushman mujh par ghaalib bhi aa sakta hai
haar meri majburi bhi ho sakti hai
-
Tags : Dushmanand 1 more