Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Best Dariyadil Shayari

dekhe jo merī nekī ko shak nigāh se

vo aadmī bhī to mire andar hai kyā karūñ

dekhe jo meri neki ko shak ki nigah se

wo aadmi bhi to mere andar hai kya karun

Salman Akhtar

ye mohabbat bhī ek nekī hai

is ko dariyā meñ Daal aate haiñ

ye mohabbat bhi ek neki hai

is ko dariya mein Dal aate hain

Inam Nadeem

apnī mastī meñ bahtā dariyā huuñ

maiñ kināra bhī huuñ bhañvar bhī huuñ

apni masti mein bahta dariya hun

main kinara bhi hun bhanwar bhi hun

Tahzeeb Hafi

vo jo lailā hai mire dil meñ sune us jo shor

qais nikle gor se bāhar kafan ko chīr-phāḌ

wo jo laila hai mere dil mein sune us ka jo shor

qais nikle gor se bahar kafan ko chir-phaD

Waliullah Muhib

izzat hai na auj na nekī mauj hai

hamla hai apnī qaum pe lafzoñ fauj hai

izzat ka hai na auj na neki ki mauj hai

hamla hai apni qaum pe lafzon ki fauj hai

Akbar Allahabadi

nekī ik din kaam aatī hai ham ko kyā samjhāte ho

ham ne be-bas marte dekhe kaise pyāre pyāre log

neki ek din kaam aati hai hum ko kya samjhate ho

hum ne be-bas marte dekhe kaise pyare pyare log

Javed Akhtar

ham apnī nekī samajhte to haiñ tujhe lekin

shumār nāma-e-a.amāl meñ nahīñ karte

hum apni neki samajhte to hain tujhe lekin

shumar nama-e-amal mein nahin karte

Azhar Faragh

aaj phir mujh se kahā dariyā ne

kyā irāda hai bahā le jā.ūñ

aaj phir mujh se kaha dariya ne

kya irada hai baha le jaun

Mohammad Alvi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now